POLYCYSTIC OVARIAN SYNDROME: IN SIMPLE AND PLAIN WORDS
Forum par PolyCystic Ovarian Syndrome (PCOS) kay baaray mein bohot say questions aatay hain. Iss article kaa maqsad simple aur aasan alfaaz mein PCOS ko explain karna hai, takeh readers ko female infertility kay iss common cause kay baaray mein basic information mil jae, aur woh readers jinko PCOS ke problem hai, unko iss disease kay different treatment options kaa patah chal jae, takeh woh apni doctors say apni disease kay baaray mein achay tareeqay say discuss kar sakain aur mukhtalif treatment options kay baaray mein unhain basic know how haasil ho jae. Yeh baat yaad rakhaian keh jitni zyada aap ko apni disease kay baaray mein information aur knowledge ho gee, utna hee zyada aap ko apni doctor kay paas visit karna say faida ho gaa kiyonkeh aap ko patah ho gaa keh kon kon say important questions doctor say karna hain. Doosri taraf, agar aap ko apni disease kay baaray mein information nahin ho gee to jab aap doctor kay paaas jaen gee to aap apni health situation acchhay tareeqay say discuss nahin kar sakain gee. Iss article ko parrhna kay baad aap ko PCOS kay baaray mein itni knowledge ho jae gee keh aap apni doctor kee visists say zyada say zyada faida uthaa sakain gee kiyonkeh aap apni disease say related different treatment options kay baaray mein already well informed hon gee, aur apni doctor ke madad say aap kay liya yeh decide karna zyada easy ho gaa keh aap ko kis waqt kis treatment option say zyada faida hona kaa chance hai. Aaain apna topic kee taraf chaltay hain. WHAT IS PCOS: PCOS, PolyCystic Ovarian Syndrome kee short form hai. PCOS asal mein kae mukhtalif symptoms kay combination kaa naam hai, jiska main features hain hormonal imbalance, ovulation nah hona, abnormal menses, cysts in ovaries, aur difficulty getting pregnant. Aagay chal kar mein yeh sab symptoms detail say discuss karoon gaa. HOW COMMON IS PCOS: Actually, PCOS aik bohot common condition hai, aur generally approxiamtely 10% women ( har 10 mein say aik female) ko PCOS kee problem hotee hai. Magar interesting baat yeh hai keh zyada tar women ko patah hee nahin hota keh unhain PCOS hai. Generally, iska patah uss waqt chalata hai jab woh shadi kay baad pregnant honay kee koshish kar rahee hoti hain magar successful nahin ho paa rahee hotein. Iss aricle mein PCOS kay important symptoms aur clinical features parrh kar aap kisi had tak yeh andaaza lagana mein kaamyaab ho jaian gee keh kahin aap ko PCOS to nahin, aur early diagnosis say treatment kee success kay chances bhee barrh jaatay hain. COMMON SYMPTOMS AND CLINICAL FEATURES OF PCOS: 1): HORMONAL IMBALANCE: PCOS kaa aik bohot common feature hormonal imbalance hai. Har normal female mein male hormones ( Testosterone) bhee bohot small quantity mein paya jaata hain. PCOS kay most cases mein Testosterone level ( male hormone level) abnormally increase ho jaata hai. Iska saath saath female hormones ( FSH,LH,Estrogen,Progesterone) levels bhee abnormal ho jaatay hain. Iss liya kisi bhee patient kay liya jinko PCOS hona kaa chance ho, unka liya yeh bohot zaroori hai keh initial stages par hee apna lab tests karwaa lain takeh diagnosis jaldi kiya jaa sakay, aur proper treatment start kiya jaa sakay. Iska liya generally periods kay 3rd day par FSH,LH,Estrogen, Testosterone levels, aur 21st day par Progesterone level karwana bohot zaroori hai. iska illawa kuch aur labs bhee bohot important hain, including TSH level, Fasting Blood Glucose levels, aur Prolactin level etc etc. 2): ABNORMAL MENSES: PCOS mein abnormal menses bohot common hain. Generally, unn women ko jinhain PCOS hota hai, unka periods kay darmian ka waqfa barrh jaata hai, aur generally 1 year mein sirf 8 or 9 martaba hee unhain periods aatay hain, as compared to about 13 times a year for most normal women. Kuch women mein heavy bleeding kee problem bhee ho jaatee hai. 3): EFFECTS OF INCREASED MALE HORMONE LEVELS: Jaisa keh mein nay ooper bataya keh PCOS kay most cases mein male hormones ka level barrh jaata hai. Iski wajah say kai symptoms develop ho jaatay hain, for example facial hair, acne on face and arms and back, hairs on chest ( particularly around the nipples) and abdomen. Aksar women mein iss wajah say sar kay ball girna bhee shorow ho jaatay hain ( hair loss). 4): SKIN PROBLEMS: Acna kay saath saath aur bhee skin changes develop hotee hain, including darkening of skin of underarms and neck. 5): DIFFICULTY GETTING PREGNANT: PCOS kaa aik bohot common feature hai difficulty conceiving ( difficulty getting pregnant). Iski main reasons hain hormonal imbalance aur anovulation ( egg release nah hona). Bohot say aisay cases hota hain keh women apna abnormal menses kaa treatment karwaa rahee hotee hain without knowing keh unka main problem PCOS hai. Aur kiyonkeh treatment unki main problem yaani PCOS ko treat nahin kar raha hota, iss liya woh bohot arsa tak treatment karwana kay bawajood pregnant nahin ho patein. 6): DEVELOPMENT OF DIABETES: PCOS mein insulin levels bhee abnormal ho jaatay hain, jiski wajah say diabetes develop hona kay risk bhee barrh jaata hai. Iss liya Fasting Blood Sugar Level yaa phir Glucose Tolerence Test (GTT) check karwana bohot zaroori hai. 7): INCREASED CHOLESTEROL LEVELS: PCOS patients mein generally cholesterol level barrh jaata hai, iss liya Fasting Cholesterol Levels regularly check karwata rehna bohot zaroori hai. 8): DEVELOPMENT OF CYSTS IN OVARIES: Normal women mein har month aik egg mature ho kar ovary say release ho jaata hai. PCOS mein eggs mature nahin ho paatay, aur release nahin hota, and as a result, ovaries mein bohot saari small cysts ban jaati hain. PolyCystic 2 different words kaa combination hai, 1.Poly ( meaning many), 2. Cysts ( Which form from immature unreleased eggs). Yeh baat yaad rakhaian keh PCOS kay kuch cases aisa bhee hota hain jin mein ovaries mein yeh cycts nahin hotein. Kehna kaa matlab yeh keh agar aap kay ultrasound of ovaries mein cysts nahin aaian to bhee aap ko PCOS ho sakta hai. (Interesting, isn't it!!). 9): WEIGHT GAIN: PCOS kay most cases mein weight gain bhee develop ho jaatay hai, aur important baat yeh hai keh weight gain say PCOS kee treatment kee sucess kay chances kam ho jaatay hain. Iss liya weight loss with the help of diet and exercise is VERY VERY IMPORTANT. 10): EMOTIONAL PROBLEMS/MOOD SWINGS: PCOS mein hormonal imbalance kee wajah say bohot se women ko mood swings, depression, aur doosri emotional problems develop ho jaati hain, jinka proper treatment zaroori hai. Issi liya yeh zarrori hai keh jab aap apni doctor say apna physical symptoms discuss karain to uska saath saath apni emotional problems bhee zaroor mention karain, takeh unko properly treat kiya jaa sakay. Iss say aap ke quality of life mein bohot positive change aai gee. 11): HAVING OTHER FAMILY MEMBERS WITH PCOS: Agar aap ke immediate family ya blood relatives ( mom, sister, aunties, cousins etc ) mein kisi ko PCOS hai to aap kay andar bhee iss disease kay hona kaya risk barrh jae gaa. Conversely, agar aap ko PCOS hai to aap ke mother, sisters etc ko bhee PCOS hona kay chances zyada hain.
11): HIGH BLOOD PRESSURE:
PCOS ke aik aur complication high blood pressure bhee hai. Iss liya PCOS patients ko regularly apna blood pressure check karwata rehana chahye. TREATMENT OPTIONS FOR PCOS: Good news yeh hai keh proper treatment say PCOS kay majority of patients apna symptoms ko control kar laita hain, aur conceive karna mein bhee successfull ho jaatay hain. Aaian, PCOS kay different treatment options ko discuss kartay hain. 1): WEIGHT LOSS: Jaisa keh mein nay ooper bataya, PCOS kay most cases mein weight gain kee problem bhee devlop ho jaati hai. Agar aap ko PCOS hai aur aup overweight bhee hain to aap kay succesfull treatment kay liya weight loss top of the list hai. Proper diet aur regular exercise atleast 4-5 days a week for atleast 40 minutes each say aap kay treatment kee sucess kay chances bohot zyada increase ho jaian gay. Bohot se women mein sirf 10 pounds weight loss say hee itnee improvement ho jaati hai keh even without medications bhee symptoms under control ho jaatay hain. Motivation is the key. 2): BIRTH CONTROL PILLS: Yeh option generally unn women mein use kiya jaata hai jo abhee conceive karna nahin chahteen. Birth control pills PCOS kay hormonal imbalance ko regularize kartee hain. 3): DIABETES MEDICATIONS (Glucophage): Anti- diabetic medications for example glucophage, PCOS kaa main treatment hain.As I mentioned earlier, PCOS mein insulin sensitivity abnormal ho jaati hai, jiski wajah say PCOS kee aksar complications develop ho jaati hain. Glucophage iss problem ko correct karta hai. Woh women jo pregnant hona chahtee hain woh glucophage ( metformin), aur issi tarah kee similar medications like Poze apni doctor kay mashwara say use kartee hain. Yeh medications generally PCOS kay treatment kay liya bohot effective hotee hain. 4): OVULATION INDUCING MEDICATIONS: PCOS mein aksar ovulation nahin hotee ( egg release nahin hota), iss liya pregnancy bhee nahin hotee. Clomiphene, letrozole etc waghaira jaisi medications ovaries ko stimulate kar keh egg release kartee hain jis say pregnancy kay chances bohot zyada increase ho jaatay hain. Inn medications kaa aik side effect keh lain yaa positive effect, keh aksar inn medications kay use say multiple pregnancies( twins, triplets) kay chances barrh jaatay hain. 5): MEDICATIONS TO TREAT INCREASED MALE HORMONES: Generally, ooper mein nay jo treatmnets bataye unsay excess male hormones bhee treat ho jaatay hain, magar kabhee kabhaar aisa bhee ho sakta hai keh inn treatments say male hormones kaa level kam nah ho. Uss sorat mein aisi medications prescribe ke jaatee hain jo male hormone levels ko lower kartee hain. Iska saath saath excess male hormones say related facial hairs aur excess body hairs kay treatment kay liya electrolysis aur lazer treatment kaa option bhee hai. 6): TREATMENT OF THYROID PROBLEMS AND INCREASED PROLACTIN LEVELS: PCOS mein bohot commonly aisa bhee hota hai keh thyroid function abnormal ho jaata hai, yaa phir prolactin level increased ho jaata hai. Inka proper treatmnet bhee bohot zaroori hai. 7): SURGERY: Agar proper treatment kay bawajood symptoms control nahin ho rahay to surgery bhee aik option hota hai. Yeh aik minor surgery hotee hai jis mein hospital mein admit bhee nahin hona parrta. Iss procedure ko Laparoscopic Ovarian Drilling kehta hain. Iss procedure mein belly button mein aik small hole kar keh aik opening create kee jaati hai jiska zarye ovary mein laser ya electrical stimulus kay zaraya ovulation induce kee jaati hai. Yeh procedure sirf unhi women mein karna chaye jinhain weight loss aur medications kay zarya improvement nah ho rahee ho. Iss procedure kay baad almost 50% women pregnant ho jaati hain jo pehla conceive nahin kar paa rahee theen. COMPLICATIONS OF PCOS: Agar PCOS kaa proper treatment nah kiya jae to kaafi saaari health problems aur complications develop ho saktee hain: 1. Risk of diabetes. 2. Risk of heart disease. 3. Risk of increased cholesterol. 4. Increased risk of cancer of uterus. 5. Risk of liver disease. 6. Risk of high blood pressure. CLOSING STATEMENTS: Waisa to PCOS aik bohot extensive topic hai aur iska baaray mein bohot kuch likha jaa sakta hai, magar meray iss article ka main purpose yeh thaa keh PCOS kay baaray mein simple words aur easy to understand language mein explain kiya jae takeh woh readers jinko yeh problem hai woh apni disease kay baaray mein jaan sakain aur iss disease kay different treatment options kay baaray mein well informed hon. Mein apni iss effort mein kis had tak kamyaab raha hoon, iska faisla aap nay karna hai. Aur mein apna yeh article iss forum kee unn tamam respected female members aur silent readers ko dedicate karna chahtaa hoon jinki life kisi nah kisi had tak PCOS say effected hai. Thanks for reading!
|