Batman1 Aap ne Rasool Allah saww ki 4 betion k baray mein topic start kiya aur iss ko Quran aur shia books se sabit bhi kiya k Rasool Allah saww ki 4 betian thein... Ab iss baray mein kuch aap se baat kerna chahta hoon... Aap ne Quran ki ayat quote ki k Allah ne yahan jamah ka lafz use kiya... Ab agar aap Quran perhein to Allah ne apnay liye bhi jamah ka lafz use kiya hai to kiya hum uss ko bhi maan lein ge ?? Dosra aap Surah Munafiqoon ki pehli verses to uss ki tafseer mein aap perhein to pata chalay ga k yeh ayaat sirf abdullah bin abi salool k liye nazil huin lakin ayaat mein jamah k alfaz huay hain... Aur dosri baat yeh k kuch ayaat mein hukam e aam hota hai aur kuch hukam e khaas hota hai... Aap ne jo perda wali ayat quote ki woh hukam e aam hai na k hukam e khaas,ab aap ayat ko hi ghoar se perh lein... اے پیغمبر اپنی بیویوں اور بیٹیوں اور مسلمانوں کی عورتوں سے کہہ دو کہ (باہر نکلا کریں تو) اپنے (مونہوں) پر چادر لٹکا (کر گھونگھٹ نکال) لیا ab yahan per 3 auraton ki baat hui hai,Rasool Allah saww ki biwion ki,Rasool Allah saww ki betion ki aur musalman ki auraton ki... Ab aik mein sawal kerta hoon k aik khatoon hain jo k musalman huin,unn k na walid musalman huay aur na hi bhai aur na hi shohar to kiya uss khatoon per perda lazim hai iss ayat k mutabiq ya nahi ?? Kiun k woh khatoon na hi Rasool Allah saww ki biwion ki category mein aati hain,na hi Rasool Allah saww ki betion ki category mein aati hain aur na hi musalmanon ki auraton ki category mein... Ab aap mujhay bata dein k iss ayat k hawalay se unn aurat per perda ka kiya hukam hai ?? Dosri baat ayat e mubahilla hai jis mein Allah ne jamah ka lafz istemal kiya lakin mubahilla per aik hi khatoon gaein...aisa kiun ?? Kiya Rasool Allah saww ko nahi ilm tha k jamah ka lafz hai ya unhon ne hukam ka inkar kiya Naozbillah ?? Ab aap kahein ge k unn ki baaki betian wafaat paa chuki thein lakin yeh baat to hai k unn k damaad zaroor zinda thay to jab Ali a.s ja saktay thay phir baaki damaad kiun na gaye ?? Uss k ilawa bohat se ahadees mojood hai Hazrat Fatima a.s ki shaan mein k yeh mujh se hai mein iss se hoon...jis ne Fatima a.s ko takleef di uss ne mujhay takleef di...Fatima a.s jannat ki sardar hain...Fatima a.s aur hazrat Khadija a.s aur hazrat maryam a.s aur hazrat aasia a.s afzal tareen khawateen hain... Iss k ilawa bhi bohat se ahadees hain jo abhi meray zehan mein nahi aa rahein... Makkah mein jab kafir zulm kertay thay to zikr hai k Hazrat Fatima a.s rotti thein aur madad kerti thein,ohad mein jab daant shaheed huay to Hazrat Fatima a.s ka hi zikr hai k woh Rasool Allah saww ka khoon saaf ker rahi thein... Agar koi shaks kisi choar ki safarish kerta to Rasool Allah saww Hazrat Fatima a.s ka hi naam le ker kehtay k agar meri beti bhi hoti to mein aisi hi saza deta... Lakin inn sab waqiyaat mein kahin bhi baaki 3 betion ka zikr nahi milta k woh kahan thein...ohad ka bohat bara waqiya hua magar koi dosri beti na aaye k walid zakhmi huay hain ja ker pooch to lein,Rasool Allah saww per makkah mein zulm hota tha to koi dosri beti madad k liye na aati thi... Mubahilla k liye koi dosri beti sath na gaye na hi unn ki aulad na unn k shohar... Fatima a.s ko to jannat ki sardar bana diya aur afzal tareen khawateen mein shamil kiya magar baaki 3 betion k baray mein yeh bhi na kaha k yeh jannati mein aik marla ka ghar ki maalik bhi hon gi ya nahi aur na hi unn ki koi fazeelat ki baat ki... Fatima a.s ko jigar ka tukra kaha magar baaki 3 betion k baray mein yeh bhi nahi kaha k yeh jigar na sahi pehpharay ka hi tukra hain...aisa kiun ?? Ab yahan per 2 baatein zehan mein aati hain...ya to Rasool Allah saww insaf se kaam nahi letay thay Naozbillah k mohabbat sirf 1 beti se kertay thay aur baaki 3 ko ghaas bhi na daltay thay...aur Rasool Allah saww se bhi sirf 1 hi beti mohabbat kerti thein baaki 3 ko mohabbat nahi thi tabhi to jab museebat aaye to sirf 1 beti hi pohnchein baaki 3 betion ne perwah hi na ki... Ya dosri baat wohi jo shia aqeeda hai k beti sirf 1 hi thein,baaki sirf thonpi gaein tareekh mein dundi maar ker... Dosri teraf unn se zulm aap k ulma ne bhi kiya,sahih bukhari mein her shaksiat k fazail ka zikr hai aur aik alag baab mojood hai lakin mujhay uss mein Rasool Allah saww ki baaki 3 betion k fazail ka koi baab nazar nahi aaya... Masnad imam humbal mein bohat tafseel se ahadees likhi gaye hain aur bohat se khawateen se ahadees se riwayat ki gaye hain balkeh aisi khawateen ka bhi zikr kiya gaya hai k jin ka naam bhi maloon nahi tha lakin bohat ajeeb laga k uss mein kahin bhi Rasool Allah saww ki baaki 3 betion ka koi zikr hi nahi kiya gaya...chalein Rasool Allah saww ne to apni 3 betion ko ignore kiya hi aur na-insafi ki Naozbillah,magar aap k muattabar ulma ne kiun yeh na-insafi ki ??
|