Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:5th Jan 2013, 5:15pm |
|
|
menses problem meri shadi ko 3 sal ho gaye hain lakin meri menses problem hai mujay menses regular nai ho rahay hain.aik month hotay hain or 5 ya 6 month nai hotay hain meri pregnency b nai hoti hai .main bohat pareshan hun mera weight bohat gain ho gaya tha lakin ab main nay us ko reduse kiya hain lakin koi faida nai hua main nay pakitandoc main italy main har doc say rabta kiya hai lakin sab kehtay hain sab kuch normal hai khud e theek ho jaye ga 3 sal ho gaye hain lakin mujay menses regular nai huay hain main kiya karun .main aulad jesi nemat say mehrom nai rehna chahti meri help karay kuch batayen mujay plz plz plz plz
|
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:7th Jan 2013, 1:57am |
|
|
Menses problem Meri bat ka kisi nay b jawab nai diya.logon nay isay parh k chor diya hai.dekhiay ye aik bohat e zaruri masla hai.main bohat paresshan hun.mujay is ka solution batayey plz k main kiya karun.main is fourm main new hun mera pehla sawal hai yahan pay lakin us ka b koi reply nai hai..plz repy kijiay |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:7th Jan 2013, 10:42am |
|
|
Amina Reha:
Aik month menses hona aur 5 yaa 6 months nahin hona normal nahin hai. Jin doctors na aap ko kaha hai keh sab kuch normal hai, with due respect to all of them , they are not telling you the right thing. Kia aap ki labs aur ultrasound hoa hai. Agar hoa hai to uska result share karain takeh behtar reply dia jaa sakay. Aap ki yeh labs honi chahyain, FSH level, LH level, TSH level, Prolactin level, Estrogen level, Progesterone level, Hemoglobin level, aur ultrasound of ovaries. Akasar weight gain, irregular menses, aur infertility ka peecha main reason Polycystic Ovaries hoti hain. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 8:35am |
|
|
Amina Jee han meray saray test huay hain.pakistan main b italy main b.Hgb. 12.8 Tsh. 6.4 Fsh. 4.4 Lh. 7.9 Ft4. 8.5 Plt. 344 Ye sab ap nay pucha hai Meray kafi saray ultra sound b huay hain.meri internal ecography 14th jan ko hai. Mujay bata dain main ap k sath wo kesay share karun. Plz mujay serious layn main ye nai keh rai k ap serious nai hain. Lakin meray kehnay ka ye matlab hai k main bohat pareshan hun. Mujay aisa lagta hai k main saici ho jaoun gi. Main bohat tention layti hun. Plz |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 10:04am |
|
|
Your Labs:
Aao ka hemoglobin level ( Hgb) normal hai. FSH aur LH ka baaray mein comment karna ka liya yeh batain keh yeh levels aap ka period ka 3rd day par kia gaya thay, yaa kisi aur waqt? Platelets are also normal. Aap ka tests mein 2 main abnormalities hain, aur donon thyroid function say related hain. Aap ka TSH level high hai, aur Ft4 ( Free Thyroxine level) bhee abnormal hai. Yeh baat mein iss assumption ka basis par kar raha hoon keh aap ki yeh labs conventional units mein measure ki gae hain, magar dunya ka kuch countries mein SI units of measurements use kia jaatay hain. Iss confusion ko door karna ka liya apna Ft4 ka units of measurements bhee likh dain. Baharhaal, aap ko yeh baat bata doon keh bohot commonly aisa hota hai keh thyroid gland ki abnormality ki wajah say conceive karna mein problems hoti hain. I assure you that I am taking you seriously. I would be wasting my time and your time if I wouldn't be serious. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 10:44am |
|
|
Thanks No listen main ye nai keh rai k ap serious nai ho.main bus tens kuch ziada hun.is liay sure kar rai thi. Any ways ap theek keh rahay hain k doc nay mujay thyroide ka e kaha hai main us ki medicine b lay rai hun. Us ka name EUTIROX 50 MICROGRAMMI hai.
FT4. 8.5>pg/ml 9.0 - 17.0
Mujay ye batain k is ka kiya hal hai main kiya karun k main jald say jald pregnent ho sakun.main thyroid ki medicine kha rai thi thi. 2 month k bad mera visit hua hai meray thyroid ki ecography hui thi jis main sab normal aya tha. Magar mujay medicine continue rakhnay ko kaha gaya tha. Laikin abi b kuch nai hua. Nai periods regular huay hain na e pregnency hui hai. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 10:49am |
|
|
Aik or bat Ye k main or mera husbend apni shadi k shuru main concive karnay say avoide kar rahay thay.hum condum use kar rahay thay.main jab tak concive nai karna chah rai thi main normal thi. N mera weight gain hua tha na e meri date disorder hui thi hum nay shadi k 6 month tak condom use kiya tha. Lakin jab say hum nay use karna chora hai us say next month mujay date nai ai.bus ab tak kani ati hai or kabi nai ati hai main kiya karun.Mujay aik bat batayen ye wo use karnay say to nai ho raha sab kuch. |
hibba |
Group: Members Joined: 06th Jan, 2013 Topic: 0 Post: 24 Age:
24
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 5:13pm |
|
|
plz plz plz rep me urgent mene gunah se bachne k lia nikkkah kar lia tha par ab me khi or shadi karna chati hon kia mera treatment ho sakta hai or me again wese ho sakti hon means kawari plz rep me i am so worry
|
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 10:41pm |
|
|
Amina agr apko desi totka btao.. Dear amina kc ho ap? yar apko mensis ki prob solv krne k lea aik desi totka btao jo nanio dadio ka jana mana totka ha??? kafi farq parta ha is sa me use kr chuki hun, |
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:8th Jan 2013, 10:44pm |
|
|
Hibba, Hiba did u mean k u los ur verginty?? nd nw u want to vrgn grl?? |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 3:20am |
|
|
Mnses problem Yes why noy mr.s zeeBatayen na main b try karun gi. Main bus chahti hun k meray menses regular ho jayen. Main bohat disturb hun is waja say. Allah karay ap ka totka meray kam a jaye.
|
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 3:23am |
|
|
Aik bat batayen mujay Doc roz reply kartay hain ya fix days hain un k.i have no any information about this.
|
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 6:23am |
|
|
Anjeer, Babring, munaka Roz 3 anjery 4 munaka r babrink ki ak chutki 2 cup pani me khwa bna lo jb ak cup rh jae phr cheni mx kr k pe lo mensis k 1st day sa e strt krna r jb tk hty tb tk pena daily, is sa INSHALLAH KAFI BHTR HOGA. r yaha muje b ak post pa dr ne ak br e repl kia ta. Allah pak apko shafa da r bby dai amensumamen. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 8:58am |
|
|
Oh hooo Main ye zarrur karun lakin yahan pay anjeer munakar or teesri cheez ki samaj nai ai k ap nay kiya kaha hai nai milti. Main europ main hun pakistan main nai hun. Yahan pay baqi cheezain bohat mushqil say milti hain.
Ab kiya karun |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1222 Age:
33
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 10:45am |
|
|
Amina Reha:
Aap agar apna ultrasound result mention kar dain to behtar ho gaa. Jo impression hai, woh yahaan type kar dain, agar poori report type karna mein mushkil ho. Second yeh keh mein na jo labs batai theen unn mein say prolactin level aap na mention nahin kia, instead aap na Plt( platelets) mention kia. Kia aap ka PROLACTIN level hoa hai?? Yeh acchhe baat hai keh apna thyroid ka treatment lay rahee hain. Yeh chezain condom use karna yaa nah karna ki wajah say nahin hain. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:9th Jan 2013, 5:22pm |
|
|
Ultrasound Mera PROLACTIN 17 ng/ml 3-25 haiUltrasound ki report main google say Translate kar kay bhej rahe hoon. Yeh report drasal italian main hain.
examination affected by the soma and the patient's intestinal meteorism, pancreas and aorta can not be assessed. apêndice not visible. no peritoneal effusion. vescia and gallbladder with homogeneous content. sn ovarian cyst with diameter of about 2 cm, anechoic. ds ovary and uterus were normal. kidneys and milssa without gross structural alterations. liver increased in size with a diameter of about 162mm and hyperechoic structure compatible with steatosis. |
Mr.s zee |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2012 Topic: 5 Post: 42 Age:
22
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 3:49am |
|
|
Ohh Amina ap waha sa malomat lena may b ml jae i dnt knw Babdring ko english me kya khty. ye kali mirch ki trha choti c goli ki trha hti ha.. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 8:36am |
|
|
Ok Main nay apni mama ko bataya hai. Wo keh rahi thi k main pata kar k tum ko parsal kar dayti hun. Dekho shaid a jaye. |
Amina reha |
Group: Members Joined: 05th Jan, 2013 Topic: 1 Post: 27 Age:
23
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 8:37am |
|
|
And doc Main nay ap ko wo sab send kar diya hai jo ap nay kaha tha.ab mujay ap batayen k kia problem hai. Or is ka hal kiya hai main kiya karun.plz |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2013, 9:14am |
|
|
amina reha amina apko ovary me cyst bhi hai jo k apki ultrasound report me dikhai dy rhi hai... pcos ki alamat ko zahir krti hai aksar iski mjodgi me pregnancy nhi hoti hai becoz mujy b yehi problem ki waja se pregnancy nhi horhi....
dr psychdoc apko buth achy se treat kregy aap unki instructions ko seriously follow krna he is thi best doctor of this forum hmm reply thori late ayega becoz u knw doctors ki life kitni busy hoti hai... :) |
|