(mukammal khatam karna munasib nahin hota agarcha dard ko mukammal khatam kya ja sakta hai) woh dard ki bajaey ma'amooli daba'u mehsoos karti hai phir aakhri marhaley mein mareeza khud hi apney jism kay paeda'esh sey muta'alliq hisson ko baghaer kisi dawa kay sunn karleti hai jis ki wajah sey bacha baghaer kisi dard kay paeda'esh ki naali sey baher aa jata hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad hypnotism ki wajah sey mareeza gehri aur pursukoon neend mein chali jati hai aur baedaar honay per bohut khush o khurram, pursukoon aur relax mehsoos karti hai woh kisi qism ki thakawat mehsoos nahin karti kyun kay iss surat mein koi teeka ya dawa istaemaal nahin hoti le'haza mareeza aur bacha dawa kay har qism kay muzir asraat sey mehfooz hotey hain. Iss tariqey sey tamam khawateen mukammal tor per mustafeed nahin hotiin ta'hum 70% khawateen dard ko mukammal tor per control karleti hain jab kay 90% tension, khauf, seeney ki jalan aur neend kay masail ko control kar leti hain.
Hypnotherapy ka ek aur ahem faeda yeh bhi hai kay iss ki madad sey mareeza hamal ka sara arsa bohut pursukoon aur relax rehti hai jis ki wajah sey uss ki chaati mein doodh bhi khoob jama hota hai chuna'cha bachey ko khoob paet bhar kar doodh milta hai yeh baat sabit ho chuki hai kay khauf aur tension ki wajah sey na sirf maa'n ki chati mein doodh kam paeda hota hai bul kay abortion ka khatra bhi barh jata hai. Hypnotherapy ki wajah sey chu'nkay haamla majmooee tor per bohut pursukoon hoti hai jis ki wajah sey na sirf abortion ka khatra kam ho jata hai bul kay operation kay imkanaat bhi bohut kam ho jatey hain. Aur agar operation ho bhi to hypnotism ki wajah sey zakham taezi sey mundamil ho jatey hain hum Pakistan mein iss tariqey ko kamyaabi kay sath istaemaal kar rahey hain behter yehi hai kay hamal kay ibteda'ee dinon sey hi
|