Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Male Fertility
Increasing Male Fertility
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ablution Taking: Wazoo Ka Tarika In Urdu

Religion and Culture
 
 
 
Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 306  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2012, 6:50am
 

taboot men aakhri keel

1. Tayamum wudhu ka namobadal hai jab paani na ho...tayamum mein sirf 2 azaa per kiya jata hai aur unn azaa per kiya jata hai jo shia aqeeda k mutabiq wudhu mein dhonay ka hukam hai,aap ka aqeeda hai k paon ko dhona bhi wajibat mein hai to phir tayamum mein paon per aap tayamum kiun nhi kertay ??

My Reply

yeh kia mantaq hy aapki k wazu men jis cheez ko dhoya jay ga tayymum bhi un hi azaa pr kia jay ga??? Quran men agar pairon ka tayymum hota to woh bhi krna parhta or yeh nahi dekha jata k wazu men pair dhona hy ya masah krna..... or ab men wazu ki ayat ki roshni men paron ka dhona sabit kr deta hun...

Surah Maeeda Ayat 6.


يَـٰٓأَيُّہَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِذَا قُمۡتُمۡ إِلَى ٱلصَّلَوٰةِ فَٱغۡسِلُواْ وُجُوهَكُمۡ وَأَيۡدِيَكُمۡ إِلَى ٱلۡمَرَافِقِ وَٱمۡسَحُواْ بِرُءُوسِكُمۡ وَأَرۡجُلَڪُمۡ إِلَى ٱلۡكَعۡبَيۡنِ‌ۚ


اے ایمان والو جب تم نماز کو اُٹھنے لگو تو اپنے چہروں کو دھووٴاور اپنے ہاتھوں کوبھی کہنیوں سمیت اور اپنے سروں پر ہاتھ پھیرواور(دھووٴ) اپنے پیروں کو بھی ٹخنوں سمیت۔

Arabic zubaan faseh o baleeg zubaan hy is men urdu zubaan ki tarhan yeh nahi hota k aakhri lafz ka taluk us say pahly lafz say hi ho ..jesy is ayat men likha hy k masah kro sar ka or aagay paron ka zikar aaya hy to pairon ka amal sar k msah krny k hukam sy nahi juray ga balky pairon ka amal dhony waly hukam sy jura hua hy .. men asaan alfaaz men yeh baat explain krta hun

meny ayat men jo block letter kiay hen un sub ka apas men taluk hy jesy Mun ka dhona haton ka khunoin tak dhona pr pairon ka dhona... ap in k arabi alfaaz pr gor kren to saaf nazar aa jae ga .. dhony k 3 Words hen or masah krny ka ek word hy jesy

1) وُجُوهَكُمۡ

2) وَأَيۡدِيَكُمۡ

3) وَأَرۡجُلَڪُمۡ

4) masah krny ka hy بِرُءُوسِكُمۡ

Ab saaf tor pr dekha ja sakta hy k shuru k 3 word ek hi type k hen jin ka dhona wajib hy or jo akhri word masah krny ka hy wo alag type ka hy. jo cheez dhony ki hy us men yeh type hy . Wojuhaakum . Ayediyaakum or Arjulaakum
teno alfaaz ek hi type k hen jin men aa hy .matlab k zabar hy ..jub k masah krny ka jo word hy Biroseekum hy is men ee hy matlab zair hy . zabar nahi hy .. is liay ye azu sirf masah krny ka hy baki teeno azzu dhony waly hen.

is ki misaal isi ayat k agly hisy men hy jis men Tayymum ka tareeka btaya gya hy is sy baat or waziay ho jaye gi...

فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدً۬ا طَيِّبً۬ا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِڪُمۡ وَأَيۡدِيكُم مِّنۡهُ‌ۚ


تم پاک زمین سے تیمم کرلیا کرو یعنی اپنے چہروں اور ہاتھوں پر ہاتھ پھیر لیا کرو اس(زمین پر) سے


ab is tayymum ki ayat men jin do azaa ka masah krny ka kaha hy woh yeh hen

1) بِوُجُوهِڪُمۡ

2)وَأَيۡدِيكُم

2 ab wazay tor pr dekha ja sakta hy k is men same usi type ka word use hua hy jo wadu ki ayat men sar ka masah krny ka use hua tha kiun k is men dono azza ka masah krna hy jesy .. bewojoheekum or wa-aideekum ..

dono men ee use hau yh yani zair lagi hy.. zabar nahi hy .

ab ek or baat gor talab hy k jub chehry ko dhony ka hukam kia to wazu men usay Wajuhaakum kaha or jub usy masah krny ka hukam dia to wujoheekum kaha isi tarhan pairon k liay bhi aa use hua .... agar parion ka masah krny ka hukam hota to us word ko yun kaha jata wa-arjuleekum jub k asal word yeh hy wa-arjulaakum ..

ab aaty hen dusri Surat ki traf us men bhi tayymum ka tareeka btaya gya hy

Surah Nisa Ayat, 43

فَتَيَمَّمُواْ صَعِيدً۬ا طَيِّبً۬ا فَٱمۡسَحُواْ بِوُجُوهِكُمۡ وَأَيۡدِيكُمۡ‌ۗ إِنَّ ٱللَّهَ كَانَ عَفُوًّا غَفُورًا

تم پاک زمین سے تیمم کرلیا کرو یعنی (اس زمین پر دوبارہ ہاتھ مارکر)اپنے چہروں اور ہاتھوں پر (ہاتھ) پھیر لیا کرو بلاشبہ الله تعالیٰ بڑے معاف کرنے والے بڑے بخشنے والے ہیں۔


is ayat men bhi chehry or haton k masah krny ka zikar hy or is men bhi same woh hi word use huya hen jesy

1) بِوُجُوهِكُمۡ

2)وَأَيۡدِيكُمۡ‌ۗ

bewojoheekum and wa-ayideekum dono me ee hy yani zair hy

*************************************************************

2. Ahl sunnah k mutabiq wudhu mein paon dhonay ka hukam hai na k masah ka lakin agar aap ne socks pehni hon to phir aap ko utaar ker paon dhonay ka hukam nahi hai balkeh aap socks per masah ko jaiz samajhtay hain...aisa kiun hai k paon per to masah jaiz nahi hai magar socks per masah jaiz ho jata hai ??

My Reply.

galat janaab.. yeh kis ny keh dia k sock utaar kr pair dhony ka hukam nahi hy?? balky sock utaar kr pair dhoy jaen gain .. masah phir bhi nahi hoga pair ka.. or rahi baat socks pr masah krny ki to pahli baat yeh hy k woh optional cheez hy k socks pr masah bhi kia ja sakta hy or dusri baat yeh k woh socks aaaj kl k dor k aam socks nahi hen jo cotton ya wool ya nylon k bany hon.. un par masah jaiz nahi hy woh sock utaar kr pair dhony lazmi hen ..

jin ahadees men socks pr masah krny ka zikar hey wahan word khuffain use hua hy or khuffain ka matlab cotton ya wool ki ya kapry ki jarabain nahi hota balky Chamray k sock hoty hen or woh aesi hon k un sy pani jazab ho kr pairon tak na pohonch saky or woh sock pahan kr kuch melon ka faasla bhi tay kia ja sakta ho or woh phaty na . or woh pahany sy pahly wazu hona chahiay pair bilkul saaf hony chahiay or phir wazu toot jay to un socks pr masah krny ki ijazat hy . or woh socks pahny k baad musafir k liay 3 din tak ki ijazat hy un par masah krny ki jab k aam admi pr ek din ki ijazat hy masah krny ki.. agar gusal farz ho jaye to un ko utaar kr pair dhony ka hukam hy. or agar masah krny k baad woh utaar diay to pair dhony paren gen ..

************************************************************

3. Ahl sunnah k mutabiq paon per masah kerna jaiz nahi lakin wudhu mein agar aap ne shoes pehnay hon to aap shoes per masah ko jaiz samajhtay hain,aisa kiun ?? aur shoes per masah kernay ki wajah kiya hai jab k masah ya dhona azaa ka hota hai na k shoes ka.

My Reply:

aesa nahi hy janaab .... joton pr masah krny sy wazu nahi hoti...

Rasool Allah SAW ny juton pr us time masah kia tha jub unki pahly sy hi wazu thi or tooti bhi nahi thi .. wazu k hoty huay dubara wazu krny ya na krny men fark nahi hy lakin pahli wazu hoty huay bhi tazah wazu ki krty huay jooton ka masah kia .

Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 574  Age:  38  
Posted on:18th Mar 2012, 12:15pm
 

Batman1

Batman sahab aap bachay hain ya bachay bunanay ki acting ker rahay hain ??

Sab se pehlay jo aap ne itni taqreer ki k arabic mein aisa hota aur waisa hota hai woh sab moqa ki munasabat se nahi thein kiun k mera sawal yeh tha k wudhu mein jin 2 azaa ko dhonay ka hukam hai unn per hi tayamum ka hukam hai phir paon per tayamum kernay ka hukam kiun nahi hai magar aap uss jawab se bachnay k liye apni philosophy jharnay lag gaye...

Iss se aap bachon ko to bewaqoof bana saktay hain ya aap jis mulla se sabaq seekh ker aaye hain woh aap ko to bewaqoof bana saktay hain lakin zaroori nahi k sab hi bewaqoof bun jaein...

Mein ne kiya arabic ki baat ki jo aap batanay lag gaye ??

Aap ka yeh masla kiun hai k jo baat mein aap se pochta hoon aap uss ka jawab denay k dosri baat ka jawab denay lag jatay hain jis ka koi zikr hi nahi hua ??

Kiya mein ne kahin bhi kaha k ayat mein lafz end mein tha to uss se masah liya jaye ga ?? phir aap ne kiun kahani shuru ker di ??

Umeed kerta hon k aap ussi baat ka jawab diya karein ge jis ka pochon...

galat janaab.. yeh kis ny keh dia k sock utaar kr pair dhony ka hukam nahi hy?? balky sock utaar kr pair dhoy jaen gain .. masah phir bhi nahi hoga pair ka.. or rahi baat socks pr masah krny ki to pahli baat yeh hy k woh optional cheez hy k socks pr masah bhi kia ja sakta hy or dusri baat yeh k woh socks aaaj kl k dor k aam socks nahi hen jo cotton ya wool ya nylon k bany hon.. un par masah jaiz nahi hy woh sock utaar kr pair dhony lazmi hen ..

http://media.photobucket.com/image/masah/mufti-e-azam/scan0001-7.jpg?o=24

Meray bhai aap ne kaha k paon dohnay ka hukam hai lakin yeh sahih bukhari ki hadith hai jis mein likha hai k Rasool Allah saww ne kulli ki,naak mein paani dala,moun dhoya,hath dhoye aur ser per masah kiya aur socks per masah kiya...ab aap ne kaha masah phir bhi nahi ho ga paer ka...

Phir aap ne kaha k socks per masah kerna optional hai...meray bhai yeh to baat ajeeb ho gaye ab k aap k aqeeda k mutabiq paer dhona wajib hai lakin yahan to aap aik wajib amal ko khatam ker k aik optional ko tarjeeh de rahay hain...kiya mein poch sakta hoon k yeh kis science k tehat kiya aap ne ??

Aur phir aap ne aik aur logic di k cotton aur wool socks per masah jaiz nahi hai lakin chamray ki socks per masah jaiz hai...

Aap bataein ge k Quran mein Allah ne insan k chamray ko dhonay ya masah kernay ka hukam diya ya murda janwar k chamray per masah kernay ka hukam diya ??

Aap to ajeeb behki behki baatein kernay lag gaye hain meray bhai...

aesa nahi hy janaab .... joton pr masah krny sy wazu nahi hoti... 

Rasool Allah SAW ny juton pr us time masah kia tha jub unki pahly sy hi wazu thi or tooti bhi nahi thi .. wazu k hoty huay dubara wazu krny ya na krny men fark nahi hy lakin pahli wazu hoty huay bhi tazah wazu ki krty huay jooton ka masah kia .

InshAllah mein iss masla per bhi jald hi aap ko scan pages doon ga ta k aap woh perh sakein aur phir uss per jawab bhi dein...

Tab tak jo mein ne sawal kiye thay jin ka jawab aap ne nahi diya...unn k jawab de dein ta k topic agay berh sakay...

Aur janab yeh akhari keel thonknay walay title bana ker aap kiya sabit kerna chahtay hain k readers aap ko faateh maan lein ge ??

Janab aisa nahi hota kiun k agar aisa hota to mein aap se ziada behtar dialogue maar sakta hoon,umeed kerta hoon k aap next post mein yeh Altaf Hussain style choar ker jawab denay per ziada tawajoh dein ge...

abdul khaliq khan Group: Members  Joined: 19th Jan, 2012  Topic: 1  Post: 15  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2012, 2:20pm
 

Salam!

Meri ek request he Mufti bhahi se aur dosray shia brothran se k ap dosray fiqh k logon ko jb koi ans deya kru tu phalay un k nazreya ko dhakha kro k woh keya khna chahta he.
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 574  Age:  38  
Posted on:18th Mar 2012, 3:04pm
 

abdul khaliq khan

w salam!

bhai mein aap ki baat samjha nahi k aap kiya kehna chahtay hain kiun k jahan tak iss topic ki baat hai to mein ne to ahl sunnah members ka aqeeda dekha bhi aur perha bhi aur ussi hawalay se mein ne sawal bhi kiye hain kiun k hamara ikhtelaf paon per masah kernay ya paon dhonay per hai aur ussi per mein ne kuch sawalat bhi kiye hain...

Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 306  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2012, 5:57pm
 

keel to thok dia ab ...

Batman sahab aap bachay hain ya bachay bunanay ki acting ker rahay hain ??

Sab se pehlay jo aap ne itni taqreer ki k arabic mein aisa hota aur waisa hota hai woh sab moqa ki munasabat se nahi thein kiun k mera sawal yeh tha k wudhu mein jin 2 azaa ko dhonay ka hukam hai unn per hi tayamum ka hukam hai phir paon per tayamum kernay ka hukam kiun nahi hai magar aap uss jawab se bachnay k liye apni philosophy jharnay lag gaye...

Iss se aap bachon ko to bewaqoof bana saktay hain ya aap jis mulla se sabaq seekh ker aaye hain woh aap ko to bewaqoof bana saktay hain lakin zaroori nahi k sab hi bewaqoof bun jaein...

Mein ne kiya arabic ki baat ki jo aap batanay lag gaye ??

Aap ka yeh masla kiun hai k jo baat mein aap se pochta hoon aap uss ka jawab denay k dosri baat ka jawab denay lag jatay hain jis ka koi zikr hi nahi hua ??

Kiya mein ne kahin bhi kaha k ayat mein lafz end mein tha to uss se masah liya jaye ga ?? phir aap ne kiun kahani shuru ker di ??

Umeed kerta hon k aap ussi baat ka jawab diya karein ge jis ka pochon...


Reply:

aap kia doodh pity bachy hen ya apko mera reply nazar hi nahi aata ya samajh nahi aata ??

meny apko jawab dia hy k agar Quran men pair ka tayymum ka hukam hota to pair ka tayymum bhi kia jata.. aap jaan bujh kr anjaan kiun banty hen?? meny aapko Dono chezain sabit kr ny k liay pair ka dhona or tayymum ki ayat men azaa ka masah krny ka explain kia hy to yeh meny apny parosi ko jawab dia hy??? yeh aap Allah sy puchen k Pair ka tayymum ka hukam kiun nahi dia Allah ny.. yeh kesa bachon wala aitraaz hy apka?? agar wazu men mun ka masahy ka hukam hota to phir mun ka masah hi kia jata ...

or meny aapsy pucha bhi tha k shia jub wazu sy pahly ahtiatan pair dhoty hen to tayymum krny sy pahly ahtiatan pair ka tayymum krty hen?? yeh bachon waly tareekay chor den ab ..

or aapny kaha k jin do azaa ko wazu men dhony ka hukam hy unko aapk tayymum men masah krty hen to meny ayat sy sabit kai k 3 azaa pr dhony ka hukam hy or do azaa pr tayymum ka hukam hy or yeh apki apni logic hy k pair ka masah hota hy is liay tayymum men uska masah nahi hota .. yeh logic kahin nahi likhi hui ... jo hukam dia hy woh krna hy bhaly wazu my wo dhoya jay ya uska masah kia jaye .

***********************************************************

http://media.photobucket.com/image/masah/mufti-e-azam/scan0001-7.jpg?o=24

Meray bhai aap ne kaha k paon dohnay ka hukam hai lakin yeh sahih bukhari ki hadith hai jis mein likha hai k Rasool Allah saww ne kulli ki,naak mein paani dala,moun dhoya,hath dhoye aur ser per masah kiya aur socks per masah kiya...ab aap ne kaha masah phir bhi nahi ho ga paer ka...


Reply:

aapny scan page dikha kr konsi anokhi cheez sabit ki hy??? aapny mera reply gor say nahi parha tha kia?? or scan page men kis ny kis ko pair pr masaah krny ka hukam dia hy ??? aapko kahin nazar aa rha hy?? zra btana pasand kren gen k pair ka masah kia ya socks pr masah kia??? or scan page men konsi alag baat likhi hy jo meny nahi kahi thi??

meny apko kaha bhi tha k sock pr masah optional hy or is hadees men Rasool saw ny yeh option use kia warna agar socks na pahny hoty ya sock utaar kr wazu krty to lazman pair ko dhoty lakin masah nahi krty aapko samajh kiun nahi aa rahi yeh baat?? yeh kis haddes sy aapny matlab nikala k agar socks pahny hon to unhy utaar kr pair dhona mana ho jata hy or un socks pr masah wajib ho jata hy??

**********************************************************

Phir aap ne kaha k socks per masah kerna optional hai...meray bhai yeh to baat ajeeb ho gaye ab k aap k aqeeda k mutabiq paer dhona wajib hai lakin yahan to aap aik wajib amal ko khatam ker k aik optional ko tarjeeh de rahay hain...kiya mein poch sakta hoon k yeh kis science k tehat kiya aap ne ??

Reply

bilkul puch sakty hen aap. yeh science Allah ki ataat or rasool ki ataat wali hy .. or mera taluk ksi munkiry hadees k firky sy nahi hy k sirf Quran ko manu.. mutawatir ahadees sy yeh amal sabit hy ..

**********************************************************

Aur phir aap ne aik aur logic di k cotton aur wool socks per masah jaiz nahi hai lakin chamray ki socks per masah jaiz hai...

Aap bataein ge k Quran mein Allah ne insan k chamray ko dhonay ya masah kernay ka hukam diya ya murda janwar k chamray per masah kernay ka hukam diya ??

Reply

Quran men Allah ny insaan k chamry ko dhony k sath sath rasool saw ki ataat ka hukam bhi dia hy jis sy janwar k chamry pr masah krny ki ijazad bhi mil gaye takay Allah k bando ko ksi kisam ki paraishani na ho ..

*************************************************************


Aur janab yeh akhari keel thonknay walay title bana ker aap kiya sabit kerna chahtay hain k readers aap ko faateh maan lein ge ??

Reply

meny to keel thok kr jo sabit krna tha woh kr bhi dia... ab dekhan yeh hy k aap Quran sy pair ka masah sabit kr k konsa dialogue marty hen
Batman1 Group: Members  Joined: 25th Nov, 2011  Topic: 3  Post: 306  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2012, 8:33pm
 

CORRECTION

dusry reply me socks ki jga pair keh dia hy galti sy
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 574  Age:  38  
Posted on:19th Mar 2012, 1:32am
 

Batman1

meny apko jawab dia hy k agar Quran men pair ka tayymum ka hukam hota to pair ka tayymum bhi kia jata.. aap jaan bujh kr anjaan kiun banty hen?? meny aapko Dono chezain sabit kr ny k liay pair ka dhona or tayymum ki ayat men azaa ka masah krny ka explain kia hy to yeh meny apny parosi ko jawab dia hy??? yeh aap Allah sy puchen k Pair ka tayymum ka hukam kiun nahi dia Allah ny.. yeh kesa bachon wala aitraaz hy apka?? agar wazu men mun ka masahy ka hukam hota to phir mun ka masah hi kia jata ... 

or meny aapsy pucha bhi tha k shia jub wazu sy pahly ahtiatan pair dhoty hen to tayymum krny sy pahly ahtiatan pair ka tayymum krty hen?? yeh bachon waly tareekay chor den ab ..


Meray bhai aap pata nahi kiun meray sawal ka jawab denay k bajaye khud se hi unn sawalat k jawab detay hain jo shayed aap ne khud se tayyar ker rakhay hotay hain k ab woh yeh sawal karay ga aur mein yeh jawab doon ga :P

Mein ne aap se pocha tha k Allah ne tayamum mein unn 2 azaa per tayamum kernay ka hukam hi kiun diya jis per shia kehtay hain k wudhu mein sirf inn ko dhonay ka hukam hai ??

Aur jo aap ne last post mein sabit kernay ki koshish ki uss ka kuch taluq bhi nahi tha iss topic se kiun k Quran sab k paas hota hai aur uss mein arabic bhi likhi hoti hai to aap ne kon sa teer mara arabic likh ker aur apni merzi ki translation ker k ??

or aapny kaha k jin do azaa ko wazu men dhony ka hukam hy unko aapk tayymum men masah krty hen to meny ayat sy sabit kai k 3 azaa pr dhony ka hukam hy or do azaa pr tayymum ka hukam hy or yeh apki apni logic hy k pair ka masah hota hy is liay tayymum men uska masah nahi hota .. yeh logic kahin nahi likhi hui ... jo hukam dia hy woh krna hy bhaly wazu my wo dhoya jay ya uska masah kia jaye .

Aap ne kuch bhi to sabit nahi kiya meray bhai,aap khud se sochtay hain khud se sawal kertay hain,khud se uss ka jawab detay hain,khud se apni tareef aur wah wah kertay hain aur khud se dialogue baazi shuru ker detay hain jab k mein ne aap ko uss waqt bhi kaha tha k pls unn baaton ka jawab dein jo mein poch raha hoon,aap unn k ilawa sab baaton k jawab detay hain jin ki topic per zaroorat hi nahi hoti...

aapny scan page dikha kr konsi anokhi cheez sabit ki hy??? aapny mera reply gor say nahi parha tha kia?? or scan page men kis ny kis ko pair pr masaah krny ka hukam dia hy ??? aapko kahin nazar aa rha hy?? zra btana pasand kren gen k pair ka masah kia ya socks pr masah kia??? or scan page men konsi alag baat likhi hy jo meny nahi kahi thi?? 

Mein ne kab kaha k mein ne koi anokha kaam kiya hai ??

Aap zara meri post ko ghoar se dekhein k mein ne scan page kis baat per diya hai ??

galat janaab.. yeh kis ny keh dia k sock utaar kr pair dhony ka hukam nahi hy?? balky sock utaar kr pair dhoy jaen gain .. masah phir bhi nahi hoga pair ka..

Aap ne yeh fermaya to mein ne aap k ilm mein izafa kernay k liye scan page diya k socks utarna lazmi nahi hai k agar socks pehni hon to phir wudhu mein paon dhonay ki zaroorat nahi hai balkeh masah ker do..


meny apko kaha bhi tha k sock pr masah optional hy or is hadees men Rasool saw ny yeh option use kia warna agar socks na pahny hoty ya sock utaar kr wazu krty to lazman pair ko dhoty lakin masah nahi krty aapko samajh kiun nahi aa rahi yeh baat?? yeh kis haddes sy aapny matlab nikala k agar socks pahny hon to unhy utaar kr pair dhona mana ho jata hy or un socks pr masah wajib ho jata hy??

http://s289.photobucket.com/albums/ll223/mufti-e-azam/Masnad%20imam%20humbal/?action=view¤t=MasnadAhmedIbneHambal6774.jpg

Chalein ab aap yeh hadith bhi dekh lein,ab baat yeh hai k aap ferma rahay hain paon per masah nahi hota lakin yeh hadith to bata rahi hai k Rasool allah saww ne paon per masah kiya...

Meri baat ka aap ne phir koi jawab nahi diya k kis hukam se aap murda janwar k chamray per to masah kerna jaiz samajhtay hain lakin insan apnay chamray per masah nahi ker sakta ??

Phir agar aik insan ne leather jacket aur gloves pehni ho to phir hathon per bhi masah ker le dhonay ki zaroorat to nahi ho gi aap k aqeeda mein...kiun mein ne sahi kaha na ??

bilkul puch sakty hen aap. yeh science Allah ki ataat or rasool ki ataat wali hy .. or mera taluk ksi munkiry hadees k firky sy nahi hy k sirf Quran ko manu.. mutawatir ahadees sy yeh amal sabit hy ..

Dekhein yeh jawab aap kisi sunni ko de ker bewaqoof to bana saktay hain lakin uss ko nahi jo aap k aqeeda mein nahi hai,agar mein hadith ka munkir hota to aap ko ahadees paish na kerta :P

Quran ne to kahin bhi yeh nahi hukam diya k murda janwar k chamray per to masah kiya ja sakta hai lakin insan apnay paon k chamray per masah nahi ker sakta :P

Quran men Allah ny insaan k chamry ko dhony k sath sath rasool saw ki ataat ka hukam bhi dia hy jis sy janwar k chamry pr masah krny ki ijazad bhi mil gaye takay Allah k bando ko ksi kisam ki paraishani na ho ..

Meray bhai agar waqai yehi masla hota to phir paon dhonay mein ziada pareshani aur time lagta hai jab k masah kerna ziada asaan hai phir Allah ne yahan aap ki pareshani ko asani mein kiun na change kiya ??

Yeh bachon wali baatein na karo meray bhai kuch aisi baat karo jis se lagay k aap ka aqeeda kuch shaoor bhi rakhta hai...

meny to keel thok kr jo sabit krna tha woh kr bhi dia... ab dekhan yeh hy k aap Quran sy pair ka masah sabit kr k konsa dialogue marty hen

Phir altaf hussain bun rahay hain,mein ne aap ko kaha bhi hai k uss ki terha be-tukkay dialogue mat mara karein kiun k loag hanstay hain jab aap aur altaf hussain be-tukkay dialogue martay hain...

Umeed hai aap dialogue marnay k bajaye proper jawab denay per ziada tawajoh dein ge...


1 2 3 4>>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us