Is ko check karney ka behter tariqa yeh hai kay mahwaari khatam honay per rozana kisi ek muqarrar waqt per check karein yani har peeshaab kay ba'ad check karney ki zarooat nahin lekin jab ek baar yeh zahir ho jaey to phir har peshaab kay ba'ad check karein mawad ko check karety waqt teen cheezo'n ko khusoosi ahmiyat di jaey:
- Mawad rung daar hai ya bey rung yani shaffaf ya gadla.
- Wetness_ mawad patla hai ya gaarha.
- Stretch ability_ mawad laes daar hai ya ghaer laes daar yani iss sey taar banti hai ya nahin.
Miqdaar ki zyada ahmiyat nahin jab yeh mawad bohut patla ho to iss kay aakhri hissey mein mawad kay garha honay sey pehlay mubashrat ki jaey iss kay liye ek maah sirf tajurba karein aur dekhein kay aap ka mawad kitni der patla rehta hai, agley maah isi ko samney rakhtey huey uss waqt mubashrat karein jab yeh bohut patla, laesdaar, taardaar aur kachey andey ki tarah shaffaf ya cream rung ya lotion ki tarah ho. Iss kay agley din bhi mubashrat karli jaey ek ehtiyat ki jaey kay mawad kay zahir honay kay ba'ad mubashrat na ki jaey taa'kay mard ki mani ki miqdaar zyada ho miqdaar zyada hogi to sperm ki miqdaar bhi zyada hogi aur bacha paeda honay kay imkaan bhi zyada hongay. Mahwaari khatam honay kay ek haftey ba'ad ek din chor kar mubashrat sey bhi hamal kay imkaanaat barh jatey hain yeh amal mahwaari shuru honay sey ek hafta pehley tak jari rahey.
|