psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:6th Aug 2011, 3:35pm |
|
|
Your ultrasound: Dear sister,
Thank you for your kind words. Bus doaaon ke darkhwast hai.
Aap ka blood pressure bilkul theek hai. Weight bhee gain ho rahaa hai. Baby ke measurements bhee normal aaie hain. Is report ka mutabiq aap ko aik he baby hai, twins nahin hain ( I am sure you already knew that).
Ab aap ka 3rd trimester ( last 3 months of pregnancy) shorow hain. Jaisa jaisa aap ka belly increase ho gaa, uski wajah say body ka balance thorra change hota hai. Zaroori hai keh aap jo footwear ( shoes/chappal) use karain woh non slippery ho, takeh fall ka risk nah ho. Agar floor wet ho to khaas ehtiat rakhain. Aur jaisa keh mein nay pehla bataya thaa, sleep time par left karwat say latain. Aik aur cheez jiska aap na khayal rakhna hai woh yeh hai keh zyada dair feet latka kar nah bathain, aur thori thori dair kay baad apni legs aur feet ko move karti rahain ( aisa karna say legs ka blood flow acha rahay gaa). Apna bohat khayal rakhya gaa. All the best. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:7th Aug 2011, 11:28pm |
|
|
pregnancy and sleeping bohat bohat shukria sir.sir aapne likha k weight bhi gain ho raha hai jab k aap ne pichli post mein likha tha k weight gain nhi hona chahye to meri confusion ye hai k kia mera weight normal hai ya normal had se ziada hai.ye nhi likha aapne.aur dosra mera ye problem hai k main left side pe so e nhi sakti ziada se ziada 5 mint bas ager ziada dair soti rahun to pait aur kamar mein dard shuro ho jata hai pait mein bohat bojh ban jata hai jab k right side pe aur seedha bohat asani se so leti hun bohat comfortable rehti hun.aap e bataye ye sab kiun ho raha hai jis side pe sona mery liye bohat zarori hai uspe nhi so sakti.isse koi problem to creat nhi hogi sir.aik baar phir bohat bohat sukria aapka.aik aur baat k agar main ghar ka koi kaam karon to bhi mery pait aur kamar mein dard shuro ho jata hai kahhin ye mery liye nuqsaan de to nhi. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:8th Aug 2011, 12:26am |
|
|
Pregnancy and sleeping:
Dear sister,
Mein nay yeh nain kaha keh pregnancy mein weight gain nahin hona chahya, balkeh mein na yeh kaha thaa keh pregnancy mein normally weight gain 25-35 pounds ke range mein hona chaye. Nah is say bohat zyada ho, aur nah he bohat kum. Healthy eating habits ka zarya healthy weight gain ho gaa. Aap na jo last month mein 3 pounds gain kiya hai that is normal. Left side peh sona behtar hai magar definitely aisa bhee nahin keh saari raat left side peh hee soya jaiye, waisa agar aap left side par lait kar back ka peecha pillow rakhain to shayed thorra easy ho jaie. Otherwise, aap right side par ya seedha bhee lait sakti hain. Aap apni doctor ka mashware say light exercise ( walking, ghar ka regular kaam waghira ) kar sakti hain, yeh actually aap ka liya zyada behtar hai as compared to not doing any physical activity. Back ache aam tor par is wajah say hota hai keh belly ka size increase hona ke wajah say back ka muscles par extra weight parta hai. Agar aap apni doctor ka mashware say light exercise waghaire karain gee to yeh backache ahista ahista kum ho jaie gaa, inshallah. Back par hot water bottle say saik karna say bhee backache mein aaram aaie gaa.
|
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 12:43am |
|
|
abdominal pain mohtaram psychdoc sir kesy hain aap.sir mujy aapse apni aik problem share krni thi sir pichly 2 week se mujy pait k right side mein aur pait k nichly hissy mein bohat dard ho raha hai aisa lgta hai k jesy zakham ban gaye hon main apni doctor k paas b gai thi unho ne check-up b kia kaha k sab kuch theek hai koin pershani wali baat nahi hai bacha b Allah k fazal-o-karam se theek hai per unho ne mujy dard k baary mein kuch nhi bataya k kiun hai main ne bohat pocha bas itna e kaha k kuch nhi wesy e dard hai unho ne aik pain killer injection lgaya aur tab pedrol di hain.dosara sir mery pait k sath sath vagina k b right side mein dard hai aur vagina mein swelling b aa gai hai vagina k right side jahan dard hai wahan aisa lgta hai jesy zakham ban gaye hain per ba ahir nhi hain dabany se b pain hota hai aur jild mein khhinchao b hota hai sir kia aap is silsily mein kuch bata sakty hain k mujy ye dard kun shuro ho gaye hain kia ye normal hain ya koi wajah hai.i m very worried.plzzzzzzzzzz help me.aur main pedrol use krti rahun. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 7:12pm |
|
|
Pain and swelling:
Dear sister, I am fine, thank you. Aap kaisi hain? Kya aap ke doctor na aap ka ultrasound kiya? Aisa to kuch batana thorra mushkil hai magar kuch possibilities ho sakte hain jo mein aap ko bata deta hoon. Ho sakta hai koi internal infection ho jiski wajah say yeh symptoms ho rahe hoon. Agar pain right side of lower abdomen mein hai to aik possibility appendix pain ke bhee hai, magar generally usmain fever aur vomiting bhee ho gee. Aap ne yeh bhee kaha keh aap ki vagina mein swelling hai. Kya yeh swelling vagina ka lips( labia) par hai ya vagina say 1-2 inches side par hai? Agar yeh swelling thorra side par hai to hernia ke bhee possibility hai. Aik aur bohot likely possibility Bartholin Gland Cyst/Infection ke hai. Iska symptoms mein vegina ke opening ka bilkul qareeb side mein swelling aur pain develop ho jaata hai ( one side par). Agar aap apna symptoms thorra aur clearly batain to zyada behtar answer diya jaa sakta hai, magar mera khayal yeh hai keh app ko Bartholin Gland ke cyst mein infection ho gaya hai.
Pedrol is safe to use in pregnancy, magar yeh sirf pain aur inflammation ( sozish) ko kum kare gee, otherwise yeh underlying problem ko treat nahin kare gee.
|
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:24th Aug 2011, 11:36pm |
|
|
pain Allah ka shukar hai main theek hun.nhi sir altrasound to nhi kia altrasound 1 august ko kia tha nhi sir right side mein lower to nhi hota dirmeaan mein hota hota hai lower mein to vagina k oper jahan se pait shiro hota hai wahan saari jagah hota hai aur pait k neechy aur right side mein pain b kisi kisi waqt hota hai her waqt nhi hota aur fever and vomiting se b allah ne bachaya hua hai.aur vagina mein swelling vagina ka jo oper wala hissa hota hai sirf saari jild koi khaas part nhi wahan swelling hui hai mujy aisa lgta hai k meri vagina thori moti ho gai hai aur vagina ka dard b kisi kisi waqt thori e dair k liye hota hai right side mein lips k sath jo jild hoti hai us mein aisa lgta hai jesy khhinch lag rhi hai bas thori dair k liye.aur sir ye bartholin gland cyst/infection kia hota hai iska bachy pe to koi asar nhi hota meri pregnancy ka 8 month 28 se shuro hony wala hai inshaallah.mujy clearly batayen plzzzz.thanks a lot. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:26th Aug 2011, 3:46pm |
|
|
Bartholin Cyst: Dear sister,
Aap na jo description de hai uska hisaab say yaqeeni tor par to kuch kehna mushkil hai, magar jaisa keh mein nay pehla kaha, Bartholin Gland ke cyst mein infection ke possibility hai. Bartholin chota sa gland hota hai jo vagina ke donon sides par hota hai aur aik fluid secrete karta hai jis say vagina moist rehti hai. Agar fluid secretion mein blockage ho jae to cyst ban jaati hai ( sweling on one side of vagina). Agar is cyst mein infection ho jaie to phir pain ka symptoms bhee ho jaate hain. Warm towel say massage karna helpful ho sakta hai. Generally yeh baby ka liya nuqsaan deh nahin hoti. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:5th Sep 2011, 12:23pm |
|
|
my altrasound report assalam-o-alaikum psychdoc sir kesy hain aap? sir main ne apni doctor se apna mukamal check-up kerwaya hai Allah ka shukar hai k sab theek hai pait k right side waly dard k baary mein kaha k altrasound mein kuch nahi aya sab kuch theek hai dard ki koi wajah nhi hai bas wesy e dard hota hai bacha bhi Allah ka shukar hai k theek aur normal hai meri aaj ki altrasound report mein aapko bhej rhi hun agar aap mujy samjha dein tio bohat shukria meri altrasound report ye hai.Gestation.seen/presentation.cephalic/Lie.longitudinal/Placenta.Ant wall/Fundal.upper ut segment/Amniotic Fluid.normal/Fetal Morphology CNS.presence of cerebelium.presence of orbits.normal spine/Chest.four chamber view/Abdomen.stomach.kidneys.bladder/Umbilical cord.normal/Biomerty.BPD 7.7 cms/Gestational age 31weeks+14 days/Femur lenth 6.1 cms/ weight 66kg and bp is 110/70. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:6th Sep 2011, 6:53pm |
|
|
Your ultrasound:
Dear sister, Walaikum salam. I am doing very well, thank you. How are you?
Aap ka ultrasound normal hai. Baby ka growth parameters bhee theek hain. Aap na past month mein 2 kg weight gain kiya hai jo bilkul normal hai ( is stage par weight gain 1 pound per week hota hai approximately). Aap ka BP bhee normal hai. Bus aap nay end mein "Gestational age 31 weeks+14days/" thorra ghalat likh diya hai ( +14 days wala part).
|
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:6th Sep 2011, 10:09pm |
|
|
thanks Allah ka shukar hai sir main theek hun sir aapne kaha k main ne +14 days wala part ghalat likh dia hai sir is baat ki samjh mujhy b nhi aai k unho ne 31 weeks k sath 14 days kiun likha pehly to aisa kbhi nhi likha isi liye to aap se pocha k iska kia matlab hua weeks k sath days bhi likh rhy hain. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:6th Sep 2011, 10:55pm |
|
|
your report:
Aap apni report aik martaba aur check kar lain keh exactly kiya likha hai. Kaheen +14 days ke jagah +- 14 days to nahin likha?
|
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:7th Sep 2011, 10:29pm |
|
|
my report g sir main ne dobara report ko ghor se dekha hai + k neechy - ka nishan hai per sir iska kia matlab hua mujhy bohat tashveesh ho rahi hai k 8 maheeny mein pehli martaba report mein aisa likha hai doctor sirf report bana deti hain samjhati to kuch hain nhi khud e samjho sab kuch tabi to aapki madad leni perti hai wesy aapka bohat bohat shukria k aapne hamesha meri madad ki Allah aapko iska jazzaye khair atta fermaye. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:8th Sep 2011, 11:31pm |
|
|
Your ultrasound:
Dear sister, Thank you. Aisa ( +-) generally uswaqt likha jaata hai jab kisi cheez ka baaray mein koi baat unclear ho. Aap ke report mein jo Gestational age 31 weeks +-14 days likha hai uska matlab yeh hai keh gestational age( pregnancy ke duration) 31 weeks hai magar us mein 2 weeks ooper neechay ho saktay hain. Aisa kabhee kabhaar uswaqt hota hai jab baby ka growth parameters ka hisaab say uski age kuch hoti hai magar calculated dates ( according to the last menses) ka hisaab say baby ke age kuch aur hoti hai. Yaani ultrasound mein baby ke measurements ka hisaab say uski jo approximate age honi chahya woh us age say different hoti hai jo doosra tareeka say calculate ke gae ho. I hope you understood what I am trying to explain. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:9th Sep 2011, 10:43am |
|
|
psychdoc thank u very much sir
is me koi preshani wali baat to nahy hy mujy bahut tension ho rahe hy |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:9th Sep 2011, 10:41pm |
|
|
No worries:
Nahin, is mein koi aisi pareshaani ke baat nahin. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:11th Sep 2011, 11:30pm |
|
|
thanks sir sir thank u so much k aap ne meri pershani kam ki sir aik baat pochna chahun gi aap se k aap ne meri altrasound report dekhi hai aap bata sakty hain k bachy ki growth kesi hai theek hai ya apni age se kam hai bas itna bata dejeye.thanks |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:12th Sep 2011, 10:26pm |
|
|
Baby's growth parameters: Dear sister:
Ultrasound ka hisaab say baby ke growth normal ho rahi hai. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 8:58am |
|
|
baby's movement A.o.A.sir kesy hain aap?sir aik sawal pochna tha k is stage pe jab k mera 8 month khatam hony wala hai bachy ka harkat kerna kisi waqt ho aur kisi waqt na ho baby 24 ghanto mein adha waqt herkat karta hai aur adha waqt nahi karta jab k main ne suna hai k last month mein baby her waqt herkat karta hai.mery pait mein herkat hoti hai per kisi kisi waqt her waqt nahi hti to kia sir ye normal hai is mein koi pershani wali baat to nahi hai kia ye mumkin hai k baby kisi kisi waqt kuch ghanto tak herkat na kery. |
psychdoc |
Group: Members Joined: 04th Mar, 2011 Topic: 11 Post: 1228 Age:
33
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 10:04pm |
|
|
Baby's movement:
Dear sister, Wailakum salam. I 'm fine, thank you. Pregnancy ke is stage par baby ke movement ko monitor karna kaafi important hai. Iska basic rule yeh hai keh aap ko 2 hours ka doraan baby ke movement taqreeban 10 times feel honi chahye. Agar aap feel karain ke kisi time baby ke movement kum hai to orange juice, ya koi aur juice jis mein sugar ho, peian aur left karwat say lait jaian. Inshallah baby ke movement normal ho jai gee. Magar agar aap feel karte hain keh baby ke movement phir bhee normal nahin ho rahi, yaa kafi dair tak feel nahin ho rahi, ya 2 hours ka doraan 10 times say hamesha hee kum aa rahe hai to foran apni doctor ka paas jaian. Woh ultrasound ya phir non stress test ( NST) ka zarya baby ke movement monitor karain gee. Good luck. |
sadis |
Group: Members Joined: 03rd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 67 Age:
26
|
|
Posted on:15th Sep 2011, 11:26pm |
|
|
baby's movement sir kisi kisi waqt to lagataar movement hoti rehti hai lekin kisi waqt kuch time tak nhi hoti ghanty to nhi keh sakti kiun k agar ziada na ho to kam kam to hoti rehti hai aur kisi waqt to sari raat hoti rehti hai ya phir sara din b hoti rehti hai sir main ye jan'na chahti hun k agar movement kam ho ya kisi waqt na ho to koi pershani wali baat to nhi sab kuch theek to hai.aisa kiun hota hai.kia baby ki movement ka taaluq uski sehat se hota hai? |
|