hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:23rd Mar 2012, 12:16pm |
|
|
asslamo alaikum thanks for reply........iswaqat mere pass reports nahi hein k mein daikh k btati k uskay agy kia likha hua hai laikin jaisay apne btaya aisay hi likha hua ayaa jo result thy unkay agy normal range bhi likhi hui thi..........jaisay prolactin level 17.5 aya aur normal range 4.3se 23.4 thi mera 17 aya its mena normal hai.
LH k samne normal range 12.3 thi laikin meri 13.3 aya/
baqi sab reports normal range mein hi ayi meine dr se pucha tha wo boli k bht mamoli kisam ka pcos hai weight loss kre aur folic acid laiti rhy to bht jaldi pregnancy hogi inshaAllah.
jha tk baat tube test ki hai wo meine yaha se nahi krwaya kio k mjy dr ne yeh mushwra dia k mein pehlay weight loss kru phir bhi pregnancy nahi hoti tb yeh test krwaye kio k mere 1st time reports normal ayi hein usne kha k ap jaldi nahi kre aur filhal diet kre.
meine 4april ko ksa chulay jana hai waha jakr diet start krugi aur phir ek do month daikh kr phir bhi pregnancy na hui to tubes ka test krwaugi.
poze medicine me laiti jarhi hu sialkot mein dr ne kha k ap laiti rho iskay duran hi pregnancy hojayegy inshaAllah.
em very happy k mere reports kafi had tk normal agai hein siwaye LH k.......
thanks for best wishes.......abhi wapsi ki tyari mein hu bht acha waqat guzar rha hai alhamdolillah/ bss jo aik kmi hai Allah pak isko bhi puri krdy/
in tests k ilawa koi aur test bhi hoto mjy btaye mein wo bhi krwa lungi siwaye tubes k test k kio k yeh test bht painfull hota aur mjy dar lgtaa........:P
thanx sir......Allah apko hush rkhay Ameen |
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 22 Post: 195 Age:
28
|
|
Posted on:23rd Mar 2012, 1:37pm |
|
|
hasna w salam.mein bhi bilkul theek hoon..aur ALLAH ka shukar hai k aap ki reports normal hain..achi baat hai.
.mein ne tube test islamabad se kerwaya tha..aur mein ne khosh mein hi kerwaya tha..unhon ne behosh to nahi kiya tha..bohat achi doctor hain..aur bohat ziyada pain bhi nahi hua tha..halka sa kinchao feel hua tha..aur shayad10 minut lagay hon gay...aur meri reports bhi normal thi..aur ussi month mujhay pregnency bhi ho gayi thi...
aap doctor se mashwara ker lo..agar doctor kehti hai to kerwa lo..aap wapis kab ja rahi ho..aur kafi dinon k baad aai hi...apna khayal rakhna
ALLAH aap ko jaldi se ulaad ki khushi de..aameen |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:24th Mar 2012, 9:51am |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam,
And you are very welcome.
Aap ke doctor bilkul theek keh rahee hain keh tube test say pehla wait loss kar keh daikh lain, aur phir agar zaroorat parray to tube test bhee karwa lain.
Hasna, aap na poocha keh koi aur test bhee hai to aap ko bata doon. Agar aap apna Fasting Blood Sugar level bhee karwa lain to bohot acchaa ho gaa. PCOS mein generally blood sugar levels barrh jaatay hain.
Good luck and best wishes. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:24th Mar 2012, 10:12am |
|
|
Hasna:
Sorry, pehla batana bhool gaya thaa. Aik test aur hai, it's called E2 level ( Estradiol level). Magar yeh generally period kay 3rd day par kiya jaata hai. Iss test kay zarya aap kaa ovarian reserve check kiya jae gaa , yaani ovaries mein eggs banane ke capacity normal hai yaa nahin. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:24th Mar 2012, 11:55pm |
|
|
sir psychdoc salam thanx for ur reply.........sir apne jo test btaya hai abb wo pak me nahi hosakta kio k meine 10days k bad ksa chulay jana hai agur waha dr ne kha to mein krwa lungi..
apse apni reports phir se share krhi hu kuch din pehlay meine mobile se post likhi thi to test ki reports theek se share nahi hosaki..........isliye dubara krhi hu.
fsh........5.1 mIU/L
lh..........14.3 mIU/L
prolactin..........17.5 ng/ml
testosterone.......3.5 nmol/I
tsh..........3.6 mIU/ml t3...........1.1 ng/ml t4...........9.1 ug/dl
abhi apne btaya k lh ki quantity ko fsh ki quantity se divide krne per 1 ana chaiye laikin mera 0.35 ayaa hai.iska kia mutlab hai?mjy kis kisam ka pcos hai aur yeh kb tk recover hojayega.
again thanx for ur reply
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:24th Mar 2012, 10:44pm |
|
|
Hasna:
You are very welcome.
Most US labs kay hisaab say aap kaa testosterone level mildly elevated hai, Pakistan mein kuch labs shayed aap kay level ko normal consider karain. PCOS mein testosterone level elevated hota hai, baharhaal aap kaa level bohot zyada elevated nahin hai, that's good.
Mein nay aap ko bataya thaa keh LH ke value ko FSH ke value say divide kartay hain aur answer 1 say zyada aae to PCOS ke possibility hoti hai. Aap ka LH level 14.3 hai, isko FSH level 5.1 say divide karain, answer 2.8 aata hai. ( Aap nay 5.1 ko 14.3 say divide kar diya thaa tabhee answer 0.35 aaya thaa). I hope it's clear now.
Best of luck.
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:28th Mar 2012, 11:15pm |
|
|
aslamo alaikum ji hmm meine wrong divide krdia tha.........
kb tk reports bilkul theek ajaegy? kia testosterone k liye bhi medicine laina pregi k yeh theek hojaye?
aur lh ka level normal range se 2point ziada hai normal range 12.3 thi mera 14.3 aya hai/
plz aap btaye k kia insabkay liye bhi medicine laina pregi?? |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:29th Mar 2012, 11:28pm |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam.
"ji hmm meine wrong divide krdia tha........."
Gee haan, mujha kuch kuch andaaza ho gaya hai keh school life mein aap maths ke class mein khirki say kood kar bahar bhaag jaati theen!!
Anyways, on a more serious note, yeh kehna mushkil hai keh aaap ke labs kab tak theek ho jaian gee. Aur inshaalah aap ko elevated testosterone aur elevated LH kay liya alag alag medications ke zaroorat nahin parray gee. Hopefully, weight loss/exercise aur Poze say PCOS kee tamam abnormalities theek ho jaian gee inshallah. Iss baat kaa bhee chance hai keh aap ko ovulation bhee start ho jae, aur clomid kee bhee zaroorat nah parray. Hasna, aap kay liya behtar ho gaa keh aap aik ovulation predictor kit khareed lain, iss say aap ko ghar baitha hee patah chal jae gaa keh ovulation ho rahee hai yaa nahin. Yaa phir ovulation kay baaray mein confirm karna kaa aik aur simple method yeh hai keh apna temperature, around day 12 to day 20 measure kartee rahin, ovulation kay waqt body temperature rise kar jaata hai, iss say bhee aap ko patah chal jae gaa keh ovulation ho rahee hai yaa nahin, aur agar ho rahee hai to kab. This would help you as you are trying to conceive.
Good luck!
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:13th Apr 2012, 3:35pm |
|
|
psychdoc asslamo alaikum
school life me mjy suchi me math acha nahi lgta tha laikin 10class me bht acha lgne lga..............:P
sir aik baat mjy bht preshan krhi hai.............hsg test k liye me mind se ready nahi horhi hu mjy ajeeb sa houf rehta hai aur jitna hosakta mein isko avoid hi krhi hu..........aik trf yeh bhi chahti hu k pregnancy hojaye aur dosri trf yeh test krwane ka husla bhi nahi per rha..........:(
agur is month periods agye to me dr ko keh kr aik month mazeed fertility ki medicine lungi aur dieting hbi start ki hai i hope k w8 km krne se chances ziada hongy pregnancy k inshaAllah.
mjy pak wali dr ne surbex aur activas aur poze prescribe ki hui hai surbex aik month khani hai aur phir aik month chor daini hai aur activas aur poze laity rehna hai.
apka above message meine ksa akar perha aur ovulution kit k bare me apne btaya suggetion bht acha hai laikin abb me ksa achukkki hu aur apka reply hbi ksa akar hi perha.......:(
Allah pak ko jab manzor hua to mjy pta bhi nahi chulna k kaisay hogai pregnancy.........omeed hai k jaldi gd news ayegy.aur mera hsg ka test bhi theek ajaye.Ameeeen.
ap aik mushwra dy.kia mjy yeh test weight km krne se pehlay hi krwa laina chahiye ya bad mein hi krwau?meine net per read kia k is test ka weight km ya ziada hone se koi khas frq nahi perta............ap is bare me kia kehty hein ap jo khay gy mein usi ko follow krugi............apkay reply ka intezar hai.thanx
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:15th Apr 2012, 12:10am |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam, and how are you?
Gee, aap bilkul theek keh rahee hain keh har cheez kaa aik time hota hai, aur jab Allah taala ke marzi ho jae woh cheez ho jaati hai.
Jahan tak HSG kee baat hai, aap kaa darr shayed fear of the test say zyada fear of the unknown hai, yaani aap ko HSG kay baaray mein shayed kiyonkeh full information nahin hai iss liya aap ka darr shayad iss basis par hai keh patah nahin test mein kiya ho.
Aap nay mera opinion poocha keh aap ko yeh test abhee karwana chahye yaa phir diet aur weight reduction kay baad. Mera opinion yeh hai keh aap ko pehla diet aur exercise say weight kam kar keh daikhna chahye. Aksar women mein sirf 10 pounds weight loss say hee PCOS kay symptoms under control ho jaatay hain. Iss liya mera opinion yehi hai keh pehla diet aur weight loose kar keh daikhain, ho sakta hai keh aap ko HSG kee zaroorat hee nah parray. Agar khuda na khuasta weight loss say improvement nahin hotee to phir HSG zaroor karwaian. But that's just my opinion, your doctor is the best judge of your situation.
All the best. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:15th Apr 2012, 11:11pm |
|
|
sir psychdoc
em agreed with u...........:) mjy last month 13 ko periods aye thy laikin is month periods nahi aye test negtive aya..............
apse puchna hai k jb hormones bhi balance hein to phir kio aisay periods delay horhy hein.last month bhi date se 7din bad aye thy aur abhi bhi periods ki date guzar chuki hai.
kia yeh poze aur activas ki waja se delay horhy hein?ya phir eggs nhi bnty uski waja se yeh maslaa arha hai k periods time per nahi arhy.
kia me kuch din wait kru periods k start hone ka ya periods k ane ki medicine lay lu?
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:16th Apr 2012, 12:18pm |
|
|
salam mein apkay reply ka w8 krti rhi laikin nhi aaya.aaj meine periods start krne wali medicine kha li hai...........
laikin mjy aap is sawal ka jawab zarur daina k hormones abb balance hein laikin pihr bhi wohi prob kio hai?kia egg nhi bnty jo istrah horha
mjy drd hota hai jaisay periods start hone ho laikin sahi hojata hai...........mein do dfa test kia hai dono dfa hi negtive aya hai...........isliye meine periods ki medicien lay li hai. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:17th Apr 2012, 12:04am |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam,
And sorry for the late reply.
Hasna, aap kay kuch hormones abhee bhee abnormal hain, for example LH level increased hai, aur testosterone level bhee. Jaisa keh mein nay pehla bataya, yeh donon findings PCOS ke possibility show kartee hain. Aik aur baat yeh keh PCOS mein periods kay darmian ka waqfa increase ho jaata hai, jaisa aap kay saath hai. Iss wajah say generally unn women ko jinko PCOS ho unko saal mein total sirf 8-9 times menses aatay hain, as compared to about 13 times a year for normal women. Aap kay yeh symptoms PCOS ke wajah say hain, aur poze iska liya helpful ho gee. Magar jab tak aap weight loose nahin karain gee, treatment kee success kay chances bhee kam hon gay.
PCOS kay common symptoms, clinical features, aur different treatment options kay baaray mein mera yeh topic daikh lain, aap ko iss say kaafi cheezain clear ho jaaian gee:
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:20th Apr 2012, 5:42pm |
|
|
asslamo alaikum meine 3days primolut n li aur isko hutam huye aaj 4th day bhi guzar gya periods nhi aye..........aur mjy white discharge hota hai aur cramps bhi feel hoty hein.......meine pregnancy test periods missed hone k 2nd day aur phir 4th day ko kia aur meine 4th day se primolut n use krli......laikin mjy periods nhi aye..........kia mein phir se test krwau?ya wait krti rhu? |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:21st Apr 2012, 12:23pm |
|
|
dr psychdoc i got my periods.............tomorrow dr k pass jana hai.
shukran |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:22nd Apr 2012, 2:19pm |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam, and sorry for the late reply.
Primolut N stop karna kaa baad withdrawl bleeding mein upto 4 days lag saktay hain, zaroori nahin keh bleeding foran hee ho jae. Baharhaal, now you got your period.
Good luck with the doctor's visit. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:17th May 2012, 6:27pm |
|
|
asslamo alaikum sir kaisay hein aap?
mein theek hu.......sir apko meine btaya tha k pak me ultrasopund ki thi dr ne to usme btaya k cyst nhi hai.......laikin kal mein dr k pass gai to ultrasound me wohi wali cyst mjood hai.
mjy dr ne kha k iski mjodgi me pregnancy ki medicine bhi nhi dy sakti aur na hi tube test hosakti hai..........isliye mjy dr ne admit hojane ka kha taky cyst ko laproscopy kr k nikaal dia jaye.
meine dr se is bare me mushwra laien k liye kuch time lia hai.........ap mjy btaye k kia kru?kio k dr ne mjy btaya k cyst ki waja se mjy pregnancy nhi horhi aur pcos na hone k braber hai mjy.............
aur aap btaye k laproscopy ka kia treeqa hai kia wo behosh kr k kre gy ya hosh mein hi? me apkay reply ka wait krhi hu.thanx |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:18th May 2012, 5:38pm |
|
|
Hasna:
Walaikum Salam,
Mein bilkul theek hon, Allah ka shukar hai. Aap kaisee hain?
Abhee kuch weeks pehla forum par aap kay walid sahab kay baaray mein sun kar bohot afsos hoa, meri dua hai keh Allah Taala unka darjaat buland farmaian aur aap ko, aur aap kay tamam ghar walon ko sabar ata karain, Ameen.
Hasna, jahan tak ovarian cyst ke baat hai to sab say pehla to yeh baat daikh lain keh most ovarian cysts few weeks to few months mein khud hee disappear ho jaati hain, without any treatment. Magar kuch cysts aisi hoti hain jo disappear nahi hoteen. Agar aap kay paas apni ultrasound report hai to uss mein yeh mention kiya hona chahye keh cyst kis type ke hai, agar aap cyst kaa naam mention kar dain to mein zyada behtar bata sakta hoon keh iss cyst kay khud disappear hona kay chances hain yaa nahin.. Waisa most common ovarian cyst "Follicular Cyst" hoti hai, aur yeh generally khud hee kuch arsa mein disappear ho jaati hai.
Aap naa poocha keh aap ko laparoscopy karwani chahye yaa nahin, to mera mashwara hai keh 1-2 months agar weight kar lain to shayed cyst khud hee disappear ho jae. Baharhaal, agar aap laparoscopy karwaian to yeh generally behosh kar keh nahin kee jaati, balkeh local anesthesia yaani sunn kar keh kee jaati hai. Iss mein abdomen mein aik chota say hole kar keh laparoscope pait kay anadar daala jaata hai aur camera kay zarye visualize kar keh problem ko treat kiya jaata hai. Yeh koi itna major procedure nahin hai.
Agar aap cyst ke type bata sakain to mein aap ko zyada clearly bata sakta hoon.
Apna bohat khayal rakhye gaa.
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:19th May 2012, 11:23pm |
|
|
asslamo alaikum mein bhi theek hu..........
ji mere father achanak hi hume chor k chuly gaye hein.........ek pal k liye nhi bholty wo aur kbhi na hutam hone wala intezar lga hai..........Allah pak unko jannat tul firdos me jaga dy Ameen.........mere abu ko heart attack hua tha...........:((
sir mjy jo cyst hai yeh clomid khane k bad hui thi.............aur march 2010 me appear hui thi...........iskay ilye birthcontroll pills bhi li aur hormones ki bhi laiti rhi k shaid yeh hutam hojaye.................
laikin na hi cyst k size me change aya aur na hi shape mein............yeh cyst ko do saal aur do maheenay hogaye hein.mjy wednesday ko dr ne btaya k iski waja se humal nhi thehar rha aur agur thehar bhi gya to abortion k chances ziada.
dr ne yeh bhi kha k iski mjodgi me na hi pregnancy ki medicine dy sakti hai aur na hi tubes test ki jasakti hein.........kio k pregnancy ki medicine se yeh bhur jayegy aur tube test krne k surat me isme infection hosakta hai.
yeh cyst ne disappear hona hota to bht pehlay hojati laikin aisa kuch bhi nhi hua.doctor ne abhi yehi kha hai k wo pehlay cyst asspiration kregy agur usse remove nhi hui to laproscopy kregi.
meine abb faisla krlia hai k me isko remove krwa daina hai kio k mere blood test ab theek hein.aur yeh cyst kis type ki hai iska mjy nhi pta aur na hi doctor ne btaya aur na hi meine kbhi pucha dr yehi kha krti thi k follicular cyst hai aur ultrasound dr hud hi krti hai aur uski report me kuch nhi likha hota sirf picture hi hoti hai. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:21st May 2012, 3:21pm |
|
|
Hasna:
All the best with cyst aspiration. Pareshaan nah hon, cyst aspiration chota say procedure hota hai, inshallah everything would be fine. |
|