Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Improve Male Fertility
20 Top Tips for Improving Male Fertility!
Male Pubic Hair Shaving
Male Pubic Shaving Starting Guide
Erection By Nitric Oxide
Stronger Erections - Get Harder Erections by Increasing Nitric Oxide
Enlarged Prostate
Treating an Enlarged Prostate
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ablution Taking: Wazoo Ka Tarika In Urdu

Religion and Culture
 
 
 
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 34  Post: 2675  Age:  24  
Posted on:3rd Feb 2012, 8:40am
 

Ablution Taking: Wazoo Ka Tarika In Urdu

Here I have a question. I hope I will get my answer. When ever I am taking ablution so I some times wash my face or hands four times. Is this right method? Please reply me urgently.

 ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﺍﯾﮏ ﺳﻮﺍﻝ ﮨﮯ. ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻣﯿﺪ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﯿﮟ ﺟﻮﺍﺏ ﻣﻞ ﺟﺎﺋﮯ ﮔﺎ. ﻣﯿﮟ ﺟﺐ ﮐﺒﮭﯽ ﻭﺿﻮ ﺗﻮ ﺑﻌﺾ ﺍﻭﻗﺎﺕ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﺮﮮ ﭼﮩﺮﮮ ﯾﺎ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﭼﺎﺭ ﻣﺮﺗﺒﮧ ﺩﮬﻮ ﺭﮨﺎ ﮨﻮﮞ. ﯾﮧ ﺻﺤﯿﺢ ﮨﮯ؟ ﮐﯿﺎ ﯾﮧ ﺻﺤﯿﺢ ﻃﺮﯾﻘﮧ ﮨﮯ؟ ﺑﺮﺍﮦ ﻣﮩﺮﺑﺎﻧﯽ ﻣﺠﮭﮯ ﻓﻮﺭﯼ ﻃﻮﺭ ﭘﺮ ﺟﻮﺍﺏ ﺩﯾﮟ


majorAli Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 0  Post: 1490  Age:   
Posted on:4th Feb 2012, 12:39am
 

In forget ful manner

its okay, but try to do what is asked of you in Islam, which is 3 times, not 4.

this is my opinion, forum seniors know better.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5629  Age:  53  
Posted on:4th Feb 2012, 1:20am
 

Wazoo Ka Tareeqah In Urdu

koi faraq nahi paRta
1. kam say kam aik baar hath mouNh dhonay say bhi wazoo hojata hai.
2. teen say zeyadah baar haath mouNh dhonay say bhi koi faarq nahi paRta, wazoo ho jata hai
3. albattah masnoon tareeqah yehi hai k har part ko 3 baar dhoya jaa.ay...bhool chook maiN kam ya zeyadah honay say bhi wazoo ho jata hai

wallaho aalam bissawab
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 34  Post: 2675  Age:  24  
Posted on:4th Feb 2012, 1:44am
 

wazoo ka tareeqa

Thanks both of u. Mashallah
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:4th Feb 2012, 2:41am
 

Wadhu Ka Tareeqa In Urdu

well known
Allah ne her amal k kuch ahkaam bataye hain aur jo uss se ziadati karay ga uss ka amal sahi nahi ho ga...

Jahan tak mein samajhta hoon 3 dafa se ziada paani dalnay se wudhu nahi hota...

Aap naha to nahi rahay hain k jitna paani daalo kher hai yeh wudhu hai aur wudhu k kuch asool hain uss se ziada aap karo ge to aap ghalat ho ge...

Issi terha aap wudhu k ahkaam dekh lein Allah ne Quran mein clear bataya hai k hath dho aur moun dho aur ser per aur paon per masah karo...

Lakin kuch loagon ne translation mein brackets mein (dhonay) ka likh ker wudhu ko bilkul hi change ker diya hai...

Apni baat ko clear kernay k liye mazeed bata doon k tayamum jo paani na honay ki surat mein kiya jata hai uss mein sirf hath aur moun per tayamum kernay ka hukam hai yeni jin azaa ko wudhu mein dhonay ka hukam hai unhi azaa per tayamum kernay ka hukam hai...

Bohat hi ajeeb baat hai k agar aap ne socks pehni hui hon to phir aap paon per masah kertay hain lakin socks na hon to dhonay ka hukam hai :P

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:4th Feb 2012, 3:33am
 

re: Wazoo In Urdu

alirajput
Jin azaa ko Allah ne dhonay ka hukam diya hai hum unhain wudhu mein dhotay hain aur jin per masah kernay ka hukam diya hai hum unn per masah kertay hain...

Aur jaisa k mein ne pehlay bhi bata diya hai k tayamum jo wudhu ka nemobadal hai uss mein sirf 2 azaa per tayamum kernay ka hukam hai aur woh sirf hath aur moun hain...paon per tayamum kernay ka koi hukam nahi hai phir hum kaisay paon dhoein...

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 34  Post: 2675  Age:  24  
Posted on:4th Feb 2012, 3:59am
 

Wazoo Ka Tareeqa

Mufti
Thanks mera jawab dene ke liye, lekin mujhe yaha only apne sawal ka jawab chaye tha, or ap taymum pe gaye or pir se har thread ki tarah yaha par bi debating start ki.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:4th Feb 2012, 4:17am
 

Wazoo Ka Tareeqa

Wellknown
Meray bhai mein ne aap k sawal ka jawab bhi diya hai k wudhu k kuch asool hain aur unn asoolon se aap kam karein ge tab bhi aap ka wudhu sahi nahi aur ziada karein ge tab bhi aap ka wudhu sahi nahi hai...jo shaks 4 baar paani dalay ga kisi azaa per uss ka wudhu sahi nahi ho ga...

Well Known
Mufti
2nd time tnx for explanation
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 34  Post: 2675  Age:  24  
Posted on:4th Feb 2012, 5:52am
 

Mufti

2nd time tnx for explanation
mairak Group: Members  Joined: 05th Dec, 2011  Topic: 11  Post: 1264  Age:  32  
Posted on:4th Feb 2012, 10:39am
 

Mufti

Hello

can you come in chat? I need to ask something about namaz in ahl-e- tashee

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:4th Feb 2012, 11:21pm
 

mairak

Chat se aap ka kiya matlab hai ??

Aap mujh se chating category mein baat kerna chahti hain ya iss forum k ilawa chat kerna chahti hain ??

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5629  Age:  53  
Posted on:5th Feb 2012, 12:34am
 

Mufti bhai say request

maiN apka shukar guzaar houNga agar ap fiqah jafaryah maiN wazoo ka tareeqah step by step yahaaN bayaan kardaiN. thanx in advance
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:5th Feb 2012, 3:59am
 

myrizvi

Myrizvi bhai aap ne shia aqeeda ka wudhu poocha...wudhu mein kuch wajibat hain aur kuch muhtisibat hain...

Ab uss mein pehlay 3 dafa hath dhona,moun mein paani dalna aur naak mein paani dalna muhtasibat hain...

Uss k baad chehray ko dhona jo k wajibat mein hain aur uss k baad dono hath dhona kohnion tak...

Uss k baad ser aur paon ka masah kerna wudhu k wajibat mein se hain...

Iss k liye mein aap ko aik video dena chahta hoon jis mein bohat hi detail se wudhu ka masnoun tareeka bataya gaya hai jis se shayed aap mazeed detail mein shia wudhu k baray mein samajh sakein ge...

http://www.youtube.com/watch?v=0mbeHwl-1qw

aur yeh video bewaqoof sahab k uss tanz ko bhi clear kerti hai k jis mein unhon ne hamaray aqeeda ko posheda ya secret kaha...ab jo aqeeda youtube per aa jaye mera nahi khayal k woh posheeda rehta hai...

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:5th Feb 2012, 6:28am
 

alirajput

yeh jo video clip hai yeh koi propegenda nahi hai balkeh hamara wudhu hai...

alirajput sahab pehlay aap khud to musalman ho jaein dosron ko phir dawat dijiye ga...

Mein ne aap se pocha tha k aap wudhu mein paon kiun dhotay hain jab k socks per aap masah kernay ka hukam detay hain...

Aur phir tayamum mein sirf 2 azaa per tayamum wajib hai phir aap wahan per paon per tayamum kiun nahi kertay ??

tote_sapne Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 5  Post: 1117  Age:  26  
Posted on:5th Feb 2012, 10:57am
 

ali bhai

jb tk wazu sahi nhi hota tb tk nimaz bhi qabool nhi hoti or ye boht apne glt kaha mufti bhai ko ke muslim bn jaye mufti bhai ka pure eman hai mtlb shia ke ilawa jo bhi fiqra hai un sb ka emn adhoora hota hai .
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 632  Age:  38  
Posted on:5th Feb 2012, 11:15pm
 

tote_sapne

Allah salamat rakhay aap ko...

alirajput sahab ki post perh ker mujhay aik joke yaad aa gaya...

1947 mein aik pathan ne suna k hinduon ne musalmanon k sath bohat zulm kiya hai to ussay bohat ghussa aata hai aur woh talwar nikal ker bhair aata hai...samnay hi aik hindu nazar aa jata hai ussay...

hindu jab ussay dekhta hai to ghabra jata hai k aik to pathan aur dosra hath mein talwar...pathan hindu ko kehta hai oye kafir perh kalma...

hindu hath joar ker kehta hai hazoor perhao kalma...

pathan sochnay lag jata hai lakin phir hindu ko kehta hai dafa ho ja werna gerdan urra doon ga...hindu chala gaya.

pathan afsos se kehta hai oye khocha aaj agar mujhay kalma aata hota to aik kafir ko mein bhi musalman ker hi leta :P

To meri behan alirajput ka bhi yehi haal hai woh bhi pathan ki terha aik musalman kerna chahtay hain.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 107  Post: 5629  Age:  53  
Posted on:6th Feb 2012, 1:47am
 

haa haa nice joke by mufti

kam o besh ham sab ka ossi paThan jaisa haal hai. quran o hadees ki taleemaat say nawaaqif apnay apnay maslakouN , firqouN k leaders k aqwaal ko pakaR kar khud ko mosalmaan aur doosrouN ko .... Allah maaf karay...
WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 34  Post: 2675  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 1:56am
 

tote_sapne

to kiya shia firqa sahe muslim hai????

Shia firqay ka aqeeda hia ke Pekhambariyat ka wahi to Hazrat Ali ko ani wali thi... tho farishta se ghalti ho kar Hazrat Muhammad (SAW) ko di.......... Nauzubillah.

To kiya ek farishte se ghalti hoti hai????? Agar farishte se ghalti hoti hai to Allah nahe rok sakta???? Kiya ye sab kufur nahe hai?????

Hum jab koi janwar ko halaal karte hai to kehte hai ke ALLAH HUAKBAR,, jiss se halaal hojaye na ke kaat diya jaye,,,,, lekin ye log kehte hai ke Hazrat Ali ke raza ke mutaabiq,, esa hi kuch bolte hai....... jab koi cheez halaal na ho to osske khane ka kiya faida?????
tote_sapne Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 5  Post: 1117  Age:  26  
Posted on:6th Feb 2012, 2:32am
 

wellknown

bhai mene yeh kb kaha or kis ne bula hai ke Shia firqay ka aqeeda hia ke Pekhambariyat ka wahi to Hazrat Ali ko ani wali thi... tho farishta se ghalti ho kar Hazrat Muhammad (SAW) ko di.......... Nauzubillah.
shyd apne ye glt suna hai the holy prophet saw .khuda pak rasool hai or mola ali a.s khuda pak ka wali hai imam hai mola hai .

jub ALLAH pak rasool a.a.w se farmya k NABUWAT tamam krdo is akhri khutbe ke bahd........ap ne hujat ul wida ka akhri khutba suna .........jub rasool pak s.a.w MOLA ALI A.S ka hath tham kar hawa me buland kia or farmya .........." Man Kuntum Mola Fahaza Ali un Mola"

jis ka me mola uska ali a.s mola .........ary jis ALLAH PAK ne mula bnya ho qul qainat ka ........tu us se bhi khuda pal razi na hoga .........
tote_sapne Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 5  Post: 1117  Age:  26  
Posted on:6th Feb 2012, 3:22am
 

wellknown

talash haq me na dar dar ki thokare khao .
humari mano to sui najaf chale aon..
betha mushkilat ke raste haar ke ......
or badnaseeb dekh ali a.s ko pukar ke.........
1 2 3 4 5  >>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us