nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 22 Post: 197 Age:
28
|
|
Posted on:15th Jan 2012, 9:31am |
|
|
hasna ab kafi behtar hoon.shukria
mein hamesha aapki post perti thi..aur aap k liye special dua bhi kerti thi.
hota wahi hai jo ALLAH ki merzi hoti hai..ALLAH PAK aap k sare problems hall ker de..aur jaldi se aap ko ulaad ki neemat se nawaze..
jahan tak aap ne apni mamani wali baat share ki..waisa hi hameri aik janane wali k saath hua tha..aur wahi soch logon ki thi..aur jab mere saath aisa hua to kuch logon ne yahi baat kahi..aur mujhay kaha shayad tumhay athra hai.iss wajah se aisa hua hai..aur mujhay kehtay hain k ab dubara pregnncy se pehle athra ka ilaj kerwa lo..mein tab se bohat tension mein hoon..aur baar baar yahi soch aati rehti hai..aik baba ji hamare gher aaye thay..unhon ne bhi mujhay yahi kaha k yeh athra ki wajah se hua hai...tab se mein ziyada preshan hoon..ab mein kya karon...
aur aaj kal mein bohat akela feel kerti hoon..rehti bhi akeli hoon..aik month apne parents ke gher rahi thi..ab wapis aa gayi hoon..aur husband subah jate hain aur raat 9 baje wapis aate hain..kher
aap apna khayal rakhna. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jan 2012, 3:37am |
|
|
nidda abhi apko doctor ne perhaiz btaya hoga pregnancy se to ap tb tk athraa ka ilaaj krwa lo kio k jo bat dil me baith jati hai wo nikalti nahi hai aur na chahty huye bhi soch ati rehti hai.
mein hud is month wait krhi hu agur gudnews agai to theek wrna meine pak chulay jana hai ek do month k liye aur waha se sab test krwane hein shiffa daine wali zaat Allah ki hai pta nahi hume kb kaha se mil jaye.
ap apna bht sa hyaal rkhna inshaAllah Allah jaldi ronaq dyga apko us zaat per bhrossa rkhay. |
pearl1988 |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2012 Topic: 0 Post: 23 Age:
25
|
|
Posted on:17th Jan 2012, 6:42am |
|
|
hasna plz describe me the procedure of birth control? |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:19th Jan 2012, 10:14pm |
|
|
gums infection while taking fertility medicines....:(
asslamo alaikum dr psychdoc
kaisay hein aap?kafi arsay se apse baat nahi hosaki kaisi chul rhi hein pak me apkay days.......:)
sir is month mjy dr ne phir se fertility ki medicines di thi aur jis din se mein lay rhi thi mjy hulka sa drd tha left side per oper k gums mein jo k ander feel nahi hota tha mjy lga k shaid koi pimple nikal rha jiski waja se mjy nose k left side cheek ki trf pain tha...phir yeh pain bhra nahi meine ignore krdia.
meine periods k 12day hcg ka injection lgwaya aur uskay 3rd day jo k periods ka 15day tha mere face per sojhan hogai aik ankh bnd hogai aur cheek per bhi bht sojhan......me next morning hi dr k pass gai dr ne btaya k egg raptured hochuka hai laikin yeh sojhan ki sumjh nahi arhi k kio hai.
gyna.dr ne E.N.T specialist k pass bhaija laikin unko bhi nahi sumjh ayi.E.N.T dr ne dentist k pass bhaija dentist ne kha k bht ziada infection hua hai.
abhi meir halat yeh hai k gums buri trah effected huye hein aur white hochukay hein jbkay daant mein koi prob nahi hein.na bleeding hai na hi kuch aur. dentist ne amoxil 500mg sath mein prof analgestic 400mg 3time 3day tk laine ko kha hai.but no releif.....:((
gyna dr ne metformin 500mg 3time laine ko kha hai sath ajkal duphaston 10mg kia itni ziada medicines laine k duran pregnancy k chances hein???? aur kia humare gums per fertility ki medicine ka effect hota hai??? agur hota hai to iski kia wajah hai....:(
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:21st Jan 2012, 6:03am |
|
|
Gingivitis/Gum Abscess And Fertility Meds: Hasna,
Walaikum Salam. Jee mein bilkul theek hoon. Abhee mein Pakistan mein hee hoon. I'm sorry keh aap ko late reply kar raha hoon, baharhaal aap kay gum infection ka sun keh pareshani hoi. Aap na bataya keh swelling ke wajah say aap ke aik aankh bhee khul nahin rahee , aur gums bohot zyada effected hoa hain. Hasna, aap iss ka proper treatment karwaian, aur doctor na jitna din amoxil khana ko dee hai, uska course poora complete karain aur beech mein antibiotic chorr nah dijya gaa jab tak poora course complete nah kar lain. Aap na jo apni situation batae hai uska hisaab say atleast 7-10 days kaa course zaroori hai antibiotic kaa. Agar aap ko fever bhee hai, shivering ( sardi kay saath kapkapi) bhee hai aur koi improvement nahin feel ho rahee to phir foran dentist ko dobarah dikhaian, kiyonkeh phir shayad surgically abscess ko drain karna parray ( cheera lagana parray). Baharhaal I hope keh iski zaroorat nah hee parray aur oral amoxil say hee improvement ho jae, inshallah. Aap ko jo problem hai isko gum infection ( gingivitis) yaa phir gum abscess ( pus in gums) kaha jaata hai .
Aap na apni fertility medications kay baaray mein bhee poocha hai. Duphaston ke dose theek hai, magar metformin ke dose generally 500 mg once daily for few days, then 500 mg twice daily for few days, aur uska baad 3 times daily dee jaati hai. Agar start mein hee high dose dain to nausea, upset stomach etc jaisa side efects ho saktay hain. Shayad aap kiyonkeh yeh medicine pehlay lai chuki hain iss liya ap ke doctor na smaller dose say start karna munasib nah samjha ho. Agar aap ko koi side effects nahin hain , then it's no problem.
Gee haan,iss dose kay saath bhee pregnancy ho sakti hai.
Aap na poocha keh keh fertility ke medicines kaa gums par koi effect hota hai, to uska answer yeh hai keh jee haan, kuch ovulation inducing medications aisi hoti hain jo agar 3 months say zyada use kee jaaian to gingivitis ( gum infection) ka risk increase kar daiti hain. Doosri taraf yeh baat bhee zehan mein rakhaian keh agar pregnancy ka doraan gingivitis develop ho jae to preterm labor, low birth weight, aur pre-eclampsia ( high blod pressure, swelling etc) ke complications ho sakti hain. Iss liya bhee yeh zaroori hai keh aap ka gum infection properly treat ho jae. I really hope keh ab aap behtar feel karna lagee hon gee aur aap ke takleef kam ho gae ho gee.
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:21st Jan 2012, 9:31pm |
|
|
dr psychdoc thanx for the reply......:)
meri smile se ap sumjh gye hongy k mein ab theek hu pehlay se bht behtur hu alhamdolillah........course pura hogya hai 3dya ka kha tha dr ne aur meine 3days regular medicine li hein.today dr k pass oppointment hai.
sir ksa mein aik virus aya hua mums k naam se usme bhi same yhi condition horhi hai face k androni hisay me chala bnta hai cheek k ander aur aisa hi mjy bhi feel hua tha start me k jaisay nose k bilkul sath andar koi pimple ban rha laikin kuch hi days me wo left side ko bhurne lga aur sojhan........ jaisa mjy hua tha aisay hi mere bhai ko bhi hua hai........:(
kia abhi yeh usi virus ki waja se hai ya phir yeh gums ka hi koi prob hai laikin aik dam se yu zahir hota aur itna ziada painfull.......:(( 1st time life me aisa painfull experience hua hai.......:(
ji bilkul me dentist k pass regular jati rhugi aur jb tk yeh prob solve nahi hoti mein iskay peechay hath dho k pri rhugi taky ainda k liye bhi kabhi nahi ho aisa......:D
sir is topic per reply jaldi ata ya late........usse mjy jo tkleef hui wo nahi kam honi thi.......:) laikin mjy info zarur mili hia aur husla bhi bhr gya hai k tooth ki medicine pregnancy k chances per effect nahi kregy.agy jo Allah ki mrzi.
ENJOY UR VACCATIONS......:) |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Jan 2012, 4:06am |
|
|

|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:26th Jan 2012, 3:06pm |
|
|
Hasna: "ji bilkul me dentist k pass regular jati rhugi aur jb tk yeh prob solve nahi hoti mein iskay peechay hath dho k pri rhugi"
Dentist kay peechay hath dho kar nahin partay balkeh churri ( knife) taiz karnay waali machine say daant ( teeth) taiz kar keh dentist kay peechay partay hain, (ainda kay liya yaad rakhyaa gaa).
Chalain mazaaq aik taraf, I'm glad you are feeling better.
Mumps ( not mums) aik infection hota hai jo generally bachon mein hota hai, adults mein generally nahin hota, kiyonkeh childhood immunizations ke wajah say adults mein iska khilaaf protection develop ho jaati hai. Iska main symptoms hota hain face ke side par pain and swelling aur fever. Yeh generally 4-5 days rehta hai aur phir theek ho jaata hai. Mera liya internet par yeh batana mushkil hai keh aap kay symptoms mumps ke wajah say thay yaa kisi aur wajah say. Baharhaal aik zaroori baat aap ko batana chahta hoon. Aap na bataya keh aap kay bhai ko bhee yehi symptoms thay. Agar waqai yeh mumps infection thaa to aap ka bhai ko near future mein apna semen analysis karwa laina chahye, kiyonkeh adult males mein mumps infection kabhee kabhaar sperm production ko effect kar daita hai. Apna husband kay zarya kisi tarah yeh baat apna bhai ko bata dain. As always, I wish you all the best.
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:26th Jan 2012, 7:10pm |
|
|
dr psychdoc sir mere to sabhi daant hila diye hein dr ne.......:( mjy ab bht sharp pain hota hai achanak se jo k knpti tk jata hai aur yeh drd aksar subah so k uthne k bad hota hai ustrf abhi tk kuch nahi khaya meine.
mjy is trf kbhi bhi tooth pain nahi hua laikin jis din dr k pass 2nd time gai usne mere oper k 3daanto me soorakh krdiye.......dr k mutabiq mere oper k 2danto me keera lga laikin daikhne me theek daant aur khane peene me bhi koi tkleef nahi thi.
mjy bht tkleef hui jb dr ne mere dant ko rgraa.....meri eyes se ansu aur cheekhy nikal gai.....us din k baad se mjy drd nahi hutam hua.....abhi dr ne daarhy open kr k usme arzi filling ki hui hai laikin mera husla nahi per rha k mein dubara se jau dr k pass wo phir se drd krega.......:(( na medicine se is drd ka araam aya aur na hi bgair medicine k mera face ka colour peela per gyaa hai. |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 5:06pm |
|
|
me going to pakistan........ asslamo alaikum
sir psychdoc kaisy hein aap?kia aap abhi tk pak mein ho?ya wapus agye hein. mein bhi pak jarhi hu inshaAllah bht jaldi 3or 4days me.
pregnancy nahi hui is month bhi.periods ki date ko aik din oper hua meine blood test krwaya negtive hai dr kehti hein k 2 or 3days tk periods ajayegy......:( Allah ne jistrah mjy sabbar ata kia hai isi trah mjy phul bhi dyga.......inshaAllah.
ap sabki duao ki bht zarorat hai.......today me little sad hu laikin yehi soch rhi k shaid pak jana mere liye behri hai isliye na Allah se shikwa kia hai aur na hi ansuo ko girne dia Allah pak se mangti rhugi wo kbhi an kbhi zarur dyga.......na bhi dyga to uski raza sumjh k razi rhugi............:((
ALLAH HAFIZ |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:4th Feb 2012, 5:18pm |
|
|
Hasna hasna Allah ap koo zarror day ga..mari best wishes aur duain ap kay sath ha..Ap ka pakistan anna ap kay liyay behtar sabit hoo..aur ap itni jaldi hosla na choray..Allah ap koo kamyab keray ga...Ameen |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 5:43pm |
|
|
goodman inshaAllah Allah pak apkiduaye qabool krega........dear mein himmat nahi harugi na harna chahti hu........laikin hu to insan hi today dill bura hua acha nahi feel horha dil krta kahi chup jau kisi ko nazar nahi auo..... |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7344 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:4th Feb 2012, 5:47pm |
|
|
hasna ap kyoo chupay ...loogo ka kam batay kerna ha...ap Ummrah ker lay ...Ap suadia may ha..Inshallah Allah karam keray ga...aur ap kee dua qabool hoo jain..pher ap Pakistan ajaana |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:8th Feb 2012, 10:30am |
|
|
Hasna: Walaikum Salam,
I'm fine, thanks. Mein abhee kuch din pehla hee wapis aaya hoon.
Aap kaisi hain? Aap na batay keh aap kuch sad feel kar rahee hain. Hasna, hamaray haalat par hamara control nahin hota, magar iss baat par hamara complete control hota hai keh ham apna halat par kaisa react karain. Aap ka sad feel karna aik qudrati baat hai, magar iss sadness ko disappointment nah banna dijiya gaa. Hamesha hopeful aur upbeat attitude maintain rakhain, inshallah you will feel better. Disappointment aur negative attitude choti see parashaani ko bhee bohot barra bana daita hai, jabkeh doosri taraf positive aur hopeful attitude barri barri parashanion ko bhee handle karna ke taqat dai daita hai(yeh baat aap yaqeenan mujh say zyada behtar jaanti hain, mein aap ko sirf remind kara raha hoon).
Meri dua hai keh aap ka Pakistan ka trip bohot acchha rahay. Aik aur baat yeh keh aap Pakistan mein apna woh tamam tests ( FSH,LH, Testosterone levels etc) bhee kara saktee hain jo ab tak nahin hoa, aur Pakistan mein doctors say second opinion bhee lai saktee hain.
As always, all the best. |
useless |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2012 Topic: 1 Post: 29 Age:
29
|
|
Posted on:9th Feb 2012, 9:55am |
|
|
hasna
i read your all males i think you are getting more problems as you are taking treatments. in my opinion leave every thing just trust on god and start try i think you ll get pregnnt as u said from a long time before you were pregnnt n thn nothing may be this is the cause you are taking a hell of medicines every medicine has reactions |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:26th Feb 2012, 8:33am |
|
|
dr psychdoc asslamo alaikum
kaisay hein aap? mein alhamdolillah theek hu.sir mein pakistan mein ayi hui hu..........aur yha dr k pass check up k liye gai thi.ultrasound ki thi to btaya k pcos hai...........periods k 17day per ultrasound hui thi dr ne btaya k egg nahi nazar arha maybe relesed hochuka hai.
dr ne kha k fertility ki mediicne cerophen use kru 3month ka course jbkay meine pak me sirf ek month rehna hai isliye meine kha k ksa jakr krwaugi.
4tests bhi likh k diye hein jo k periods k 2nd day krwane hein.
dr ne mjy poze 30mg aur activas tablets di hein aur folic acid 400mg...........aur kha k jo isprine folicacid aur metformin lay rhi thi unko stop krdu aur yeh wali med use kru...............aur thyroid ki medicine wohi wali use krhi hu.eltroxine.
ap mjy btaye k yeh jo yha dr ne medicine di ehin kisliye di hein aur inka kia work hai??? kio k yaha dr ne mjy detail mein nahi btaya k kis kaam k liye di gai hein so plz ap btaye k kisliye prescribe ki gai hein.
thanx
|
nidaa |
Group: Members Joined: 27th Jan, 2010 Topic: 22 Post: 197 Age:
28
|
|
Posted on:26th Feb 2012, 10:41am |
|
|
hasna salam.how r u?kafi arse k baad aap ko dekha.kher meri dua hai k aap bilkul theek ho jain..aik baat poochon aap kon si city mein hain..aur kon si doctor k pass ja rahi hain?
pregnent hone se aik month pehle mujhay doctor ne glucophage chorwa k poze likh ker di thi.aur yeh mediine bhi pcos k liye hoti hai..aur mein ne aik month use ki thi..aur ab bhi doctor mujhay keh rahi thi..k poze laina start ker do..per mein abhi nahi le rahi..12th day ko ultrasound kerwane k baad dekhon ghi..
aap apna yahan se sahi tarah se ilaj kerwain..INSHAALLAH ALLAH aap ko jaldi shifa de gha..aameen |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:27th Feb 2012, 1:06pm |
|
|
Hasna: walaikum Salam,
I 'm fine, thanks. Aap ka Pakistan ka trip kaisa chal raha hai?
Yeh to bohot achhe baat hai keh finally, aap kay tests kiya jaa rahay hain. Let's hope keh inn tests say aap ke condition properly diagnose ho gee aur treatment ke success kay chances barrh jaaian gay, inshallah.
Jahan tak aap ke medications ke baat hai, Serophene is the same medication as clomiphene, aur iska maqsad jaisa keh aap jaanti hee hon gee, ovulation induce karna hai.Poze bilkul metformin ke tarah kee medication hai, aur yeh PCOS mein use kee jaati hai. Folic acid aur eltroxine bhee continue rakhain jaisa doctor na bataya. Aur apna tesst zaroor karwa lijiya gaa.
Enjoy your time in Pakistan!!
|
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Mar 2012, 4:19pm |
|
|
asslamo alaikum sir kaisay hein aap?mein alhamdolillah bilkul theek hu apki duaye hein.meine yha se apne test krwaye hein alhamdolillah sab normal test aye hein.
lahore shalamar hospital se test krwaye aur wohi per dr ko checkup krwaya hai mein apse apni reports share krhi hu.meri sab reports normal ayi hein dr ne kha k tube test se pehlay do month diet kro obesity prob krhi hai pregnancy mein aur mjy diet plan bna k dia hai jisme ek month me 4kg weight loss hoga.aur mjy koi bhi medicine nahi prescribe ki siwaye folic acid k...........laikin me thyroid ki medicine abhi bhi lay rhi hu aur poze bhi aur activas bhi kai mein yeh medicine stop krdu?
meri reports yeh hien..............
prolactin : 17.5 fsh...............5 lh................13.3 testosterone...3.5 tsh...............3.6 t3................1.1 t4................9.1
ultrasound me dr ne likha k bht mamoli pcos hai aur kha k bht jaldi theek hoga bs apna weight km kre mera weight 77 hogya hai dr ne kha k 70 hona chahiye bmi k mutabiq mera weight 70hona chaiye.........:D
abb ap btaye k kia me thyroid ki khati rhu medicine......aur ap sabki duaye hein k mere test theek aye hein alhamdolillah agy bhi ap sab mere liye dua kre Allah pak qabool kre Ameen.
|
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:23rd Mar 2012, 10:31am |
|
|
Hasna: Walaikum Salam.
Are you having a good time in Pakistan??
Hasna, aap ke doctor na bilkul theek kaha hai keh PCOS kay proper treatment kay liya weight reduction bohot zaroori hai. Aap ke doctor nay jo diet plan diya hai ussay strictly follow karain, magar yeh bhee zehan mein rakhain keh diet kay saath saath exercise bhee bohot zaroori hai. Apni doctor say mashwara kar keh light exercise bhee start kar dain to aur zyada behtar hai. PCOS aik aisi condition hai jiska treament bohot had tak aap kay apna haath mein hai, yaani weight loss. Koshish karain keh ideal body weight achieve kar lain. Aap ko yeh jaan kar khoshi ho gee keh PCOS kay aksar ( but not all) cases mein sirf weight loss say hee itni improvement ho jaati hai keh medications ke zaroorat hee nahin partee.
Jahan tak aap ke labs kee baat hai, aap kaa prolactin level normal hai, that's good. Aap nay apna FSH aur LH levels kay units of measurement nahin likha. Generally,FSH aur LH levels mIU/ml mein measure kiya jaatay hain. Agar aap kay yeh tests mIU/ml units mein hain to phir aap kay FSH level bilkul normal hai, magar LH level high hai as compared to FSH. Normally, body mein FSH aur LH ke quantity approxiamtely same hoti hai, agar LH level high ho as compared to FSH to yeh PCOS ke possibility show karta hai. Isko calculate karna kay liya LH level ko FSH level say divide kiya jaata hai, agar answer 1 say zyada ho to yeh PCOS show karta hai. Aap ke value (13.3/5) 2.66 hai, which shows PCOS.
Aap kaa TSH level normal hai, magar aap eltroxin khaati rahain ( apni doctor kay mashwara say) otherwise levels abnormal ho sakta hain.
Testosterone level bhee different units mein measure kiya jaata hai, agar aap apna units mention kar dain to zyada behtar bataya jaa sakta hai.
Aap ke doctor nay folic acid bilkul theek bataya hai, issa continue rakhaian.
Poze, jaisa keh mein nay pehla post mein bataya, yeh metformin jaisi medication hai jo PCOS kay liya bohot useful hai. Mera opinion yeh hai keh yeh aap ko continue karni chahye, magar aap ke doctor jo aap kay liya decide karain woh zyada behtar ho gaa.
Kya aap tube test ( Hystero Salpingo Gram ) Pakistan mein karwaian gee yaa Saudia mein?
As always, my prayers and best wishes for you. |
|