Sadis:
Mein bilkul theek hoon, Allah ka shukar hai. Aap kaisee hain?
1year old baby ko variety of food choices dainee chahyain, including milk, meat, eggs, fruits, vegetables, butter, cereals, daalain etc etc. Cerelac acchha hai, magar complete food nahin. Kia aap abhee breast feeding karwa rahee hain yaa stop kar di? Koshish karain keh mukhtalif tarah ka foods dain, yeh ahtiaat rakhta hoa keh koi aisee cheez nah dain jo bacha ka gala mein phans kar choking kara.
Bazaar ki cheezain avoid karain, aur ziada sa ziada ghar ka bana hoa khana aur fruits waghaira dain. Chocolate bohot ziada nah dain, iss say bachay hyper ho jatay hain. Water hamesha boiled pilayan.
Vomilux vomiting kay lia hoti hai, magar iss tarah ki meds ziada use nahin karnee chahyein, kionkeh aksar vomiting aik protective role ada kartee hai, yaani body say aisa food products ko bahar nikalna mein madad daitee hai jo sahih say digest nah ho raha hoon, ya jin ki wajah say infection ho raha ho. Bismol, upset stomach ka lia use ki jaati hai. Aur negram aik antibiotic hai. Baghair examine kia mera lia yeh batana possible nahin hai keh baby ko diarrhea kion ho raha hai, magar aap ka lia aik important suggestion hai, woh yeh keh chota bachon mein vomiting aur diarrhea ki wajah say dehydration ( jism mein paani ki kami) ka kaafi risk hota hai, behtar hai keh baby ko ORS dain takeh dehydration nah ho.
Nimko waghira ki jagah fresh fruits ko as healthy snacks dain.
Iss age mein bachay chalna start kartay hain, iss lia make sure keh ghar mein agar koi stairs hain to khayal rakhain keh baby stairs ka paas nah jae. Doors aur windows waghaira ka khayal rakhain. Aur baby ko chalta phirta khana ki aadat nah daalain, iss mein choking ka risk hota hai. |