Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally
Improve Male Fertility
20 Top Tips for Improving Male Fertility!
Male Pubic Hair Shaving
Male Pubic Shaving Starting Guide
Erection By Nitric Oxide
Stronger Erections - Get Harder Erections by Increasing Nitric Oxide
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

kya shaadi k liye ladhke ko settled hona zaruri hai?

Social Problem
 
 
 
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:17th Mar 2012, 5:14pm
 

kya shaadi k liye ladhke ko settled hona zaruri hai?









mai ye janna chahti hun k kya koi b ladhka jab tak settle na hojaye woh shaadi nahi karskta??..kya woh set hue bina hi shaadi krskta hai?...n meher kya usiki kamai honichiye ya phr uske walid ki b di jaaskti hai? 
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 573  Age:  38  
Posted on:18th Mar 2012, 1:59am
 

samaira

Shaadi k liye kisi shaks ka settle hona lazim nahi hai aur iss mein paisay ya dolat ki koi qaid bhi nahi hai,Rasool Allah saww k zamana k bohat se waqiyat aap perh sakti hain k aisay ashaab ne bhi shaadian kein jin k paas shayed kapray hi thay apnay jo pehnay huay thay aur dosri baat Islam se humein yeh bhi pata chalta hai k aap ki life ya aap ka naseeb aap ki biwi k anay se bhi change ho jata hai aur aap ne samnay aisi bohat se misaalein mojood hon gi k kisi shaks ne shaadi ki to woh bohat ghareeb tha lakin shaadi k baad woh ameer hota gaya ya koi shaks kafi khush-haal tha lakin shaadi k baad woh ghareeb hota gaya...

Rasool Allah saww k zamana ka aik waqiya hai k aik shaks ne Rasool Allah saww k samnay apni ghurbat ki shikayat ki,aap ne ussay kaha k shaadi ker lo,kuch arsa k baad woh shaks phir aaya aur ghurbat ki shikayat ki,Rasool Allah saww ne fermaya k dosri shaadi ker lo...uss k baad woh aaya to woh khush-haal shaks tha...iss liye zaroori nahi hai k aik shaks shaadi k liye khush-haal hi hona chahiye,ho sakta hai k uss ka rizq uss ki biwi k muqaddar k sath ho...

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5585  Age:  53  
Posted on:18th Mar 2012, 2:29am
 

well said mufti bhai

masha Allah nice reply

shadi k liyeh well settled hona aik "ghair islamic thought" hai.

shadi k liyeh mard ka baligh hona hi kai hai

islam maiN shadi zero paisay say bhi hosakti hai, kuch khrach kiyeh beghair

mehar laazim hai, magar yeh kuch bhi hosakta hai...hatta k kapray ka aik jora bhi, bah sharte kay larki iss qaleel mahar ko qabool karlay

waleemah bhi chand afraad ko normal khana khila kar kia jasakta hai ... hatta k aisaa bhi hosakta hai k agar laRka bilkul ghareeb hai aur woh 10 guest ko bhi nahi khila sakta to all guest apna apna khana lay kar aayain aur saath mil kar valimah kar laiN.

shadi k baad, larki ka rizq bhi laRkay k ghar otarnay lagta hai... quran main aataa hai k agar laRka ghareeb hai aur aur woh Allah tawakkal par shadi karlay to Allah ossay ghani kardeta hai

lekin yeh donoun families aur laRkay aur laRki par monhaar hai k woh ghareeb aur bay rozgaar laRkay say shadi karna pasand kartay haiN ya nahi... laRka mahar k liyeh apnay parents say bhi raqam lay kar desakta hai...apni kamayee say dena zaroori nahi
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:18th Mar 2012, 8:48am
 

mufti sahab








JazakAllah...ek r sawal hai k kya ladhka ghareeb na ho lekin woh set nahi hoskra tab kya woh shaadi krskta hai?..r kya ladhka yeh intension se shaadi karna chahta hai k agar woh falan ladhki se shaadi krle toh uske walid use settled krde ya usmeh madad krde kya yeh sahi hai?? r kya isteqara krne ke baad Allah wahi naseeb krdeta hai jo humare liye sabse behtar ladhka/ladhki hai??
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:18th Mar 2012, 9:26am
 

....








akser dekha jata hai k parents apni beti ko yeh kehte hai k ladhka settle nahi hai nahi usmeh uthni capability hai bus yehi ek reason se naa kehde kya yeh valid reason hai jabke ladhka r uska khandan acha ho deendar ho tab b yeh reason se reject krdete toh kya yeh sahi hai?..r ladhki k liye yeh k ladhke k parents isliye na kehde k ladhki k gharwale unki tarha hi5 nahi hai jabke ladhki achi ho r gharwale b ache r deendar ho kya yeh b valid reason hai??
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5585  Age:  53  
Posted on:19th Mar 2012, 12:00am
 

Q&A;

Q-1: kya ladhka ghareeb na ho lekin woh set nahi hoskra tab kya woh shaadi krskta hai?

A: laRka ghareeb ho yaa ameer, bay rozgaar ho ya job wala, set ho ya nah ho ... har soorat main woh shar'an shadi karsakta hai... ab yeh oss par monhasar hai k woh kab shadi karay

Q-2: kya ladhka yeh intension se shaadi karna chahta hai k agar woh falan ladhki se shaadi krle toh uske walid use settled krde ya usmeh madad krde kya yeh sahi hai??

A: shar'an yeh najaaiz yaa haraam nahi hai. hazrat Ali RA ki jab bibi fatima RA say shadi howi thi tab bibi fatima RA k walid hazrat Muhammad saw nay hazrat Ali ko apnay alag ghar maiN "settle" honay maiN madad di thi

albattah islami taaleem yeh hai k laRki ki "kifaalat" mard k zimmah hai... lehaza har mard ko shadi k baad apni biwi ki zimmah daari khud oThanay ki koshish karni chaahiyeh aur apnay susar say aisaa koi laalach nahi rakhna chaahiyeh... lekin agar koi laRka aisi tawaqqah rakhta hai to zeyadah say zeyadah woh laalchi aur khud.gharz kahlayega. lekin oska yeh amal najaaiz nahi hoga.

Q-3:kya isteqara krne ke baad Allah wahi naseeb krdeta hai jo humare liye sabse behtar ladhka/ladhki hai??

A: g nahi aisaa nahi hai... istekharah maiN ham Allah say yeh dua kartay haiN k Allah ham apnay liyeh jo faislah karaiN , osmaiN khair rakh day aur agar iss maiN koi shar ho to oss say hamaiN  mahfooz farma.ay. istekharah sirf aik dua hai, baaqi dua'ouN ki tarah... iss say zeyadah kuch nahi

Q-4 akser dekha jata hai k parents apni beti ko yeh kehte hai k ladhka settle nahi hai nahi usmeh uthni capability hai bus yehi ek reason se naa kehde kya yeh valid reason hai jabke ladhka r uska khandan acha ho deendar ho tab b yeh reason se reject krdete toh kya yeh sahi hai?

A; waisay islami taleem to yeh hai k rishtay maiN awwaleeN tarjeeh deen.daari ko di jaa.ay. lekin iskay bawajood degher reasons ki buinyaad par bhi rishtay select yaa mostarad kiyeh jasaktay haiN. bilkhasoos laRki k waledain laRki say zeyadah aqalmand, tajarbah kaar aur apni laRki k sab ay zeyadah khair khaah hotay haiN...lehaza laRki ko apnay parents ki roy ko tasleem karna chaahiyeh. issi maiN oska bhala hai. laRka agar deen.daar ho lekin lekin laRki k "ham pallah" nah ho, laRki say compatible nah ho tab bhi yeh rishtah behtar nah hoga. daure resaalat saw maiN bahoot say sahabah RA nay apni biwi ko talaaq dia yaa sahabia RA nay apnay shauher say khola lia ... halaaNkay as a muslim har sahaabi o sahaabia RA boland darjay par faiz thay... lekin aisay joray baham "compatible" nah thay...iss liyeh onka saath chalnaa mumkin nahi howa...aur iss maiN koi borayee bhi nahi hai

Q-5: ladhki k liye yeh k ladhke k parents isliye na kehde k ladhki k gharwale unki tarha hi5 nahi hai jabke ladhki achi ho r gharwale b ache r deendar ho kya yeh b valid reason hai??

A: g haaN yeh bhi valid reason haiN ... issi ko "kafoo" ya "ham.pallah" bhi kahtay haiN. islam nay shadi k liyeh issi ki targheeb di hai. both families ka "aik doosray jaisaa"  (compatible to each other) bhi aik valid reason hai, rishtah reject karne ko... lekin aisi families maiN shadi karna bhi manaa nahi hai... "ghair-ham-palla" say bhi shadi karna jaiz hai, lekin hikmat k khilaaf hai

wallaho aalam bissawab




nasirr Group: Members  Joined: 19th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 2  Age:  26  
Posted on:19th Mar 2012, 7:37am
 

bohat acha laga

sir ye site
mujhy bohat achi lagi apki baton se too banda aadha theeek ho
jata hy . mere sath bi kuch masail hain
nasirr Group: Members  Joined: 19th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 2  Age:  26  
Posted on:19th Mar 2012, 8:01am
 

kooooooiiiii hayyyyyyyy

kia mere elawa koi hy yahan
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:19th Mar 2012, 11:03pm
 

myrizvi








bht acha bataya apne...lekin sabkch intensions per depend krta hai na..maine suna hai k agar ghalat intension se shaadi kiye toh Allah ki blessings nahi rhti usmeh..r zyada priority deen ko de toh zyada behtar hai ryt?cuz jo deen k khareeb hota hai woh Allah k bhi khareeb hota hai..
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:19th Mar 2012, 11:03pm
 

myrizvi








bht acha bataya apne...lekin sabkch intensions per depend krta hai na..maine suna hai k agar ghalat intension se shaadi kiye toh Allah ki blessings nahi rhti usmeh..r zyada priority deen ko de toh zyada behtar hai ryt?cuz jo deen k khareeb hota hai woh Allah k bhi khareeb hota hai..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 181  Post: 6145  Age:  34  
Posted on:20th Mar 2012, 12:02am
 

kya shaadi k liye ladhke ko settled hona zaruri hai?

Shadi kay leyeh Yeh zuroori tu nahi lakin aghur Lurka apny paon pay khura hay kumaa raha hay tu yeh kafi hay, aghur woh khod kam wam nahi kur raa hay tu shadi say Problems payda ho jaty hen, Shadi kay bhad zuroriyaat or zimadariyan bur jati hen, jis kay leyeh murd ka kam pay hona job pay hona zurori hay, baqi setteld ka jo word hay eska mutlab yeh hota hay kay oska apna kam karobar job apna ghur pasa etc ho sub koch pora ho tu yeh momkin ni kisi k leyeh, aaj kul Lurka 30 years meah jaa kur job kurta hay kam karobar kurta hay , setteld wo he ho sukta hay jo moun meah sony ka chumcha lay kur payda hota hay

Shadi kay leyeh Murd ka zimadar hona or peyar kurny wala hona zuori hay or wife ka Life kay nushayb o furaaz meah sosti tungi meah sosti bemari meah husband kay sath hona zurori hay, aghur Khwaishaat ka pora hona shadi ka husool hay tu pher mayoosi he honi hay,

Murd Educated well skilled professional ho zimadar ho Mehnti ho yeh qualities os meah hen tu setteld hona na hona koi hasiyat ni rukhta,




Dosta Group: Members  Joined: 20th Mar, 2012  Topic: 1  Post: 5  Age:  21  
Posted on:20th Mar 2012, 5:03pm
 

Allah Ap sab doston ko Khus rakha

Allah Ap sab Doston ko Khush Rakha Ap Logon ko Ak dosra ki Help karna or Itna
payar sa samjhna sa to admi khud ba khud theek ho jata ha uski sab parhsahni dor ho jati ha mujha ya site bohat achi lagi is ma sab log bohat moazaz trika sa ak dusra sa bat karta han or ak dusra ka masla ka hal batata han very nice . mujha boaht khusi howi ap sab logon ki goftgo sun kar
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:20th Mar 2012, 6:07pm
 

H/dr_Qasim








H/dr_Qasim,apne bht achi baat bati isse yeh malum hota hai k ladhke k set hone ya na honepe objctn nahi hona chahiye balke woh kithne capable hai usko dekhker use accpt krna chahiye jo capable hota hai hardwrkng hota hai woh kabhi b set hojata hai r apni responsibilities uthaskta hai..
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 7  Post: 43  Age:  22  
Posted on:20th Mar 2012, 6:08pm
 

Dosta








ap hume apni dua meh zarur yadh rakhe..
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 181  Post: 6145  Age:  34  
Posted on:20th Mar 2012, 11:22pm
 

samaira

Yes ap theek sumjai ..
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us