Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Mutaghayyar insani jazbat

Social Problem
 
 
 
aiki Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2009  Topic: 6  Post: 41  Age:  25  
Posted on:30th Mar 2012, 2:24pm
 

Mutaghayyar insani jazbat

Aisa kyon hai k shadi se pehle insan jo sochta ha wesa nai hota?Jo khwahishat ya jazbat shadi se pehley hotey hain bad mein nai rehtey.
Q-1 Kia is ki waja sexual satisfaction ki kami ha ya social problems ya phir insan mein ehsaas ki kami peda ho jati ha?

Apni araa se zaroor nawazain…….

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:30th Mar 2012, 10:01pm
 

as salam oalikum

ye sirf shadi kay case main nahi balkay tamam mamolat e zindaki ki haqeqat hai kay insan jo sochta hai jaisa us ka illusion hota hai real life main waisa nahi hota .........or jahantakj shadi ka sawal hai to pehlay ki life bay fikri life hoti hai pehlay insan bas shadi kay charm kay baray main sochta hai us kay main main responsiblities ka khayal tak nahi aata laikin real life main us ka wasta responsiblities se b parta hai or sath sath dosray social issue b hota hain or jab baby hota hai to time b bht kam reh jata hai husband and wife kay pas .tab zimay dari yaka yak barh jati hai or unhain aaisa lagta hai kay life is not a bed of roses ......ager insan haqeqat pasandi se sochay to ye sab to part of life hi hota hai magr pehlay pehal jo imagination ki jati hai us ki waja se us ko shok lagta hai kay ye meray sath kai ho rha hai .....

dosri bat kay ye b insani fitrat hai kay jo chez us ki dastars se dor ho us ki talab us ko panay ki chahaht main bht shidat hoti hai chy wo koi chez ho roshta ho ya insan ho or jab wo us ko pa laita hai to us ki tabyat ka wo josh wo walwala khatam ho jata hai ek thahrao sa a jata hai jo baz okat zamod ki sorat ikhtiar kar laita hai .........

thanks

aiki Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2009  Topic: 6  Post: 41  Age:  25  
Posted on:31st Mar 2012, 11:33pm
 

To Glamour sister

Wa alaikum salam
Ap ki aur meri soch mein kafi mamasilat ha.yeh sawal merey zehan mein is liye bhi aya k mein ne takreeban jitne bhi gharon ko dekha,halat is se kat'ai mukhtalif nahi.kia hum apni inhi zimma dariyon ki hadood o qayood mein rehtey huey apne liye assanian peda kr saktey hain.agar han to kesy...?
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  26  
Posted on:31st Mar 2012, 11:44pm
 

aiki bro

as salam oalikum

her chez her rishtay or her jazbay main mayanarawi ikhtiar kar kay insan latadad masahil se nibat sakta hai ....aap pehlay un mushkilat ko define kijye jo aap kay liye uljhan ka bais hain inshallah i will try to answer my best :)

thanks





aiki Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2009  Topic: 6  Post: 41  Age:  25  
Posted on:2nd Apr 2012, 7:30am
 

My point of view

Allah ka shukar hai k individual hesiat mein mein theek hon magar jab apne ird gird bikhri hui bay shumar gheralo kahaniyon pe nazar parti ha to soch eik naya zaviya ikhtiyar ker leti hai.

Sirf hum hi nahi hum se pehley aur un se bhi pehley log mohabat o ulfat k jazbat rakhtey hon gey jab k physically aur mentally wo aj kal k afrad se ziyada mazbot hua kartey they magar wo bhi apni shadi shuda zindagi se nalan hi nazar aye.To jab insan ki life mein koi khtir khawa tabdeeli nai a pa rahi k jis ki wo tammana rakhta ha to shadi ker k meri nazar mein apni zimma dariyon se ohda bara bhi nahi ho sakta.Yeh sab kuch jantey huey bhi log shaadian kartey hain aur pori zindagi lartey jhagartey guzar detey hain......jais ka sab se ziada asar aulad pe parta hai aur yeh chain chalti hi rehti ha,shaid yehi waja hai k kam o ho jata ha magar tabdeeli nai aati.
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 5  Post: 538  Age:  30  
Posted on:2nd Apr 2012, 12:01pm
 

re: aur yeh chain chalti hi rehti ha

Dear aiki, meri khaish he ke maiN aap na ek View Point aap se share karoo aap ke above post pe. Meri wife Ptv thaa ya shayd koi aur channel Pakistan ka uss par ek drama dekh rahi thi, maiN dramaye ke dauraan aakar betha, aur dekhna sharu hongaya.. Uss maiN ek aurat ne aap ni waldaa ko galia nikaali. Aap ni waldaa ka Qatal kia. Iss baat ko accident show kia, aur kisi aur ki pitaye bhi ki, khud uss ne aap ni bhabhi par Jadu kia. Uske shoher ko koi khatoon pasand thi, toh aap ne shoher ko zehair dia.

Mujhe bohot bura lagaa dekh kar ye sab ke, drama unonaye banana haiN toh uska MORALE kia huwa?

Unke dramaye ka peghaam kia haiN?

Maqsad toh ye haiN ke loog gharo maiN beth kar aise dramaye ko dekhe aur kuch aisa seekhe jho shayd unhain kam pata hon ya pata hi na hon.

Leehaza jadu sikhaya jho ke Haraam he. Waldaa ko gaalia sikhaye gaye, jho ke Haraam he. Shoher se batameze karna sikhaya gaya jho ke Gunah he. Aur aap ne sach ko chupane ke liye auroo pe ilzam aur mazeed drama banana, jhoot fareb, hadsaa show karnaa...

Pehle waqto maiN ghar maiN bachaye aap ne waldaiN aur aap ne mamu chachu ke examples ko dekh kar ek rukh banaa te thaye, education ka bhi role thaa lekin kam, inn rishto ka zaada role thaa.

Ab jab tv itna advance hon gaya haiN, koi bach saktaa haiN iss shaitaan se?
goodmorals Group: Members  Joined: 06th Mar, 2012  Topic: 0  Post: 93  Age:  28  
Posted on:7th Apr 2012, 1:40pm
 

@ aiki

kuon k zindagi haqeeqat ka nam hai glamor ka nahi.

shadi, larki, job or is tarha k dosray moamlat k baray me hamari aksariat ki soch fantasy per mabni hoti hai. jab hum halat ko persoanlly experience kartay hain to hamari expectations say ye mukhtalif hotay hai.

so b realistic in life.
aiki Group: Members  Joined: 03rd Apr, 2009  Topic: 6  Post: 41  Age:  25  
Posted on:19th Apr 2012, 7:59am
 

Suggestions

members shadi k bad aisi situation se nimatne k liye kia dalail detey hain?
I am waiting............
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012