Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Problems related to pregnancy and childbirth:

Married Women Problem
Chest Muscle
Exercises to Build Chest Muscle Fast
Hiv Test
Early Hiv Symptoms
Erectile Dysfunction Treatment
Ed Treated by Pomegranate Juice
Old Age
Sex in Old Age
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Mar 2011, 2:21am
 

Problems related to pregnancy and childbirth:

salaam to all.doctors sahib mery sath bohat s problems hain main ne apne doctor se check-up bhi karwaye hain per wo bas itna e kehty hain k aap ye medcn lein wo medcn lein araam aa jaye ga per mujhy na to sahee araam ata hai aur na e main satisfied hoti hun.phir main ne internet pe koi medical information talaash ki tab ja k noor clinic k bary mein pata chala.sir plzzz mujhy mery maslon k hal bata dein.i m new here pehli dafa kuch post ker rahi hun umeed krti hun k mujhy tasali bakhjash jawab milein ge.sir mera pehla masla ye hai k mery pait mein bohat dukhan aur dard hota tha check karwaya to pata chala k mery pait mein infection hai medcn  se kaafi araam mila per pichly 2 hafty se phir se mery pait mein bohat dard ho raha hai agar hath bhi lag jaye to meri cheekhen nikalti hain aur mujhy paakhana bhi black color mein aa raha hai i m worried.mera 2nd masla ye hai k her maheeny menses  se pehly mery breasts mein bohat shadeed dard shuro ho jata hai aur giltian b hi ban jati hain lekin jab menses khatam ho jaty hain to dard bhi khatam ho jata hai aur giltian bhi. mein bohat e pershan hun k akhir menses se pehly e esa kiun hota hai plzzz mujhy batayen k koi pershani wali baat to nhi.3rd masla ye hai meri shadi ko 2 saal ho gaye hain aur main abhi tak 1 baar bhi pregnant nhi hui shadi k 1 saal baad main ne apna chec-up karwaya doctor ne batay k main bilkul theek hun altra sound bhi kia.phir mery husband ko semen test k liye kaha unki semen report mein pata chala k unke sperm count bohat kam hai active motile sirf 10% hain doc ne Gonadil-F 3 month tak khany ko diye 3 month baad phir test karwaya to phir active motile 20% thay doc ne same medcn phir khany ko di jo mery husband ne sirf 1 month e use kiye hain phir chorr diye hain plzzzzzzz aap koi aisa ilaaj batayen k mery husband bilkul theek ho jayen aur ham sahib-e-aulaad ho jayen.i m waiting for ur replys.umeed hai aap meri bharpoor madad aur rehnumai fermayen ge.thanks a lot.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Mar 2011, 12:38pm
 

plzzz ans me

main sara din aap ke jawabat ka intezar kerti rahi lekin mujhy kisi ne jawab nhi dia plzzzzzz doctors sahib mujhy jawab dein taa ke main in pershanion se azaad ho sakon Allah aap ko is ka ajar de.ameen.
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1836  Age:  26  
Posted on:3rd Mar 2011, 11:08pm
 

sadis

apne doctor se jawab talb kia hai to agur yha koi DR hota to apko jawab daita members kia jawab dy.

olad k liye agur apky husband ko prob hai to wo apna ilaaj krwaye.ye masla bht se mardo ko hota hai isliye olaad ki hatir wo proper medicine khaye taky wo olaad paida krne k qabil hosaky.ameen

aur mensis se pehlay breast ka heavy hona guiltiya bnna normal hai aur ye hormones ki waja se hota hai aur mensis ane ki nishani b sumjh sakti he jo k mensis blodd k flow k bad theek hojate he.

3rd masla agur apko pait me infection hai to ap uska proper achy hospital se ilaaj krwaye.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Mar 2011, 11:59pm
 

thanks hasna

shukria mis hasna aapki baton se kafi madad aur rehnumai mili mera matlab doctor Qasim se tha k agar wo is silsily mein kuch bata sakein to.doctor Qasim sahab plzzz give me some sulotion.thanks.
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1836  Age:  26  
Posted on:4th Mar 2011, 11:18pm
 

dr qasim where are u....?

shaid dr qasim ki nazar se ye sawal nhi guzra wrna wo zaror jawab daity.

dr qasim reply here.....:)
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:4th Mar 2011, 1:17pm
 

Many problems.

Dear sister,

I will try to answer your questions based upon current medical literature:

Question 1): Pait main takleef: Kya yeh takleef pait main naaf ka right side par hoti hai? Agar yes, to aapko doctor ko dikhana chahia kyonka yeh appendix ka dard bhi ho sakta hai. Kya aap ko fever bhi hota hai? Aap ko following blood tests karwana chahya: Blood CP ESR.

Isphaghol ki bhoosi istamaal karain, inshallah aaram aaye ga magar yeh test zarroor karwain.

Question 2); Pain in breasts before menses: Yeh kaafi common problem hai. Isko premenstrual syndrome kahta hain. Aisa waqt main breast main bhaari pan aur giltian bilkul normal hain. Aap ponstan istimaal kar sakti hain, aur jab breast main bhari pan aur dard ho to aik plastic bag main ice cubes bhar kar breasts par saik karen, aur tight fitting bra pahnain support ka lia. Raat ko sota waqt agar karwat sa latain to breast ka nechay pillow rakhain ( for support).

Question 3): Low sperm count/motility, male infertility ki common wajah hai. Apna husband ko dawa ka istammaal jaari rakhan. Koshish karain kay sex main 10-12 days ka waqfa ho( taka sperm count recover ho). Allah aapki uljhan door karain.

sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:5th Mar 2011, 2:25am
 

thanks to all of u.

psychdoc bohat shukria nahi mery pory pait mein dard hota hai sirf naaf k aas paas nahi hoti.aur breast k bary mein main ne parha tha agar giltian ban jayen to foran doc ko dikhayen to is liye mujhy thori tashveesh hui k ye masla to mery sath b her month mein hota hai per ab ye tension b door ho gai hai thanks a lot meri is uljhan ko suljhany k liye.april mein unke 3 month mein ho rahy hain unho ne phir apna semen test kerwana hai phir pata chaly ga.mein sir itna jana chahti thi k koi esa gherlo nuskha hoga k jis se mery shohar jald recover ho saken.thanks again.and hasna thanks for help me.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:5th Mar 2011, 8:13am
 

Many problems.

Dear sister,

You are very welcome. Agar takleef aap kay poora pait main hay to bhi doctor ko dikhain, aur XRAY abdomen bhi karwain. Aap nay bataya nahin kay kya aap ko fever bhi hota hai.
Regarding giltian in breasts, they are normal if they only happen during menses.Pareshani ki baat us waqt hoti hai jab giltian menses kay baad bhi rahain ( fibrocystic disease of breasts), ya phir sirf aik breast main big gilti ho( which can be a sign of breast cancer), ya phir breasts sa bloody discharge ho( again, this is a sign of cancer). Jo kuch aap nay apni post main bataya hai us say nahi lagta ka koi pareshani wali baat hai.

Regarding husbands sperm count or motility, unfortunately aisa koi useful gharaloo nuskha nahin hai jo helpful ho. Sperm ki motility kum hona ka matlab yeh hai kay sperms move nahin kar raha. Sperm ki movement zaroori hoti hai kyonka sperms ko move kar kay ovearies tak pohanchna hota hai. Agar sperms move nahin kar rahay to pregnancy main mushkil ho sakti hai. However, is problem ka bhi solution hai jisay "artificial insemination" (test tube baby) kahta hain. Is process main sperms go artificial tareqay say ovaries tak pohchante haintakay fertilization(pregnancy) ho. Agar app apni gynecologist say poochain to woh aap ko is baray main guide kar sakti hain. Sister, best of luck and allah aap ki saari mushkilain aasan karain.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:6th Mar 2011, 4:26am
 

thanks again

sir Allah ka shukar hai k mujhy fever nhi hota bas sirf pait mein dard hota hai.aur rahi breasts ki baat to unki ye condition jo main ne likhi wo sirf menses k dino mein e hoti hai baaqi aam dino Allah ka shukar hai nhi hoti sir main ne pregnency symptoms mein parha tha k ye pregnency ki alaamat bhi hoti hain k breast ka barh jana nippels mein dukhan hona kia bata sakty hain k menses se pehly jo breast ki halat hoti hai aur pregnency se pehly b jo breasts ki condition hoti hai un mein kia faraq hai insan kesy is baat ka yakeen kary k menses any waly hain yaa ye pregnency ki alaamat haibreasts ki halat mein kia farq hoga dono soorton mein plzzz kindly tell me.thanks a lot.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:6th Mar 2011, 4:26am
 

thanks again

sir Allah ka shukar hai k mujhy fever nhi hota bas sirf pait mein dard hota hai.aur rahi breasts ki baat to unki ye condition jo main ne likhi wo sirf menses k dino mein e hoti hai baaqi aam dino Allah ka shukar hai nhi hoti sir main ne pregnency symptoms mein parha tha k ye pregnency ki alaamat bhi hoti hain k breast ka barh jana nippels mein dukhan hona kia bata sakty hain k menses se pehly jo breast ki halat hoti hai aur pregnency se pehly b jo breasts ki condition hoti hai un mein kia faraq hai insan kesy is baat ka yakeen kary k menses any waly hain yaa ye pregnency ki alaamat haibreasts ki halat mein kia farq hoga dono soorton mein plzzz kindly tell me.thanks a lot.
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1836  Age:  26  
Posted on:6th Mar 2011, 6:24am
 

sadis

mensis ane se pehlay k sign aur pregnancy k sign comon hoty he.

jistra periods ane se pehlay kamar drd ya pait k nmichlay hisay me drd hota hai aisa early pregnancy me b hota hai.

agur apky periods miss hojate he to ap ghr me home pregnancy test kre test strip se.apko pta chul jayega k pregnancy hai ya periods anewale he.

psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:6th Mar 2011, 7:57am
 

Many problems.

Dear sister,

Again, you are very welcome. Agar aap ko fever nahin hota to infection kay chances almost khatam ho jatay hain, but you still need xray abdomen and checkup with your doctor.

Regarding pregnancy ki alaamat, to jaisa sister Hasna nay kaha, the easiest way to find out is to get a home pregnancy test. they are almost 99% accurate but take about 10 days after pregnancy has occured to test positive. Regarding your question about changes in breasts, menses say pehla breasts main bhari pan aur khinchao hota hai, aur lumps (giltian) feel hoti hain. In pregnancy, early stages main breasts main koi khaas farq nahin aata .During later stages of pregnancy, both breasts increase in size and feel full. Aik aur change during later in pregnancy yeh hoti hai ka jo brown circle nipple ka around hota hai, jisko areola kahtay hain, it gets much bigger in size aur uska ooper bumps( daanay) numayan ho jaita hain jinko Montgomery's tubercles kahta hain. Also, nipple aur areola ka color dark ho jaata hai. Sometimes, there is yellowishwhite discharge from the nipples as breast are filling up with milk in preparation for breastfeeding. Breasts generally return to their previous size one or two years after childbirth, depending upon how long breast feeding is done.
Good luck.

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1836  Age:  26  
Posted on:6th Mar 2011, 8:25am
 

psychdoc

plz reply me.mjy dairdh sal se hormones ka prob hai.so plz ap mjy mere thread me reply kre.irregula mensis k nam se hai.

thanx
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:6th Mar 2011, 8:36am
 

thanks

aap dono ka bohat bohat shukria ab tak ki to meri tensions kaafi had tak kam ho gai hain agar phir koi masla hua to main aap ko takleef zror dun gi aap se rabta zror karon gi.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2011, 3:59am
 

psychdoc

sir mujhy aik aur baat pochni thi jitna mery breasts mein dard hota hai utni kabhi bhi menses mein meri bleeding nhi hui.jab mujhy pehli dafa menses huye thay us waqt se le ke aaj tk meri bleeding bohat kam hai mwin 4 din mein farigh ho jati hun sirf pehly 2 din thori bohat bleeding hoti hai lekin wo bhi kam e hoti hai jis tarah meri umar ki larkian batati hain k kesy unko 10 10 din tak bleeding hoti rehti hai. kia mery sath koi masla hai ya main normal hun aur mera period sycal bhi 31 din ka hota hai isse ziada ho sakta tha hai 2 ya 3 din per kam nahi hota kia ye bahi theek haiaik aur baat k kia ye mumkin hai k agar woman pregnant ho jaye aur usko vomiting na ho nausia na ho meri couson ko yehi hota hai usko 2 2 month tak pata nhi chalta k wo pregnant ho chuki hai per agar periods miss ho jayen aur ye condition bhi na ho to kesy yakeen krein k pregnency e hui hai jab k na vomiting ho aur na e chakar waghaira ayen.plzzzzzzz kindly tell me thank u so much.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:7th Mar 2011, 10:57am
 

Menstrual irregularities.

Dear sister,

Aap na likha hai ka aap ko menses main bleeding light hoti hai aur sirf 4 din tak hoti hai. Yeh donoy cheezain kaafi had tak normal hain, as long as you have periods every month. Aap nay jo doosri larkion ka likha hai kay unko 10 din tak bleeding hoti hai, that is a little abnormal and can also cause anemia. Also, periods main 2-3 days ooper neechay ho jaanay koi aisey pareshani ki baat nahin hai.

Regarding lack of nausea/vomitting/morning sickness in early pregnancy, this is also very normal. Bohat se women ko pregnancy main yeh symptoms nahin hota. The easiest way to find out is to get a home pregnancy test which are almost 99%accurate. I hope this information was helpful.

sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:7th Mar 2011, 11:23pm
 

thanks again

G haan aapki di informations kaafi had tak helpful raheen mery liye.aur bhi kisi parhny wali k liye bohat helpful hongi.home pregnancy kesy kia ja sakta hai.Allah aapko aap ki zindagi ki tamaam khushian ataa farmaye.Ameen.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:8th Mar 2011, 6:15am
 

sir tell me

mujhy ye bhi pochna tha aap se k periods miss hony k kitny din baad pregnancy test kerwana chahye.yeni periods ki date guzarny k kitny din baad test positive aye ga ya pregnancy cnfrm hogi.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:8th Mar 2011, 12:26pm
 

Pregnancy test.

Dear sister,

Thank you for your kind words, and again, you are very welcome.

Normally, home pregnancy tests karnay ka tareeqa yah hai ka app test strip ko urine main dip karain aur thori daar wait karain. Agar urine main dip karnay ka baad strip par aik line aati hai to it means the test is negative, aur agar 2 lines aa jain to it means kay test positive hai. However, every test is different but it will have instructions clearly written on it.

Aap ka second question yeh hai kay periods miss hona kay kitna din baad test karwana chahye. Normally, women with regular period cycle of 28 days ( counting Ist day of bleeding as day 1), the egg is released around the 14th day, sometimes few days before and sometimes few days after. Once the egg is released, in order for pregnancy to happen, the sperm must meet the egg. Egg ki life approximately 2-3 days hoti hai, and sperm ki bhi almost 3 days hoti hai. Therefore, in order for pregnancy to happen, there is a relatively short time ( a few days in which sperm has to meet the egg or else the pregnancy will not happen). Therefore, in order to improve the chances of pregnancy, having sex anywhere between around day 10-day 19 (approximately) would increase the chances of pregnancy. Therefore, technically, you can have a positive pregnancy test even before you have missed your period. Let me know if this was not clear to you.

sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:9th Mar 2011, 12:27am
 

Dr.moazzam

first of all bohat mohtarm dr.moazzam sahib main aapki bohat shukar guzaar hun k aap ne mery masly kop notice kia aur jawab dena zrori samjha psychdoc ne meri bohat madad aur rehnumai ki hai.dr.moazzam sahib main ne apna check-up gynacologist se kerwaya tha unho ne mera vaginal chek-up kia tha aur bataya tha k aapko infection ho gaya hai kunke mujhy vagina main bhi bohat itch hoti thi aur zakham ban gaye tahy unho ne mujhy koi report nhi bana k di.bas sirf bata dia tha aur unho ne jo medcn mujhy di thi wo maine 2 maheeny pehly leni band ker di kunke mujhy araam aa gaya tha ab dobara takleef pichly aik hafty se hai lekin kisi kisi waqt.mujhy jo medcn yaad hai jo unho ne mujhy di thi un mein aik flygel thi aur dosri augmentin hai jo main ne aik e hafta use ki thi kunke isse mujhy chakar anay shuro ho gaye thay.baaqi mujhy yaad nahi .aur main ne stool ka test nhi kerwaya stool ki problem mujhy pichly 2 , 3 din rhi ab Allah ka shukar hai k ab theek hun aap ne jo oper causes kihy black stool k un main mujhy stomach bleeding k baary jan'na hai k wo kesy ho jati hai aur uska kia ilaaj hai.wesy kbhi mujhy paakhana yellow kbhi white aata hai last 2 , 3 din black tha aisa kun hota hai.plzzz ans me i shall be very thankful to u.
1 2 3 4 5 6 7  >>
Pregnancy Due Date
Predicting Your Pregnancy Due Date
Premature Babies
Premature Babies - Is To Early To Late
Spontaneous Abortion
Miscarriage – Signs and Symptoms of Miscarriage
Miscarriage Causes
Miscarriage Causes - Tips To Overcome The Loss
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012