Batman1 ab aa gay na khudi line pr.. jub Nisa ka matlab azwaaj bhi ho skata hy or betian bhi ho sakta hy to yeh bewakufana aitraaz kra kiun tha k Allah ko jub pta tha k 3 betian wafaat pa chuki hen to unhy ley janay ka hukam kiun dia??ab baat galay pari hy or meny woh hukam dikhany ka kaha hy jis men betion ko ley janay ka hukam ho to aagay sy masoom bn kr khud hi define kr dia k Nisah men betian or awzaaj dono ho saktin hen ... Meray bhai iss mein itna khush honay ki kiya baat hai ??
Aap mera jawab perh ker khush honay lag jatay hain lakin mafhoom nahi samajhtay,ab biwian to 8/9 ya jitni bhi uss waqt mojood thein lakin nisaa mein woh to shamil nahi huin aur aap ne baaki 3 betion ko pehlay hi maar diya to uss per mein ne yeh sawal kiya tha k agar sirf betion ko hi le ker jana tha to Allah ko kiya maloom nahi tha k 3 betian to wafaat paa chuki hain phir jamah ka sigha kiun use kiya ?? Aur dosri baat yahan jamah ka sigha wahid k liye kiun use hua ?? to jub azwaaj ki baat hi nahi ho rahi thi betion ki baat ho rahi thi to azwaaj ka shosha chor kr topic sy bhagny ki koshish kiun kri thi?
or Allah ney kahan Ahlay bait ki yeh defination btaye hy?? Allah ko nahi pta tha k azwaaj sy nasal nahi chalay gi to sirf betion ko ley janay ka hukam kiun nahi dia Nisah kiun kaha?? Woh to aap jaisay loagon ki wajah se kiun k agar wahan sirf betion ka zikr hota to aap kehtay ji yeh kon se fazeelat hai...3 betian foat ho gaye thein aur biwion ko hukam nahi diya tha iss liye sirf Hazrat Fatima a.s aur unn ki family ko le ker gaye :P Aur aap loagon ko yeh bhi to Allah ne batana tha k whid k liye jamah ka sigha bhi use kiya ja sakta hai Quran mein :P mujhy mery sawalo k jawab chahaiy.. men yun bhagny nahi dun ga ab.. aapka koi ek bhi aitraaz is kabil nahi tha jis ka jawab dia jay lakin meny us k bawajud jawab diay.. Meray bhai sirf post perh ker reply mat kiya karo balkeh dekh bhi liya karo,yeh baat mein ne 1st post mein kahi thi lakin baad mein socha k aap yehi baat karein ge iss liye aap ki posts k jawab de diye thay :P Waisay na hi mein bhagta hon aur na hi bhagnay walonk o manta hoon khua woh iss forum se bhagay hon ya 1400 saal pehlay jangon mein Rasool saww ko choar ker bhagay hon... han to ayat ly aaye. ab zra mazeed baat ho jaye or ab bhagna nahi Grammar sy ..
Allah ny apny liay wahid ka sigha use kia hy kiun k Allah ek hi hay or Jahan Allah ny Jamaa ka siga use kra hy jesa k aapnay aitraaz bhi kia k Allah ko bhi ek sy zaida maan len to jahan jamaa ka sigha use kia hy wahan yeh surtain banti hen .
1. Allah Ek sy ziada ha (nauzubillah) is liay jamaa ka siga use kia.
2. Alah nay Quran men Grammar ki GAlti ki hay NAuzubillah is liay wahid k bajay apny liay bhi Jamaa ka siga use kra.
3. ya phir woh hi baat jo meny kahi thi k Allah ek hi hay or Allah ney Jamaa ka siga use kr k galti nahi ki balky apni izzat o takreem k liay Jaama ka siga use kra hy jesy koi baadhahs ya nawab apny liay 'HUM' use krta hen or yeh Grammer ka bohot hi aam or sada sa nukta hy ..
Ulta choar qotowal ko dantay :P
Meray bhai yeh to aap ka dawa tha k jahan bhi jamah ka sigha hota hai wahan murad jamah hi hota hai,mein ne to aap ko pehlay hi bata diya tha k quran mein wahid k liye bhi jamah ka sigha istemal kiya hai aur aap bholay badshah ne uss ka mujh se saboot manga tha aur ab jab mein ne saboot de diya to ulta mujh se hi sawal kernay lag gaye ?? Janab yeh sawal to meray hain k agar aap jamah k sigha ko jamah hi mantay hain to phir Allah k baray mein aap ka kiya aqeeda hai k Allah ne bhi apnay liye jamah ka sigha use kiya hai... Ab meray bhai jawab aap ne dena hai na k ulta mujh per apna aqeeda thonp ker mujh se sawal kernay lag jao... pahli condition to meny Quran sy hi sabit kr di k Allak ka ek si zaida hona to na mumkin hy
ab baki do surtain bachin hen k yah to Galti hy Quran men ya Grammar ka bohot hi sada or simple sa rule hy jis pr kabhi abu jahal nay bhi aitraaz nahi kia.. en men sy koi ek suraat ko apnana paray ga apko.
lakin is sy pahly k aap hum k sigay ko Quran men galti many or mery mokaf ko rad krny ki koshis krren k Hum Allah ny apni izzat o katreem k liay nahi lagaya balky Allan ny Nauzbillah galti kri hy Quran men to men pahly apna mokaf Shia ki mashoor tareen web site say bhi sabit kr dun jahan same yeh hi wala sawal or iska jawab hy jiski men Urdu translation kr rha hun or English Image ka link dy rha hun takay apni aankhon sy dekh lain . Yeh lo janab apna aqeeda ab mujh per thonp ker bhaag rahay hain aap :P
Aap aik dafa previous posts ko dobara perhein to aap ko samajh aa jaye gi k yeh baat mein ne sabit ki thi k Allah ne apnay liye jamah ka sigha use kiya hai jab k woh wahid hai phir aap ne uss ka proof manga mein ne woh de diya phir aap ne wahid sigha ka proof manga woh bhi aap ko mil gaya,ab jawab aap ko dena tha iss baat ka na k ulta mujh se sawal kernay thay...yeh sawal mera tha k agar aap perda mein jamah k sigha se jamah hi murad letay hain to phir yahan aap kiya murad lein ge,jab k mein ne aap ko kaha tha k Allah ne wahid k jamah ka sigha use kiya hai Quran mein... Ab aap achay bachon ki terha unn sawalon ka khud hi jawab dein jo aap ne mujh per sawal kiye hain kiun k yeh sawal aap k aqeeda k liye hain na k meray aqeeda k liye kiun k mein ne to already keh diya tha k Allah ne Quran mein wahid k liye bhi jamah ka sigha use kiya hai....
|