Grammar Ulta choar qotowal ko dantay :P
Meray bhai yeh to aap ka dawa tha k jahan bhi jamah ka sigha hota hai wahan murad jamah hi hota hai,mein ne to aap ko pehlay hi bata diya tha k quran mein wahid k liye bhi jamah ka sigha istemal kiya hai aur aap bholay badshah ne uss ka mujh se saboot manga tha aur ab jab mein ne saboot de diya to ulta mujh se hi sawal kernay lag gaye ??
Janab yeh sawal to meray hain k agar aap jamah k sigha ko jamah hi mantay hain to phir Allah k baray mein aap ka kiya aqeeda hai k Allah ne bhi apnay liye jamah ka sigha use kiya hai...
Ab meray bhai jawab aap ne dena hai na k ulta mujh per apna aqeeda thonp ker mujh se sawal kernay lag jao...
Reply:
yar apko jhoot bolny ki bimari hy kia?? aap takreeban hr post men meri taraf jhuty reply mansoob krty huay nazar aa rahy ho meny kahan or kis post men yeh kaha hy k jahan bhi jamah ka sigha hota hai wahan murad jamah hi hota hai??? mera dawa yeh hy k jahan bhi Noun ki jamah use hoti hy us sy muraad ek sy zaida log hoty hen or jahan bhi Pronoun ki jama use hoti hy wahan yah to ek sy zaida log hoty hen ya wahid k lay hi pronoun ka siga use hota hy or woh bhi izat o azmat k liay jesy urdu men Hum ka word use kia jata hy.. itni si baat apko samajh nahi aa rahi mujhy bar bar yeh dohrana par rha hy..
*************************************************************
Yeh lo janab apna aqeeda ab mujh per thonp ker bhaag rahay hain aap :P
Aap aik dafa previous posts ko dobara perhein to aap ko samajh aa jaye gi k yeh baat mein ne sabit ki thi k Allah ne apnay liye jamah ka sigha use kiya hai jab k woh wahid hai phir aap ne uss ka proof manga mein ne woh de diya phir aap ne wahid sigha ka proof manga woh bhi aap ko mil gaya,ab jawab aap ko dena tha iss baat ka na k ulta mujh se sawal kernay thay...yeh sawal mera tha k agar aap perda mein jamah k sigha se jamah hi murad letay hain to phir yahan aap kiya murad lein ge,jab k mein ne aap ko kaha tha k Allah ne wahid k jamah ka sigha use kiya hai Quran mein...
Ab aap achay bachon ki terha unn sawalon ka khud hi jawab dein jo aap ne mujh per sawal kiye hain kiun k yeh sawal aap k aqeeda k liye hain na k meray aqeeda k liye kiun k mein ne to already keh diya tha k Allah ne Quran mein wahid k liye bhi jamah ka sigha use kiya hai....
Reply:
aap meri pichli post bhool jaty hen ya woh aapko nazar aaana band ho jati hey??
meny kaha tha k beti ki jama betian use hua hy iska matlab hy k ek sy ziada beti hy
aapny aitraaz kai k Allah ney bhi apny liay jamaa ki sikga lgaya hy to Allah ko bhi ek sy zaida maan len... sahi kaha na meny
Allah wala aitraaz aapny kia tha na meny to nahi kia tha lakin meny Quran ki ayat sy yeh sabit kia k Allah ney iska jawab Quran hi men dia hy k Allah ek hy. ab iska matlab k Quran men grammar ki galti hy ya mera mokaf sahi hy k jahan Allah ny apny liay Pronoun ki Jamaa use ki hy jisy urdu men Hum hota hy uska meny kaha k woh Allah ney Apni izaat o azmat k liay Hum use kia hy jesy koi nawab ya koi badshah ya koi aam insaan bhi kabhi kabhi urdu men MAIN ki jaga HUm use krta hy .. halany Allah ek hi hy or banda bhi ek hi hota hy...
aapny iska inkaar kia or kaha k Allah ney kahan farmaya hy k meny Hum apni izat k laiy use kia hy ... sahi kaha na meny ??
to meny iska jawab Shia ki site sy dia jis pr baat krny ki aapki himat nahi hui to yeh dusri condition bani k Allah ney apni ezat o azmat ko dikhany k liay use kia hy jiska aapny inkaar kia... meny aapsy ayat lanay ka kaha to kia aap koi aesi ayat ly kr aay jis men Allah ney apny Name ki jamaa use ki ho jo k noun hy or jesa parday wali ayat men beti ki jama use ki use ki?? aap khud ayat ley kr aay lakin us men kia nikla?? aap bewakufon ki tarhan fata fat ayat ly aaye or khush hony lag gay lakin aapki akal men phir bhi yeh baat nahi aaye k Allah ney un ayat men Pronoun ki jamah ya pornoun ki wahid use ki hy apny lia .. jesy MAIN or HUM
aab aaty hen apky is aitraaz pr k men agar pardy wali ayat men jamma k sigay sy jammah hi muraad leta hun to Allah k jamah walay sigay sy kia muraad lun ga to yeh hi aapki sub sy bari galti hy kiun k mera mokaf tha k pardy wali ayat men word Noun hy jiska matlab beti hota hy or iski jamaa betian hen or beti ek sy zaida thin is liay word BEti nahi balky BEtian use kia .. theek hy na yahan tak samajh aagey??
men apko chand example bhi deta hun takay apko baat clear ho jaye k aap kis bina sar or pair k aitraaz pr bahas kr rahy ho
koi insan ksi dusry sy amoman puchta hy k apky father ka kia haal hy. .. ab is men father noun hy or father ki jama fatherS hoti hy kia koi kabhi yeh puchta hy k aapky Fathers ka kia haal hy?? agla admi kahay ga k mery fathers nahi hen meray ek hi walid hen isi tahran ksi shaks ki ek beti ho to koi yeh kahy ga k apki betion ka kia haal hy?? balky woh yeh kahy ka k apki beti ka kia haal hy. agar ek si ziada huin to woh yeh kahay ga k apki betion ka kia haal hy.. isi tarhan pury Quran men kahin bhi Allah ney apni jamma Allahs ya Gods nahi use ki kiun k Allah ek hi hy ab samajh aae k yeh sari Noun or unki jama hy jo tadaad k liay use hoti hen
ab pronoun ki baat krty hen . misaal k tor pr
ek badshah kahy k men tumhy rizk deta hun woh hi badshah kahy k hum tumhy rizk dety hen .. dono surat men Badshah ek hi hy lakin ek jumly men pronoun ka wahid siga use kia hy
or dusy men pronoun ka Jamma siga use kia hy
isi tarhan Allah kahy k, men tumhy rizq deta hun . ya yeh kahay k hum tumhy risk dety hen to yahan bhi pronoun ki wahid or jaam sirf Ek Allah k liay use hui
ab isi men noun ki example bhi deta hun
Allah hi tumhy risk deta hy. yeh noun ki wahid use hui ab isi tarhan mujhy Allah ki jamaa k saht yeh jumla bna kr dikha den???? ab ho gae sari baat clear k Allah ny kahin bhi apni noun ki jamma use nahi ki ??
ab meri conditions ka jawab den k Jahan Allah ney apny liay jamaa ka siga use kia or bakol apky iska matlab izat o takreem bhi nahi hy to kia wahan Allah ney Galti ki hy?? kiun k meny Quran ki hi dusri ayat sy dikahay hy k Allah to ek hi hy ???
|