Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Problems related to pregnancy and childbirth:

Married Women Problem
Food For Testosterone
Food to Improve Testosterone Levels in Men
Get Rid of Man Boobs
How to Get Rid of Man Boobs - 7 Easy Ways to Lose Man Boobs
Chest Muscle
Exercises to Build Chest Muscle Fast
Hiv Test
Early Hiv Symptoms
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2011, 12:12am
 

Baby's movement:

Dear sister,

Baby ka activity level aur movement kum zyada hoti rehti hai, that's entirely normal. Magar, jaisa keh mein nay pehla bataya, on average ,agar 2 hours ka doraan 10 times say kum baby ke movement feel ho to doctor ka paas chale jaana chahya, kyonke agar baby ke movement persistently low hai to baby ke health effected ho sakti hai.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:11th Oct 2011, 7:57am
 

my report

Hello sir kesy hain aap?sir main aapse apni 9th month ki altrasound report discus kerna chahti hun umeed hai aap mujhy hamesha ki tarah guide krenge.sir baqi sab to wohi report hai jo pichly month mein thi sirf Biometry main aapse discus kerna chahun gi BPD=9.1cms>Gestational Age=35 weeks> Femur length=6.4cms> air sir aik aur cheez Fetal Mophology CNS=normal spine hai is baar.iska kia matlab hua sir.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:12th Oct 2011, 9:44am
 

Your Ultrasound:

Dear sister,

Aap ka ultrasound normal baby growth show kar raha hai. BPD ( Bi Parietal Diameter) head measurement ko show karta hai, aur Femur Length, thigh bone ke length show karta hai.Eveything looks pretty much OK.
Fetal Morphology CNS = normal spine ka matlab hai keh baby ke backbone ( spine) normal hai.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Nov 2011, 7:07am
 

i need ur advice

sir kesy hain aap sir mujhy aapki thori guideness chahya thi k mujy 29 oct se thory pain shuro thay dr ko dikhaya to unho ne kaha k abhi labour pain nhi hain sirf bacha neechy aya hai 7 tak delivery hogi inshallah. phr us din raat ko mujhy brown colour mein bilkul halki halki bleeding hui like spotting meine suba dr ko dikhya to unho ne kaha k halky halky pains start hain apki delivery kisi b waqt ho sakti hai lekin pra din or pori raat guzaer gai mujhy sahee pains start nhi huye ab person raat se mujhy mucus ki problem ho gai hai main kal dr k paas gai to unho ne kaha k abhi aapki delivery mein time hai agly hafty 7 tak hogi mujhy aapse pochna ye hai mujhy mucus ki problem kiun ho gai hai isse koi masla to paish aa raha aur ye problem kiun ho jati hai plzzzzz tell me i m vert worried.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Nov 2011, 7:08am
 

i need ur advice

sir kesy hain aap sir mujhy aapki thori guideness chahya thi k mujy 29 oct se thory pain shuro thay dr ko dikhaya to unho ne kaha k abhi labour pain nhi hain sirf bacha neechy aya hai 7 tak delivery hogi inshallah. phr us din raat ko mujhy brown colour mein bilkul halki halki bleeding hui like spotting meine suba dr ko dikhya to unho ne kaha k halky halky pains start hain apki delivery kisi b waqt ho sakti hai lekin pora din or pori raat guzaer gai mujhy sahee pains start nhi huye ab person raat se mujhy mucus ki problem ho gai hai main kal dr k paas gai to unho ne kaha k abhi aapki delivery mein time hai agly hafty 7 tak hogi mujhy aapse pochna ye hai mujhy mucus ki problem kiun ho gai hai isse koi masla to paish aa raha aur ye problem kiun ho jati hai plzzzzz tell me i m vert worried.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Nov 2011, 7:08am
 

i need ur advice

sir kesy hain aap sir mujhy aapki thori guideness chahya thi k mujy 29 oct se thory pain shuro thay dr ko dikhaya to unho ne kaha k abhi labour pain nhi hain sirf bacha neechy aya hai 7 tak delivery hogi inshallah. phr us din raat ko mujhy brown colour mein bilkul halki halki bleeding hui like spotting meine suba dr ko dikhya to unho ne kaha k halky halky pains start hain apki delivery kisi b waqt ho sakti hai lekin pora din or pori raat guzaer gai mujhy sahee pains start nhi huye ab person raat se mujhy mucus ki problem ho gai hai main kal dr k paas gai to unho ne kaha k abhi aapki delivery mein time hai agly hafty 7 tak hogi mujhy aapse pochna ye hai mujhy mucus ki problem kiun ho gai hai isse koi masla to paish aa raha aur ye problem kiun ho jati hai plzzzzz tell me i m vert worried.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:3rd Nov 2011, 7:08am
 

i need ur advice

sir kesy hain aap sir mujhy aapki thori guideness chahya thi k mujy 29 oct se thory pain shuro thay dr ko dikhaya to unho ne kaha k abhi labour pain nhi hain sirf bacha neechy aya hai 7 tak delivery hogi inshallah. phr us din raat ko mujhy brown colour mein bilkul halki halki bleeding hui like spotting meine suba dr ko dikhya to unho ne kaha k halky halky pains start hain apki delivery kisi b waqt ho sakti hai lekin pora din or pori raat guzaer gai mujhy sahee pains start nhi huye ab person raat se mujhy mucus ki problem ho gai hai main kal dr k paas gai to unho ne kaha k abhi aapki delivery mein time hai agly hafty 7 tak hogi mujhy aapse pochna ye hai mujhy mucus ki problem kiun ho gai hai isse koi masla to paish aa raha aur ye problem kiun ho jati hai plzzzzz tell me i m very worried.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:4th Nov 2011, 9:37am
 

Mucus problem:

Mucus problem kai different types ke hoti hai. Agar aap apna symptoms clearly describe karain to zyada behtar jawab de sakta hoon.

sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:15th Nov 2011, 7:02am
 

psychdoc sir

sir kesy hain aap sir main ne aap se sawal pocha tha jiska jawab deny mein aap ne bohat dair lagai jis din aapka reply aya tha us din mera beta paida hua G haan sir Allah ka laakh laakh shuker hai k usne mujhy bety se nawaza hai mera chhota opretion hua tha to uthny bethny mein takleef hoti thi aaj kuch behter hun aapka bohat bohat shukria k aap ne meri 9 maheeny bohat rehnumai ki.bas aik baat bata dein k mein zakham pe kia lagaon k wo bilkul theek ho jaye taanky to khul gaye hain.
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1836  Age:  26  
Posted on:15th Nov 2011, 8:37am
 

mashaAllah

sadis meri traf se apko bht bht ziada mubark ho.........Allah pak apko aur apkay baity ko sehat lmbi zindagi aur bht si hushiya dy Ameem.
again..........meri trf se apko aur apki family ko bht ziada mubarak ho.........:)
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:15th Nov 2011, 1:45pm
 

Congrats:


Dear sister,

Aap ko bohot bohot mubarak ho.I am sure you would be very happy right now, but also very busy.

Aap na jis "chhota operation" ka zikar kiya hai usko episiotomy kehta hain. Iska liya main cheez jo aap na karni hai woh yeh keh aik bath tub mein taqreeban 6 inches warm water fill kar kay usmain 3-4 times a day baitha karain, 10-15 minutes tak. Aur phir 1-2 days ka baad gradually warm water ke jagah cold water use karain. Iss say aap ko bohot aaram aaie gaa. Agar zakham heal ho gaya hai to phir uspar kuch laganay ke zarrorat nahin. Agar wound abhee tak properly heal nahin hoa to apni doctor kay mashwaray say polyfax cream use kar sakti hain.

Aik aur bohot important baat jis ka aap na khayal rakhna hai woh yeh keh constipation say bachain. Delivery ka baad aksar women ko constipation ho jaati hai, jiski wajah say stool pass kartay hoa pressure ke wajah say zakham dobarah khul sakta hai. Make sure keh aap water bohot zyada peian, aur fruits and vegetables ka isteemal zyada rakhain takeh constipation nah ho.

Most likely aap ke doctor na aap ko multivitamin with iron likh ka diya hon gay. Agar nahin diya do apni doctor say iss baray mein pooch lain. Delivery ka baad multivitamin/iron khaana bohot zaroori hota hai, particularly agar aap breast feeding bhee karwa rahi hain.

Aik aur cheez jiska aap na bohot khayal rakhna hai keh apni sleep poori karain, aur iski best tareeka yeh hai keh jab baby sleep karay to aap bhee koshish karain keh uss waqt nap la lain.

Congratulations again and all the best.

sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:16th Nov 2011, 6:56am
 

thanks hasna and psychdoc

sir apki best wishes ka bohat bohat shukria g sir main warm water mein beithti hun pehly 2 time ab aik e baar zakham wesy to theek e hai per kisi kisi waqt bethny mein takleef hoti hai aur warm water mein beithny se meri vagina ki jild aur ird gird ki jild bohat kharab ho gai hai itni takleef zakhmo ko nhi hoti jitni baaqi jild ko hoti hai g haan dr. ne mujhy iron pills di hai 5 din ki sirf kia itny e dino k liye use kerty hain dosra pehly to mera apna dhood tha e nhi ham baby ko lactogen use kerwa rhy hain mera main masla ye hai k mery breast k nipples nhi hain inverted nipples ki problem hai ab ja k dhood aya hai per baby suck nhi ker sakta nipples na hony ki waja se bari koshishon k baad aik side se baby ne thora thora suck kerna shuro kia hai dosri taraf nhi kerta jiski waja se mujhy dosri taraf brest mein bohat pain hai tell me k main kia kron.aik aur baat k main abhi tak zakhamo pe pyodine k sath sath polyfax bhi use ker rhi hun meri dr.ne kaha tha aap kia kehty hain.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:16th Nov 2011, 5:42pm
 

Problems after childbirth:


Dear sister,

Warm water mein 10 minutes baithna say skin kharab to nahin hoti magar agar aap ka wound almost heal ho gaya hai to phir pani mein baithna koi zaroori nahin.Aap polyfax continue kar sakti hain agar zaroorat hai, waisay abtak to wound almost heal ho gaya ho gaa.

Generally, multivitamin with iron zyada arsa ka liya use karna hoti hai, magar yeh ispar bhee depend karta hai keh aap ka iron level/hemoglobin kitna hai. Most women ko yeh multivitamin atleast several months tak khana behtar hota hai.

Regarding breast milk, delivery ka baad first few days tak milk nahin aata, magar aik yellowish liquid aata hai jissay colostrum kehta hain.Yeh baby ke health ka liya bohot important hota hai kiyonkeh iss mein antibodies hoti hain jo baby ko infections waghaira say mehfooz rakhti hain.

Regarding inverted nipples, yeh problem aksar women kay saath hoti hai, magar achee baat yeh hai keh most cases mein inverted nipples ke wajah say breastfeeding mein koi major problem nahin hoti, magar zaroori hai keh correct breastfeeding technique use ke jaye. Correct breastfeeding technique yeh hai keh jab aap baby ko feed karwaian to sirf nipple ko baby kay mouth mein nah dain, balkeh poora areola ( brown circle around the nipple) ko baby ka munh mein dain. Koshish karain keh poora areola ya almost poora areola baby suck karay to inverted nipples ka bawojood baby feed kar lay gaa, aur aap ko zyada pain bhee feel nahin ho gaa. Most of the time baby kay suck karnay say inverted nipples theek ho jaatay hain. Iswaqt aap kay liya yeh bhee zaroori hai keh jis breast say aap nay abtak feed nahin karwaya aur jismain fullness aur pain hai, usko kisi bhee tarah say empty karain. Iska liya aap warm wet towel say massage kar kay bhee uss breast ka milk nikaal sakti hain mukammal tor par, ya phir breast pump bhee use kar sakti hain jo breast ko empty karnay ka liya bohot helpful hota hain. Baharhaal yeh zaroori hai keh kisi bhee tarah say uss breast ko empty karain mukammal tor par aur uss milk ko discard kar dain ( phaink dain) aur phir uss breast kay empty hota hee ussi breast say baby ko feed karwaian takeh milk production continue rahay aur inverted nipple bhee bahar aa jaye. Agar aap ko uss breast mein pain/fullness kay saath saath redness ya fever bhee feel ho raha hai to apni doctor ko dikhaian takeh woh yeh check karain keh kahin antibiotics ke zaroorat to nahin ( mastitis/infection ke wajah say). Agar infection hai to phir uss breast ko empty karti rahain magar baby ko uss breast say feed nah karwaian jab tak antibiotic start karnay ka baad 24 hours nah guzar jaaaian. Uska baad aap normally feed karwa sakti hain.

All the best.



sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:5th Dec 2012, 1:55am
 

psychdoc

sir kia aap se ek saal baad phir rabta ho skta.kia aap ab b forum pe online hoty hain.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:5th Dec 2012, 1:55am
 

psychdoc

sir kia aap se ek saal baad phir rabta ho skta.kia aap ab b forum pe online hoty hain.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:5th Dec 2012, 1:59am
 

psychdoc

sir kia aik saal baad phir aap se rabta ho skta he kia aap ab b forum pe online hoty hain.
psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:5th Dec 2012, 7:27am
 

Sadis:


Kia haal hain aap ka? Aap ka baby kaisa hain?

Gee, aap jo poochna chahain pooch saktee hain.
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:6th Dec 2012, 12:39am
 

psychdoc sir.

sir bohat bohat shukria aap k reply ka.Allah ka shukar hai main or mera beta theek hain.aapka shukria.sir mene pochna ye tha k dilievery k baad kam az kam 4,5maheny tk mujy constipation rahee bohat shadeed k stool k baad main pora din baith b nahi sakti thi or stool b 5,6 k baad paas hota tha mujy lagta tha k mujy piles ho gai hai lkn jb mene doctor ko dikhaya to unho ne bataya k anal mein kat hai zakham hain unho ne 2 tubes di mila kr lagany kliye lkn koi faraq na para stool k baad phir wohi haal hota unho ne mujy constipation kliye mdcn di thi jo roz leti thi phr mene doctor change kia unho ne mujy mdcn leny se sakhti se roka or ispaghol use kerny ka kaha jisse k baad main theek ho gai sb kuch theek ho gya jo abtk theek chalta rha lkn jesy e december start hua phir mera wohi haal ho gya mery husband kehty hain phir wohi din aaye or tumari phir wohi halat ho gai sir kia sardion ki wajah se mujy phir ye taklefen sehna parr rhi hain or stool k baad bht bleeding hui thi kia ye piles hai.dosra ye pochna tha k ab mera beta maashaallah 13 month ka ho gya hai lkn mujy wo apni age se kam lgta hai usko ab main kon kon c perfect diet de skti hun.

psychdoc Group: Members  Joined: 04th Mar, 2011  Topic: 11  Post: 1228  Age:  33  
Posted on:6th Dec 2012, 10:20pm
 

Sadis:


You are very welcome :)

Constipation aur hard stools ka lia ispaghol husk bohot useful hota hai. Kia aap abhee bhee ispaghol use kar rahee hain, yaa stop kar dia? Agar stop kar dia to koshish karain keh dobarah start kar dain. Generally ziada paani peena say bhee constipation nahin hoti, aur most likely sardion mein aap paani kam pee rahee hon gee, aur issi wajah say constipation ka symptoms dobarah aa raha hain. Baghair examine kia yeh batana impossible hai keh aap ko jo blood aaya hai stools mein woh piles ki wajah say hai yaa kisi aur wajah say? Magar koshish karain keh paani ziada piya karain, aur daily ispaghol husk use karain. Apna diet mein fruits aur vegetables ka use ziada rakhain, red meat avoid karain, aur white bread ki jagah brown bread use karain. Aksar iron supplements say bhee constipation ho jaati hai.

Jahan tak aap ka baby ki baat hai, generally 1 year ki age mein baby ka weight, unka birth weight ka triple ho jaana chahye, yaani agar birth weight 8 pounds thaa, to 8X3 = 24 pounds at the age of 1 year.

Koshish karain keh baby ko variety of food choices dain, including dairy products like milk, yogurt, poultry products like eggs, meats like chicken, roti, daalain, porridge, puddings , mashed fruits and vegetables etc etc. Koi cheez mana nahin hai, magar most importantly, iss baat ka bohot bohot khayal rakhain keh baccha ko aisi koi cheez nah dain jo baby ka gala mein phansa ( yaani baby choke nah karay). Food ko properly sized pieces kar keh dain, aur kabhee uss waqt bachay ko khani ki koi cheez nah dain jab bacha chal phir raha ho yaa uchal kood kar raha ho, to avoid the risk of choking. Issi tarah lait kar bachay ko kuch nah khilaian.

All the best!
sadis Group: Members  Joined: 03rd Mar, 2011  Topic: 1  Post: 67  Age:  26  
Posted on:7th Dec 2012, 1:58am
 

thanks.

sir bht shukria k aapne itni detail mein meri rehnumai ki.G haan sir mene dobara husk lena start ker dia hai.ajse taqreeban 10,15 din pehly mery bety ka wazan kerwaya to tab uska 8 kg tha kia ye sahee hai.isko zukaam laga tha or nose se jo mucus discharge hoti thi us mein blood ata tha iske doctor ne kaha k ye koi pershani wali baat nhi aksar bachon ko ye problem ho jati hai unki nose k khuliye nazuk hoty hain.kia sir ye maamoli bat hai.
1 2 3 4 5 6 7  >>
Miscarriage Causes
Miscarriage Causes - Tips To Overcome The Loss
Deal With Miscarriage
Miscarriage Effects - How To Deal With It
Prevent Miscarriages
Herbal Remedies To Prevent Miscarriages
Miscarriage
Coping with a Miscarriage
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012