Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 29 Age:
20
|
|
Posted on:22nd Jan 2013, 8:31am |
|
|
Gusa boht ata hai
Plzz don't delet my topic mein yeh 3rd time post kar rahi hun.. plz don't deledt this time plzz Asalamalailum, Mujhe pochna tha kay mein 3,4 months say boht ajeeb si hogai hun boht gusa karti hun har kisi pay koi kuch pochay tou thek say jawab nai dyti chila kar baat karti hun gusay say baat karti hun larti b boht hun chir chiri bhi hogai hun, Kisi ka kuch kehna bolna bardash nai hota bus chahati hun jo mein bolun woh he ho jo mein chahun woh he ho...
May be iski waja yeh hai ky mein 6 saal say kisi kay sath relationship mey hun hm dono ky parents yeh baat jantay hain or hmari shadi ky liye b tayar hain bus mere ghar ky kuch fiancialy kuch problems hain jis ki wajasay hmari baat paki ya engagment nai huwi hai mere khandan mey meri har couzns ki shadi or bachay hogaye hain mein chahti hun ky hmari atleast engagment to hojaye mein apni life mey kuch changes chahti hun per ghar ky halat ki wajasay kuch nai ho sak raha mein pichlay 2, 2.5 saal say wait kar rahi hun har waqt sochti hun ky pata nai kb hmari engagment hogi kb kuch hoga per kuch nai hota.. Boht fedup or pareshan rehti hun pata nai yeh he waja hai gusay ki ya kuch or pata nai apney honey walay fiancy say b boht larti hun unpay b gusa karti hun mujhe lagta hai woh b mujhsay tang agaye hain unka doston mey jana mujhe nai pasand woh jatay hain tou mein larti hun unsay jab kay pehlay itna nai tha hann zada doston mey rehney say pehlay b mana karti thi per ab gusa ata hai woh zada tar doston mey ya office mey busy hotay hain mujhe time nai dytay.. Abi b meri unsay larai huwi wi hai plz mujhe bataein ky mein apna yeh gusa apna behavoiur kesay change karun jisay mere honey walay fiancy b mujhsay khush rahein unka khud dil karaye mujhsay bat karney ka hmari larai jhagray khatam hojaein....
|
heroo 70 |
Group: Members Joined: 01st Dec, 2011 Topic: 14 Post: 83 Age:
24
|
|
Posted on:23rd Jan 2013, 12:05am |
|
|
Masla is ki waja shadi ka late hona and rasam riwaj se expensive hona hay..men or pori awaam sameet inhi probs ka victom hay.Allah hamaray maslay hal karayHala kay Allah kay Nabi S.A.A.W ne khas tor pe nikah bht aasan banaya hay. |
Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 29 Age:
20
|
|
Posted on:23rd Jan 2013, 1:37am |
|
|
Thankx for rply Heroo 70 Thank you so much for you'r rply Allah Pak hm sub ki pareshani haal karaye Ameen......Can any body els tell me ky mein apna gusa kesay control karun or apney honey walay fiance ko khush rakh sakun kay woh mujhsay khush rahein or sirf mere rahaein..... |
heroo 70 |
Group: Members Joined: 01st Dec, 2011 Topic: 14 Post: 83 Age:
24
|
|
Posted on:23rd Jan 2013, 6:27am |
|
|
Kash k... Jo ap poch rhe ho kash...k meri fianci ko bhe koi ja kay wo samjha day. |
Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 29 Age:
20
|
|
Posted on:23rd Jan 2013, 1:04pm |
|
|
Heroo 70 Q apkay relation mey b kuch probs hain apki fiancy kay sath? |
heroo 70 |
Group: Members Joined: 01st Dec, 2011 Topic: 14 Post: 83 Age:
24
|
|
Posted on:24th Jan 2013, 2:55am |
|
|
Han Han hen |
heroo 70 |
Group: Members Joined: 01st Dec, 2011 Topic: 14 Post: 83 Age:
24
|
|
Posted on:24th Jan 2013, 2:57am |
|
|
Bhag gye hay Os ne inkar kar dia hay na janay qu |
Bushra Maz |
Group: Members Joined: 21st Sep, 2012 Topic: 6 Post: 29 Age:
20
|
|
Posted on:24th Jan 2013, 5:02am |
|
|
Oh so sad :( Ap pareshan mt ho Allah pak sub acha kar dyga ho sakta hai ap dono ki behtri isi mey ho i know bhoolna boht mushkil hota hai per Allah per bharosa rakhein..... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4262 Age:
38
|
|
Posted on:25th Jan 2013, 1:32am |
|
|
Shaadi saadgi se ker lain 1. Aap frustration ka shikar hai isi liye aap ko har waqt ghussa aata rehta hai.
2. Aap ki pareshani ka Hal yeh hai keh aap ki shaadi ker di jaaye ya shaadi ka silsila chalaya jaaye.
3. Shaadi ameer aur ghareeb sab ki hi waqt per honi chahiye. lehaza financial position ki wajah se Shaadi ko delay nahi kerni chahiye.
4. agar aap dono ke paarents iss rishta se agree kertay hai tu phir behtar yahi hai keh saadgi se aap dono ki shaadi ker di jaaye.
5. Shaadi ke baad kuch arsa tang-dasti mei guzre ga, os ka haal dono mia bivi aur dono khaandan bahimi razamandi se tai ker lain.
6. maslan agar aap ka shohar aap ke liye alag se kamra ya rahaish faraham nahi ker sakta tao aap shaadi ke baad bhi kuch arsa apne maa baap ke ghar per reh lain.
7. agar shaadi mei ikhrajaat ka masla hai tu bhi yahi mashwara hai keh jetna paisa paas mei hai otne mei hi shaadi ker lain. agar dost rishtadar iss saadi per etraaz karain tao onhai saaf saaf bata dein ke aap logo ki maali halat sahi nahi thi iss liye saadgi se shaadi ker li.
|
|