psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:16th May 2011, 9:51am |
|
|
Black stools and abdominal pain during pregnancy: Dear sister,
Pregnancy mai pait barhna ki wajah sa pressure symptoms (frequent urination, feelings of heaviness when lying down etc) hota hain, magar pregnancy main normally abdominal pain nahin hota. Pressure symptoms aur pain main bohat farq hai. Black stools bhi normal nahin , and they may also sometimes be caused by intestinal bleeding. Jaisa main ne pehla bataya,aap apni doctor say mashwara kar ka Stool DR test karwa lain. Agar koi internal bleeding hai to woh is test sa patah chal jai gee. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:16th May 2011, 12:15pm |
|
|
pain in pregnancy sir mujhy apni koi fiker nhi hai k mujhy koi takleef hai bas mujhy itna bata dein k in pains ki wajah se bachy ko to koi asar nhi pary ga usy to koi takleef nhi hogi main jald e apni doctor se bhi milon gi.aur intestinal bleeding se baby ko koi faraq to nhi parta? |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:17th May 2011, 9:32am |
|
|
Baby's health during pregnancy.
Dear sister,
Yeh aik well known fact hai keh during pregnancy baby ke health ka mother ke health sa bohat gehra talluq hota hai. Agar mother healthy ho to baby ke growth aur development bhi achi ho ge ( god willing), aur agar mother ko koi health problem ho to uska effect bhi baby ke health par hona ka chances hain. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:17th May 2011, 10:17am |
|
|
baby's health sir allaah ka shukar hai k mujhy aur to koi problem nhi hai bas pait mein jo dard rehta hai usse pershan hun meri aaj apni doctor se fon pe baat hui unho kaha k black stool iron pills ki wajah se aa raha hai kiun k isse pehly main sirf vitamin D leti rahi hun iron pills ab 10 12 din huye start ki hain doctor ne mujhy iron pills chhorrny ko kaha hai k wo lena chhorr dun aur pait dard k baary mein kaha hai k main DYSEN FORTE aur ek aur tablets anaforton k koi aur naam tha kahee hain k loon per main confuse hun k bina kisi medical check-up k main koi bhi medicine kesy le loon.pata nhi kis kisam ka dard hai mujhy gas ka promlem bhi hai kisi waqt theek ho jata hai kisi kisi wqat shuro ho jata hai.aap kia kehty hain mujhy jaldi btaye ga. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:18th May 2011, 9:46am |
|
|
Abdominal pain:
Dear sister,
Dysen Forte antibiotic hai jo pait ke certain infections aur doosra infections ke liya hoti hai. Anaforton pait mai jo spasm ( maroor) jaisa pain hota hai, usko kum karti hai. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:18th May 2011, 10:04am |
|
|
Abdominal pain Thanks a lot for u r kind reply
me ye ponchna chahte hon k kia me dysen forte use kar sakte hon ya nahe kiunk me ne medicine k leaflet par para hai k. The product should not be administered during first trimester of pregnancy or lactation |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:18th May 2011, 10:50am |
|
|
Medication use during pregnancy:
Dear sister,
Aap ko shayed yaad ho main na aap ko pehla aik post main bataya tha keh pregnancy ka first trimester ( First 3 months) main baby ka organs ki bunyaad par rahi hote hai. Is liya first 3 months main zyada tar medicines mother ka blood say baby ka jisim mai enter ho kar nuqsaan kar saakti hain. First 3 months ka doraan jitna medicines ko avoid kar sakta hain, karna chahya. First trimester kay baad zyada tar medicines khai jaa sakti hain ( apni doctor say mushware ka baad). Jahan tak mujha yaad hai yeh aap ka second trimester chal raha hai, aur is period main Dysen Forte use ki jaa sakti hai zaroorat ka tehat aur apni doctor say mashware kaa baad.Medicines nah khana ka baara main second important period breastfeeding ka haa, because bohat se medicines breast milk ka zarya baby ka jisim main enter ho sakti hain. Jab aap breast feeding karna start karain to is baat ka khyaal rakhya gaa. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:22nd May 2011, 2:50am |
|
|
pregnancy sir aaj main aapse ye janna chahti hun k pregnancy mein garam cheezen khany se avoid kerna chahye kia?jesa k summar season hai garmi bhi bohat hoti hai esy mein agar garam cheezon ka use ki jaye to kia ye pregnancy mein nuqsaan deta hai?main eggs use ker sakti hun wesy main agar eggs use ker lun to mery seeny mein jalan start ho jati hai mujhy kisi ne kaha bhi hai k pregnancy mein garam cheezen nhi sirf thandi cheezen use kerni chahyen.aik aur baat sir k main jabse iron pills chhori hain tabse Allah ka shuker hai k stool problem bhi theek ho gai hai aur pait dard bhi khatam ho gaya hai kia aap bata sakty hain k mujhy ye takleefen iron pills use kerny se ho rahi theen kia?ya iron pills ka inse koi taaluq nhi tha. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:23rd May 2011, 12:47pm |
|
|
Pregnancy:
Dear sister,
Iron pills say black stools aa sakta hain, magar aap na apni sab say pehli post me bhee mention kia thaa keh aap ko abdominal pain aur black stools ke problem hai, us waqt to aap iron pills use nahin karti theen.
Pregnancy mai proper balanced diet bohat important hai. Koshish karain keh proteins chicken, skimmed milk, yogurt ( dahi), egg whites waghaira khain. Carbohydrates jin mai bread ya roti waghaira shamil hai, woh bhee khain. Green leafy vegetables are very important too ( un main iron bhi hota hai). Fats yani makhan , ghee waghira nah khain, balka margarine aur cooking oil use karain, aur fried fatty food say bachain. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:24th May 2011, 6:35am |
|
|
pregnancy G haan sir mujhy pait dard pehly bhi reh chuka hai k lekin tab mujhy infection tha jis k liye maine vaginal tablets bhi use ki theen aur dosri medicine bhi use ki theen jisse meri problems khatam ho gai theen allah k karam se phir kbhi nhi hui aur black stools ki problem bhi 1 k 2 din rahi thi phir kbhi nh hui ab aa ker ye takleefen phir shuro huien lekin ab allah ka shuker hai k theek hain.sir aap ne apni post mein kaha tha k kia aapb apni expected date of delivery janna chahti hain per aap ne batai nhi thi aap k hisaab se kia hogi inshaallah. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:24th May 2011, 1:00pm |
|
|
Expected date of delivery:
Dear sister,
In order to give an answer on that, could you remember what was the date your last menstraual period started? |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:25th May 2011, 12:30am |
|
|
last date 31 january ko start huye thay phir next month mein Allah k karam se pregnancy ho gai thi. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:25th May 2011, 8:42am |
|
|
Expected date of delivery:
November 7th, 2011.
Yeh sirf is soorat main he agar aap kay periods regular they aur cycle 28 days ka thaa. Waisay har cheez ka ilm sirf allah ko hai. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:15th Jun 2011, 12:14am |
|
|
pain psychdoc sir mujhy aaj phir aapse aik sawal pochna tha Allah ka shukar hai k mera pait dard theek hai jo pehly hota tha lekin mainne aapko pehly aik baar bataya tha k mujhy gas ka problem hai to mery pait mein gas ki wajah se dard hota hai yeni k koi aisi wesi cheez kha lun to pait mein gas ban jati hai aur marror perty hain jiski wajah se bohat dard aur takleef hoti hai mein ye janna chahti hun k pait mein is kisam ki gas ban jana baby k liye khatarnaak to nhi hota ya ye normal hai? |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:15th Jun 2011, 11:49pm |
|
|
Pain:
Dear sister,
Is cheez say baby ko koi nuqsaan nahin ho gaa. Waisa behtar yeh hai keh aap aisa foods avoid karain, but anyway, it would not harm the baby. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:22nd Jul 2011, 12:40pm |
|
|
NEED help again Psychdoc sir adaab.sir aaj phir aapko takleef de rahi hun i need ur help again masla ye hua hai k mera pait kharab ho gaya hai samjh nahi aa raha k kis cheez ne mujhy kharab kia hai kiun k main rozana wohi khana khati hun to phir samjh nahi aa rahi k kis cheez ne garr barr ki hai pait mein dard aur motions aa rahy hain 1st of all mujhy ye bataye k pregnancy mein ye problem ho jana koi nuqsaan de to nahi ya phir its normal koi pershani wali baat nahi 2nd ye janna hai k k main is takleef ko dur kerny k liye kia use ker sakti hun jo safe ho meri pregnancy ka 6 month khatam wala hai to is stage pe kia use kron k meri ye problem theek ho jaye can i use ispaghol husk.plozzzzzzzzzzz sir mujhy jaldi bataye ga taa k meri takleef jaldi dur ho saky.aapka bohat bohat shukria k aap ne hamesha meri madad fermai. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:23rd Jul 2011, 12:57am |
|
|
Upset stomach:
Dear sister,
You are most welcome. Agar meri thori se effort say aap ki problem solve ho jaati hai to iss say behtar kya baat hai.
Upset stomach ka liya aap definetely ispaghol husk use kar sakti hain, magar most likely aap ko infection hoa hai jiska liya aap ko antibiotics bhee khaani paren gee. Future main infection say bachne ka liye hamesha boiled water use karye, ( even bottled water ko bhee avoid karain).
I wish you all the best. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:4th Aug 2011, 11:32pm |
|
|
psychdoc sir psychdocsir a.o.a.Allah k fazal-o-karam se aap theek honge.mujhy aaj aap se aik baat pochni thi k aap ne apne aik reply mein likha tha k mujhy during pregnancy fried fatty food se bachain aur ghee use na krein sir jesy k ab ramzan mubarak ka mahena hai pikory samosy waghaira banty hain main bhi khaa leti hun fried cheezen aur main khany mein bhi parathhy e use kerti hun bas fiker ye hai kahin ye mery liye bohat ziada nuqsaan de to nahi wesy aap mujhy bata sakty hain k in cheezon k istemaal se kia kia nuqsaan hain kia bohat zarori hai inse avoid kerna.i shall be very thankfull to u. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1173 Age:
33
|
|
Posted on:5th Aug 2011, 11:15pm |
|
|
Ramzan, pregnancy, and healthy eating habits: Dear sister,
Mein bikul theek hoon. Aap ka bohat shukria. Aap na ramzan, pregnancy aur healthy eating ka baara mein sawal poocha hai. Yeh bohat important topic hai. Sab say pehla to mein yeh kehna chahta hoon keh healthy eating habits sirf pregnancy ka liya he nahin balke lifestyle ka aik hissa honi chayain aur har waqt in par amal karna chahye. Ramzan mein aksar log healthy eating habits ko bhool jaate hain, magar aisa nahin karna chahye. Mein yeh nahin keh raha keh aap pakora aur doosri fried cheezain bilkul he choor dain, magar behtar yeh hai keh inka istemaal kam karain. Fresh fruits zyada use karain. Agar juice peeti hain to sugar kum daalain. Red meat ( beef, mutton ) avoid karnay ke koshish karain, aur white meat ( chicken , fish) zyada use karain. Ghee istemaal nah karain, balkah cooking oil use karain, ( preferably olive oil). Dessert ke jagah fresh fruit salad use karain. Butter ke jagah margarine use karain. Full cream milk ke jagah low fat ya skimmed milk use karain. Aik normal pregnancy mein generally 25-35 pounds weight gain hona chahye ( agar pregnancy say pehla aap ka weight normal range mein thaa). Agar is say bohat zyada weight gain ho jaye to bhee complications ho sakti hain, aur is say kum ho to bhee. Is liya koshish karain keh aap ka weight gain isi range mein rahe.
Aap na poocha hai keh unhealthy foods khaane ka kiya nuqsaanat hain. Iska mein nuqsaan obesity ( being overweight, motapa) hai, jiski wajah say aur bohat see diseases ka risk barh jaata hai, for example, diabetes, high blood pressure, heart disease, joint pain, irregular menses, lack of energy etc etc.
Main baat zehan mein rakhna ke yeh hai keh occassionally aap paratha, pakoray waghaira use kar sakti hain, magar majority of the time apni eating habits ko healthy rakhya, aur apna weight par nazar rakhya. I wish you all the best. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 63 Age:
25
|
|
Posted on:5th Aug 2011, 12:22pm |
|
|
thanks a lot sir aapka bohat bohat shukria.main aapko baton ko zehan mein rakh kr apni khuraak ka istemaal karon gi.main aapko apna is waqt ki condition ka batati hun plzzzzzzzz mujhy bataye k sab kuch normal hai 29 ko mery 6 month pory huye hain allah ka shukar hai main check-up k liye gai thi meri altra sound report bhi samjha dein to aapka bohat bohat shukria.weight tha 64 pichly month 61 tha.bp tha 110/80 pehly her baar hota tha 110/70.meri altrasound report ye hai.gestation.singal/viability.seen/presentation.Breach/Lie.longitudinal/Placenta.Ant wwall/Amniotic Fluid.normal/Fetal Morphology CNS.presence of cerebelium and presence of orbits/Biomerty BPD 6.6cms/gestational age 24/Femur lenth.4.7 cms. Again thanks a lot.jo bina kisi lalach k dosron ki khidmat kerty hain unko ajar khuda deta hai aapko Allah iska ajar ataa fermaye ga. |
|