Batman1
sawal dekho zra isky ... men yeh kehta hun k Hazrat Ali ra ney pen and paper walay wakiay men word hajaru kaha tha agar apko is baat pr aitraaz hey to le aaein koi aisi riwayat jis men unhon ney kaha ho k yeh opposition ka propaganda hay mery khilaaf...
chalein ab aap ne bughz e Ali a.s mein dawa ker hi diya hai to sabit karein kisi riwayat se Mola Ali a.s ka naam :P
Kehnay ko to mein bhi abu bakar o usman ka bhi keh sakta tha lakin hadith mein jis shaks ka zikr hai ussi ki baat sahi maani jaye gi khud se taveelien kernay ki ijazat kisi ko nahi hai kher ab aap kisi hadith se sabit ker dein Mola Ali a.s ka naam to phir aap ki baat per baat ki ja sakti hai werna sirf bughz e Ali a.s hi samjha jaye ga... apko pta hy k Hazrat Ali ek yahodi k bag men kaam krty thy.. ab koi shaks ksi dushman k paas to kaam nahi krta na .. Yahudi k baagh mein mehnat ker k rozi kamana aur baat hai aur yahudion se dosti ker k unn ki kitabein Rasool Allah saww k samnay onchi awaz mein tilawat kerna aur baat hai...kiya aap kisi bhi riawayat se sabit ker saktay hain k Mola Ali a.s uss yahudi se toraat le ker aaye aur tilawat ki ??
Iss terha to Rasool Allah saww ne bhi yahudi se qarz liya hua tha to kiya unn k baray mein bhi yehi kaho ge k woh mohabbat thi ?? Umar ra ney kahin kaha k mujy tayymum k hukam ka nahi pta ?? ya ksi or ny kaha k Umar ra ko tayymum k hukam ka nahi pta??
Waqiyat aap k samnay hain k aik shaks ne hazrat umar se masla pocha k meray paas paani nahi hai to meink iya karon to unhon ne kaha namaz mat perho :P
Phir hazrat ammar yasir ne unhain waqiya bhi yaad dilaya unn ka keh falan moqa per mein ne to tayamum kiya magar tum ne na kiya aur jab hum Rasool Allah saww k paas gaye to unhon ne kaha k iss k liye zameen per ulatnay palatnay ki zaroorat nahi hai bas hath aur moun ka tayamum ker letay... or aapky Imamo ko pta tha tayymum k hukam ka ?? aap uper walay sawal ka jawab den men phir Hazrat ali ra or Hazrat JAfar ra ki Shia books sy misaal deta hun k unhy bhi tayymum k hukam nahi pta tha
Ji bilkul pata tha
yeh riwayat Tafseer tibri sy li gaye hy.. hawala likhahua bhi hy nichy
or tafseer tabri men iski chain men Pahla rawi hi zaeef tareen hy jiska name abu hisham ibn refaee hey . tibri ka page nichy link men hy ..
http://picturepush.com/public/7998469
isay Imam bukhari imam nisae imam daruqutni ,jesy Scholars ney zaeef kaha hy.
Hawala ( tahzeeb al tahzeeb) Iss per bhi baat ho jaye gi lakin aap meray dosray sawal ko gol ker gaye agar hazrat umar bhagay nahi thay to phir aap bata do k hazrat umar ne ohad mein kitnay kafir qatal kiye ?? agar pahar per cherhnay wala waqiya hai to kiya woh bhi sab jhoot hai jab hazrat umar ne pahaar se abu sufiyan ko jawab diya tha ?? acha agar maro ya mar jao ka rule hota hy to mujhy jung badar men 313 sahaba k baray men ek list likh k dy do k in sub ny kitny kitny kafir katal kiay.. khayal rahay k en men sy ek bhi sahabi nahi chutna chahay warna apki bat sy yeh nateeja nikly ga k woh sahabi bhag gaye thy ya maidaan men hath baand kr kharay huya thy... chalo in men Abu bakar ra or Umar ra ko chor kr hi bta do . Aap 313 ki baat ker rahay hain mein 13 ki baat bhi nahi ker raha kiun k yeh hamara topic hi nahi hai hamara topic hai hazrat umar ka farar hona aur bakri ki terha chalangein martay huay pahar per cherhna,aur 313 aap k khulfa nahi thay aur na hi meray...aap wahan break maarein jahan topic hai meray bhai idhar udhar ki baatein topic mein daal ker bhagnay ka moqa mat talash karein mein pehlay bhi bata chuka hoon k yeh ohad ka maidan nahi hai...
kisko bewakuf bna rahay ho??? jis riwayat men Hazrat Umar ra ney hajaru ka word bola hy woh riwayat dikhao mujhy .. yeh kiun dikha rahy ho?? is men Hazrat Umar ra ka name likha hua nazar aa rahay hy apko kahin??
or meny ksi tashree ksi tafseel ksi tafseer ksi Allama k Qol ki baat ki hy kahin?? meny riwayat mangi hy. or meny kaha hy k hajaru k meaning pr baad men baat kren gen pahly yeh sabit kro k kis riwayat men Hazrat Umar ra ney yeh word bola hy aap jan bujh kr baat uljhany k liay bar bar isky meaning pr chalang lga rahy hen.. men aapka yeh shok bhi pura kr dun ga
or aankhen hen to is tashree ko gor sy pura parho shuru ki 2 lines nahi parho sirf .. urdu to parhny aati hy na ... Meray bhai agar aap ko sherah per etiraz hai to chalo aap aisa karein k iss ki tardeed le aaein k yeh word hazrat umar ne nahi kahay thay balkeh kisi aur sahabi ne kahay thay ya iss waqiya ki koi aur hadith hi dikha dein jis mein kisi aur sahabi ka naam ho k yeh alfaz uss ne kahay hon :P
Mein aap ki tardeed ka wait karon ga... Janab mein ne to aap ko pehlay bhi kaha hai k hajaro per bhi aap ko baat kerni hai to baray shoq se karein,kis ne aap ko roka hai lakin yaad rakhiye ga k mein irfan shah ka parokar nahi hon k zair zabar se behal jaon ga... jhoot ki bhi had hoti hy .. apny is diya huay link hi men dikha do k hazrat Umar ra ny yeh word Hajaru bola hy ..
or yeh aesa scan lga k ksy chakar dy rahy ho?? is men arabic likhi hui clear nazar aa rahi hy jo ksi ko pta chalay k Hazrat Umar ra ny word Hajaru bola hy ya nahi ...
ye lo men isi riwayat ka clear scan page deta hun jis men Arabic bhi clear hy.. is men arabi dekh kr btao k Hazrat Umar ra ny kaha word Hajaru bola hy??? Chalein janab mein to jhoota hi sahi,aap to sachay hain na to aap mujhay kisi hadith se sabit ker dein k yeh alfaz hazrat umar ne nahi balkeh kisi aur sahabi ne kahay hain...aap k imam bukhari ne yehi to trick chali hai k jahan naam likha wahan woh lafz nahi likha aur jahan naam nahi likha wahan woh lafz likha jo asal mein hazrat umar ne kahein,kher ab ball aap ki court mein hai k aap ne woh hadith dikhani hai jis mein yeh alfaz kisi aur sahabi ne kahay hon werna aap ka yeh etiraz batil mana jaye ga...
letter men 5 namazon ki timing men gap nazar nahi aa rha apko kia?? aap is baat ko manty hen k 5 namazon ki timing men gap dy kr alag alag bhi parhi ja saki hen ? Gap to hum bhi detay hain aur kam se kam 15/20 mint ka gap hota hai iss mein kiya aisi baat hai k aap ki baat sabit ho sakay ??
Aur abhi tak aap ne meri baat shayed samjhi nahi iss letter mein lafz FALAN WAQT TAK yeni namaz k perhnay ka akhri time bataya gaya hai yeni uss se pehlay aap perh saktay hain...yahan kahan likha hai k aap ne sunnion ki terha 2/3 hours ka gap dena hai ?? mujhy ek baat btao .. sunni scolars saif ko zaeef Qaraar den ya na den is sy shia riwayat ko farak parta hy???
HAfiz ibn hajar ny Ibn saba k baray men aesi riwayat sy bian kia hy jis men Saif nahi hy... book (Lisan-ul-mizaan) riwayat yeh hy is k rawion k name khud dekh lo
ومن طريق محمد بن عثمان بن أبي شيبة ثنا محمد بن العلاء ثنا أبو بكر بن عياش عن مجالد عن الشعبي قال أول من كذب عبد الله بن سبأ
Abdullah ibn saba Jhutoon men awal darjay ka jhuta tha
book (Lisan-ul-mizaan) Heading Abdullah Ibn saba Yeh hai woh aap ka saboot jo aap ne last post mein kaha tha :P
Meray bhai ibn hajjar 10th century ka writer hai kiya aap samajhtay hain k uss ne yeh riwayat raavion se direct li ho gi ?? Aur janab agar aap uss ki books perhein to uss ne bohat se ahadees likhi hain lakin uss ne kahin nahi likha k yeh mein bukhari se li hai ya yeh mein ne muslim se li hai uss ne sirf asnad k sath hadith likh di hai to uss per aap kiya kahein ge ?? Meray bhai thori aqal istemal karo saif bin umer raavi nahi tha balkeh uss ne book likhi thi ab koi bhi shaks sanad mein book writer ka naam nahi likhta... Aur mein ne aap se kaha tha k uss writer k baray mein batao jis ne tabari se pehlay ibn saba ka zikr kiya ho aur aap le aaye hain ibn hajr makki ko....yeh aap ka ilm hai ?? Aap mujhay batao k ibn hajr ne yeh riwayat kahan se li thi... Aur pls koshish kijiye ga k next time aisi bachgana herkat mat kijiye ga... or sirf ibn saba ko hi nahi balky usky sathion ka bhi zikar hy woh bhi saif k bina .. ibn hajar k ilawa ibn habban ney bhi zikar kia hy. or Bukhari men bhi ibn saba k sation ka mashoor wakia mojud hy jin ko Hazrat Ali ra ny maar dia tha... ye wakia Shia to shia books men bhi hy..
Janab yahan bhi wohi bachon wali baatein,kiya bukhari ne kahin ibn saba ka zikr kiya hai ??
or yeh lazmi nahi hy k hr cheez hr kitaab men likhi hui ho.. or tareek tibri sy pahly konsa 15 ya 20 books thin history ki jo un men nahi aaya or is men aanay pr itni hairaaangi ho rahi hy.. or agar aap yeh usool bnay gen k ek book men koi riwayat ho or doosri men na ho to woh jhoti hoti hy to aapki apni hadees ki 4 books kesy bachen gin is rule sy?? bohot si riwayaten KAfi men hen lakin istibsaar men nahi hen .. bohot si riwayaten ibtisaar men hen lakin teesri book men nahi hen.. Phir aap mujhay yeh hi bata do k kiya ibn saba ka waqiya jo tabari ne likha hai kiya saif k ilawa bhi kisi se riwayat ki hai ??
Baat yeh nahi hai k kis book mein kon se riwayat hai ya nahi lakin meray bhai jab tarikh likhi gaye aur hazrat usman k doar ka waqiya likha gaya to kaisay ho sakta hai k aisay shaks ko ignore ker diya jaye aap k nazdeek hi sab buraion ki jarr tha ?? Aur jis ne sab se Mola Ali a.s ki wilayat ka naara lagaya,kiya aap k nazdeek koi mamooli baat hai k jisay history writer ignore ker de ?? or isi tarhan bohot si riwayaten bukhari men hen lakin baki books men nahi hen.. bohot si riwayaten baki books men hen or sahi bhi hen lakin bukhari men nahi hen.. jiski sub sy bari misaal Ima mahdi ra ki hy.. Mota imam malik bukhari sy bhi pahly ki book hey us men Imam mahdi ka zika rtak nahi hy .. us k baad bukhari hy us men bhi Imam mahdi ka zikar nahi hy.. baki books men hen to kia Imam mahdi bhi ek afsana hy???
Dekho meray bhai aqal ki baat karo mein aap se poch raha hoon k kiya tabari k ilawa kisi ne uss se pehlay ibn saba ka zikr kiya ya nahi ??
Aur tabari ne bhi saif bin umer se riwayat li iss ki jo k aap k aqeeda k mutabiq kazzab hai...phir aap kaisay keh saktay hain k ibn saba myth nahi hai ?? Ya to aisa hota k aur history writers ne uss masla ka zikr hi na kiya hota to hum kuch maan bhi letay,jab zikr bhi kiya lakin kahin isharatun bhi ibn saba ya uss jaisa koi bunda likha to aap kaisay keh saktay hain yeh baat ?? Aur mein ne aap ko yeh bhi kaha k aap beshaq tabari perh lein,uss ne khud bhi saif ki riawayaat per yaqeen nahi kiya kiun k uss ne aik hi waqiya per do alag alag riwayaat quote kein aik saif ki aur dosri dosray raavion ki...Jab k tabari khud bhi saif ko kazzab manta tha... men akhir kub tak aapky in fazul or akal sy maavra sawalon k jawab samjhata rahun ga???
Aap ne abhi tak jawab diye hi kahan hain jo ukta gaye hain meray bhai ??
or jub baat hi yeh ho rahi hy k ibn saba ki riwayat jhuti nahi hy to yeh fazul baat krny ki kia tuk banti hy k Rasool Allah saw per jhot ka ilzam lagaun?? jub rawi zaeef ho ga to hadees jhuti hogi.. saif k jhuty hony sy sunni riwyat jhutin hona to samajh men aata hy lakin yeh shia riwayaten kesi khuti ho gain?? mujhy yeh baat samjahen gen Janab aap ko samajh aa jaye gi jis terha aap ki bohat se books mein kisi hadith ya riwayat k raavi shia hotay hain aur aap ussay iss base per reject bhi ker detay hain to aap hi bata dein k aap ki books mein shia riwayaat kaisay ghuss gaein ??
Ab jaisay abi mukhanif ko aap shia mantay hain aur siqqa bhi mantay lakin aap ki her book mein uss ki book se riwayaat li gaye hain bas issi terha hamari books mein bhi sunni jhooti riwayat aa sakti hain...
|