Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Kya Salman Taseer Aik Roshan Khayal Leader Thay?

Politics
 
 
 
mustmust Group: Members  Joined: 03rd Dec, 2008  Topic: 12  Post: 149  Age:  28  
Posted on:4th Jan 2011, 8:32am
 

Kya Salman Taseer Aik Roshan Khayal Leader Thay?

Keya solaman taseer ek roshun khiyal leader thay, Roshun khiyal hony ka keya mutlab hay, sulaman taseer ki roshun khiyaali pur tubsura kejieyh, or roshun khiyali ko bhe define kejeiyeh ka roshun khiyali ka mutlab keya hay,
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:4th Jan 2011, 10:28pm
 

Raushan khayaal salmaan

1. osnay aik indian sikhni say shadi ki jiss say oska aik beta bhi hai jo uk maiN rahta hai...oss nay aik book bhi lkihi hai jiss main salman taser ko apna baap kaha hai, woh pakistan bhi aata raha hai...yeh mausoof ki 'raushan khayali' ki aik behtareen misaal hai

2. mausoof nay tauheenay resaalat k qanoon ko "kalaa qanoon" kahaa thaa. jiss say onki "raushan khayaali" ki mazeed tasdeeq hoti hai

3. ossay qatal karnay walay onkay guardz nay ghazi ilam deen k naqshay qadam par chaltay howay iss "shatimay rasool" ko qatal karnay ka etraaf kia hai...qatal k baad oss nay faraar ki koshish nahi ki balkay khud ko giraftaari k liyeh pesh kardia.....

4. salman taseer k qatal par "kuffar" aur onkay "hamiyouN" ko bahoot dukh howaa...... usa, UN samit tamaam yahood o nasaaraa k agents nay iss qatal par afsoos ka izhaar kia......... yehi adaray kabhi pakistan maiN ulemaa e karaam k qatal par afsos ka izhaar nahi kartay

5. salmaan taseer ka "life-style" bhi yehi gawahi deta hai k oska deenay islam ki taleemaat say dooooor doooooor ka koi wastah nahi thaa...aur mobaiyyanah taur par woh aik aqliati firqay" say talluq rakhta thaa...... zaahir hai raushan khayaal to woh hogaa hi :)

6. iss k bawajood as a aman pasand shahri, hum onkay iss tarah qatal kiyeh janay k amal ki mozammat kartay haiN k kissi bhi reyasat main kissi bhi fard ko inferadi taur par yeh haq haasil nahi k woh kissi bhi mobaiyyanah "mujrim" ko az khud sazaa denay k liyeh ossay maut k ghaaT otaar day...yeh kaam qanoon naafiz karnay walay adaaroun aur adalya hi kaa hai

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2011, 10:40pm
 

Roshun khiyali

Murhoom nay saudi hukomat or saudi law kay bary meah bhe Lub koshai ki hay jisy es jumhoori hukomat kay relation saudia say bhe motasir howay hen,
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:4th Jan 2011, 10:47pm
 

..........

Hamain koshish yehi karni chahiyai k kisi k Character se hat kar baat karain, kya pata Allah ko hamari ye baat buri lag jaye, kyun k hum batin tou nahi jantay kisi ka.....Koi musalmaan chahay kitna hi Allah ka banda kyun na ho, sirf ek buray kaam ki wajah se dozakhi bhi hosakta hai aur koi gunehgaar insaan ek achay kaam ki wajah se janati bhi hosakta hai....koi Allah aur uskay mazhab se kitna kareeb hai aur kitna doar iska faisla Allah Talah nay karna hai kayamat k din na k kisi insan nay.

Salmaan taseer kis kism k roshan khayal thay ye main nahi janta, likin wo ek kamiyaab aur tarakki pasand insan thay aur Pakistan ko aese hi loagon ki zarorat hai jo Pakistan ko kuch dein aur agay lekar jayen, aese loag kam se kam unse tou behtar hi kehlaye jasaktay hain jo Pakistan main dehshat gardi karne walon k saath shamil hain aur unhain support kartay hain, jinki wajah se 1 nahi lakhon begunah afraad katal hojatay hain.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:4th Jan 2011, 10:52pm
 

aasiya bibi say hamdardi

maqtool governor salman taseer 20 nov ko maseehi khatoon aasia bibi say milay jinhaiN tauheenay resalat par sazaa.e.maut sonayee gayee hai...onhouN nay shaatimay rasool aasia bibi say hamdardi ki aur onhaiN yaqeen dilaya k woh oski maut ki saza maaf karanay k liyeh apnay 'ham.maslak' sadray mumlikat say baat karengay.

goya maqtool governor nah sirf yeh k tauheenay resaalat ki mujrimah say hamdardi rakhtay thay balkay pakistan ki adaaltoun k faislah k bhi khilaaf thay. onhouN nay apnay iss bayaan say apnay hi mulk ki adaaltouN par adam etmaad ka izhaar kia...... aur onkay issi amal k "radday amal" maiN mumtaaz qaadri nay bhi adaalat say balaa baala qanoon ko apnay haathouN maiN lay kar onhaiN qatal kardia.

ab maqtool governor apnay rabb ki adaalat main pahonch gaye hain...agar woh HAQ par thay to Allah onhaiN Jannat maiN aur agar taghoot k kaarinday thay to onhaiN jahannam raseed karega k Allah say baRa aadil munsif koi aur nahi.

issi tarah agar "mulzim" aasim qaadri nay haqeeqatan aik "shatimay Rasool" ko qatal kia hai to Allah ossay iskay behtareen ajar degaa, jannat ataa karega, khaah woh iss dunya main phansi par hi kiyouN nah chaRh jaa.ay.......lekin agar oss nay aik "bay.gonaah" ko qatal kia hai to as per Quran, kissi aik bay gonaah ka qatal poori insaaniyat k qatal k motaraadaf hai...... aisee soorat main Allah ossay yaqeenan iski saza dega khaah mulzim dunya maiN bari hi kyouN nah hojaa.ay.

teesri aik aham baat: being a muslim, hamara aqeedah hai k maut ka waqt aut jagah moqar.rer hai...... lehaza salmaan taseer ki etni hi zindagi likhi howi thee...oss nay kal sham har haal main marna thaa, khaah ossay goli nah bhi mari jati....... marnay say pahlay ham kissi ki maut k waqt say agaah nahi hotay.......but marnay k baad sab agaah hojatay hain........

salmaan taseer k chaahnay walay agar mosalmaan hain, taqdeer aur maut k moqar.rarah waqt par imaan rakhtay haiN...aur inhaiN yeh bhi yaqeen hai k woh bay.gonaah maray gaye hain........to phir onhain pareeshan nahi hona chhaiyeh....... aisee soorat main woh yaqeenan "ajar" k mostahiq hongay.

baat saari "imaan" ki hai. Allah ham muslims k imaan ko mahfooz rakhay aameen

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:4th Jan 2011, 10:59pm
 

character ki baat nah karo

beTa g! charachter hi sab kuch hota hai, agar nahi to kuch bhi nahi.......islam samait tamam mazaahab maiN insani character hi woh wahid shaii hai, jiss par mokammal ittefaaq hai....... sharabi, zaani, ko koi bhi mazhab pasand nahi karta..... aik "deen k circle" k ander rahtay howay ossi deen ki taleemaat k khilaaf bolna...aisaa koi characterless fard hi kar sakta hai.

marnay k baad har fard ka maamlah Allah k suprud hojata hai.......lekin agar marnay wala koi maroof insaan ho, public figure ho, hukmraan ho, to oskay character aur poori zindagi tareekh ka hissah ban jaati hai...oski khoobiyaan, khamiyaaN nisaab main paRhayee jati haiN......agar yeh sab azal say hota chalaa aaya hai aur ayanfdah bhi hota rahega to salmaan taseer k character, oska nazaryaa, oska kirdaar zeraya bahs aayegaa hi, beTa gi...kia samajhay.

PS: islam main aik common man ki wafaat k baad oskay character, bilkhasoos boray character ko zeray bahas laanay ki momaa'ne'at hai... jaisay maiN HITMAN bhai ki wafaat k baad onkay ayoob ko yahaan bayaan karoun yeh ghalat hogaa...aur agar aisaa hi HITMAN bhai meri wafaat k baad meray baray main karain to bhi ghalat hoga...k ham dounoun publib figure nahi hain

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:4th Jan 2011, 11:05pm
 

Important Point

Mazhabi jamatain touheen risalat k khilaaf khoob ejtijaaj karti hain, jalsay joloos nikalatay jatay hain etc, jo k buhut achi baat hai. Likin aesa hi reaction un logoun k khilaaf kyun nahi kia gaya aur kiya jata jo islam ka naam badnaam kartay hain aur islam k tasawwur ko ghalat andaaz main pesh kar k dehshat gardi machatay hain (etc Pakistani banned religious organizations like lashkar k tayyaba or tehreek talibaan).

Jab islaam ki baat ati hai tou ismain Allah ,uska Rasool (P.B.U.H) aur uska deen sab shamil hotay hain, yani yahan pe sab ki ek saath touheen horahi hoti hai, aur wo bhi buhut buri tarha toor maroor k, ek naya mazhab bananay ki saazish Allah aur uskay rasool k qoul o fail ko badal k.....maslan tum dhamaka karogay tou jannat main jaoge etc......

ab yahan pe tou ye hona chahiyai tha k in Allah aur Rasool k naam lewaoon ko bahar nikal k long march karna chahiyai tha aur un tamam mazhabi sharpasandon k khilaaf fatway jari karnay chahiyai thay aur us wakt tak chain se nahi bethna chahiyai tha jab tak k ye loag safah hasti se na mil jayen, likin aesa nahi horaha, abhi tak bomb dhamakay horahay hain, koi uth khara honay wala nahi hai inkay khilaaf......sab khamosh tamashaye banay bethay hain aur siyasat chamka rahay hain.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2011, 11:06pm
 

Myrizvi bro

aasiya bebi ka case keya hay or adalat meah keya esny iqrar-a-jorm bhe keya ta or keya esky khilaaf thos shuwaahid bhe mily hen kay esny toheen-a-risalat ki thi, toheen a risalat or Guwahoo ko check kurny ka keya process hay adalat jhooty guwaah pur bhe kisi ko phunsaa sukti hay , keya suza-a-mot kay leyeh iqrar-a-jorm zuroori hay ya shaahaadutain,.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:4th Jan 2011, 11:17pm
 

Qasim bro.

yeh sab sawaalaat aasia bibi k wakeel e safayee nay yaqeenan kia hoga. ap aik dr haiN koi wakeel nahi lol

agar ap pakistan k adaalti nizaam ko "maantay" haiN to adaalat k iss faislay ko maanaiN. adaalat maiN mujh say aur apsay zeyadah qaabil log maujood haiN jo qanoon ko ham say zeyadah behtar taur par jaantay haiN.... ap aj jang paper dekh laiN...iss maiN yeh khabar maujood hai........details ka mujhay pata nahi nah hi mujhay iski zaroorat hai....... ghaleban ap ko bhi aasia bibi say hamdardi feel horahi hai, maiN yeh baat qaadri sahab ko batlaanay ki koshish karta houN lol

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:4th Jan 2011, 11:24pm
 

Character apna apna.....

Pehlay tou yahan main nay Bad character ki baat ki hai, koi sharabi ho ya zani ho ya falan ho ya dhimka, ye uska apna personal character hai jiska wo khud zimidaar hai, isliyain zere behes wo loag lasaktay hain kisi ka character jo apne giribaan ko dekhna pasand nahi kartay.....

Yehi tou mai keh raha hon k zere behes hi nahi layen kya pata uska makaam insab gunahon k bawajood Allah ki nazar main apse zyada bartar ho... ya kya pata agay wo appse zyada acha ban jaye duniya main, kya pata usko naik hidayat mil jaye, kya pata wo sharab petay ho bhi Allah ka pasandeeda banda ho kisi khas baat ki wajah se jo appmain na ho.......

Nisaab main kabhi kisi mashor shaks ki khamiyan nahi dali jati hain, quiad e azam ki khamiyan hon ya Allam iqbal ki khamiyan, main nay tou apne nisaab main unki heroic character k kissay parhay hain, ye nahi parha k allam iqbal ki shadiyan nakaam kyun hoen

Is hi tarha agar character sab kuch hota tou loag ghalib ko nisaab se nikaal bahar karay kyun k wo sharabi thay..... yani wo sharabi tha phir bhi loag usay follow kartay hain, aur unhain shayeri ka deota mantay hain,..... na na uskay sharab penay ki waja se nahi balkay uskay talent ki wajah se, kyun k apka acha kaam hi apki wajah shanaakht ban jata hai.

kuch bura laga ho tou mazirat, but main agree nahi appki baat se.
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6346  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2011, 11:24pm
 

Re

nahi Mujy Gostakh-a-rusool say Quthan humdurdi nahi hay. agur woh gostakh a rusool hay tu osy zuroor pakistani qanoon kay motabik suzaa milni chayeh,
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:4th Jan 2011, 11:54pm
 

HITMAN bhai

bahas mobahesa maiN bora lagnay wali koi baat nahi hoti... maiN sab ka yeh haq tasleem karta houN k woh apnay apnay point of view par qaaim rahaiN aur osay phailaayaiN bhi... yeh to apka aur mera aur sab ka haq hai...iss maiN mind karnay yaa maazrat ki koi zaroorat nahi hoti.

ap shauq say meri baatouN say disagree karain...jaisaa k maiN apki batoun say kar raha houN :)

main shayad "nisaab" ka lufz ghalat kah gayaa, mujhay yahaaN "kitaab" /tareekh kahni chahaiyeh thee........ apnay jin shakhseyaat ka zikr kia hai, woh tareekh maiN madfoon haiN...onki khoobiyaaN /khamiyaaN bhi kitabouN maiN mahfooz haiN...jabhi to apko ghalib, iqbal aur hazrat Quaid e Azam ki in khamiyouN k baray maiN pata chalaa.....warnah aap onkay daur k to nahi lagtay lol

"nisaab" wali misaal wapis leta houN... k nisaab har society ka alag alag hota hai......pakistan movement par india o pakistani nisaab alag alag hosakta hai... bengladesh k qayaam par pakistani /BD nisaab alag alag balkay opposite hosakta hai...........but "tareekhi books" maiN kam o besh sari real stories mahfooz hoti haiN...public figures ki khoobiyaaN bhi aur khamiyaaN bhi

hatta kay baRay baRay sahabah karaam jinhouN nay "islam dushmani maiN kirdaar" adaa karnay k baad islam qabool kia........tareekh maiN onkay qaboolay islam say qabal k 'character' ka bhi zikar mahfooz hai aur qaboolay islam k baad ka bhi..........aj bhi jab Imran khan yaa junaid jamshaid jaisi public figures par onki biography likhi jayegi to onkay "dauray jahalat" ka ahwaal bhi likha jayegaa....... onkay U-turn lenay k bawajood........lekin jin logouN nay aisaa koi u-turn nahi lia......aur apni aik hi samt maiN zindagi guzari...agar woh public figure howay to onka sara kacha chaTh.Tha tareekh maiN mahfooz rahegaa....aur ajkal tareekh banaanay ka kaam print /electronic media kar raha hai... yeh sab kuch record kar raha hai........jiskihelp say mustaqbil ka historian in par likhega.

apkay mamdooh salmaan taaseer par bhi :)

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:5th Jan 2011, 12:38am
 

Ab Tou Teer Kamaan Se Nikal Gaya...

aray nahi ustaad ji, mein salman taseer ki himayat main ye sab nahi keh raha.....usne jo kaha tha uski saza kisi ek fard k haath main nahi hai, jis tarha abhi mara gaya bas is baat pe aetraaz hai mujhe....khair Allah behtar janay

character pe likhna aur character pe ungli uthana 2 alag alag batain hain ustaad e mohtaram. :)

wese kamaan (zabaan) se nikla hoa nisaab ka teer ab wapis nahi asakta na dosre teer (kitabain) se badla jasakta hai pehle teer (nisaab) ko isliyain us hi baat pe guzara kijiyai ab. shaba khair.
jazzii Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2009  Topic: 7  Post: 62  Age:  27  
Posted on:5th Jan 2011, 10:30am
 

sorry

sorry lekn sulman taseer ne ajj tak mulik k liye ya qoom k liye kya kia ,,,or jo unu ne batein ki thein kya wo thik thein ,or roshn khyal thy ya ni lekn leader ni thy ,,,,roshn khyal kisy kehty hein ,,wo jo islam ki hadood ko par kar k ALLAH ko sar-e aam lalkary,,,

roshan khyali kya hai ,MOHAMMAD (s.a.w) ne zindgi guzarny ka tarika bta dia or wahi qayamat tak sai or darust tarika hai,,,,

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1837  Age:  30  
Posted on:5th Jan 2011, 10:51am
 

Salman Taseer

Bazahir Salman Taseer ko acha Muslim consider nahi kia jata tha mgr main heran hun ke unn ke marne pr log yahan tk keh rahe hain ke Gustaakh-e-Rasool ki saza yehi honi chahiye thi etc. etc. Main jab aise logoon se poochta hun ke mujhe koi apne proof main video dikha do jis main Governor Sahib ne apni zindagi main kabhi Rasool (saw) ki shaan main gustakhi ki ho tau phr apni baghlain jhankne lag jaate hain. ZIA UL HAQ Allah ka Nabi nahi tha jis ke bnaye gaye qanoon ko koi ghalat nahi keh skta aur ksi qanoon ko ghalat kehna Toheen-e-Risalat ke zumray main nahi aata.

Salman Taseer jo b thay wo sab ke saamne thay aur at least unn munafiq logoon se bht behtar jinhoon ne unhen badnam kia aur jo Roza-e-Rasool (saw) pr beth kr sari dunia se jhoot bola krte thay ke wo kisi agreement ke teht nahi aaye. Main confuse hun ke kesa double standard hae ke Roza-e-Rasool (saw) pr beth kr jhoot bolne walay logoon ki nazar main Toheen-e-Risalat ke murtakib nahi balkeh mohtram hain jab ke aise qanoon ko ghalat kehne wala Toheen-e-Risalat (saw) ka mulzim hae jis qanoon main procedural faults mojood hain aur jis qanoon ke zarriye ksi be gunah ko b saza dilwai ja skti hae.

Ye b ajeeb doghla pann hae ke sari umar hath khol kr namaz parrhne wala SaLman Taseer agar lashkar-e-jhangawi ke khilaf bol parre tau uss pr shia hone ka ilzam lagna shuru ho jata hae. Aise log hi ksi zamaane main Quid-e-Azam ko shia hone ki wajah se Kafir-e-Azam kaha krte thay aur Tehreek-e-Pakistan main unka sath dene se inkar kr dia tha. Ab usi Kafir-e-Azam ke bnaye huvay Pakistan main gumrahi phila rahe hain. Main yahan shartiya kehta hun ke agar Khud kush hamla awar aur Taliban ta taaluq fiqha-e-jaaferia se hota tau ab ye loag unn ke khilaf zameen asman aik kr chuke hotay mgr ab unn ke khud kush hamlay b islam ke mutaabiq hain chahe apne aap ko marna Islam ke khilaf hi q na ho.

Mujhe herat iss baat pr b hoti hae ke Toheen e Risalat (saw) issue pr Governor ko gaaliyan dene waloon main wo log b shamil hain jinki MUQADDAS kitaboon main likha hua hae ke nauzbillah Rasool (saw) sari raat halat-e-jinabat main raha krte, aap (saw) pr sehar kr dia jata tau aap ko pta hi na chalta ke azdwaaj main se aap (saw) ke pas koi aai b hae ya nahi, Namaz main shak ho jata tau yeh smjh nahi paate thay ke kitni rakaat namaz ada ki hae aur Rasool(saw) ye b nahi jaante thay ke roz-e-qeyamat unn ke sath kya salook rawa rakha jayega. Meri Allah se yehi dua hae ke Allah hum sab ko hadayet de aur roz-e-qeyamat aise logoon main hamara shumar na ho jo Rasool (saw) ke naam pr gumraahi phelaate rahe hain..

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3217  Age:  36  
Posted on:5th Jan 2011, 12:16pm
 

yes agreed to bhimji..and some words

well said bro ..

waisy to bhimji ny kafi hooshruba tajziya kiya hay aur kuch kehny ki gunjaiesh to nahi bachti laiken phir b cahnd alfaz ka izafa karna chahon ga

No.1 .. sab sy pehly yeh daikhana ho ga k "toheen-e-risalat "(s.a.a.w) ka asal qanoon kia hay aur iss qanoon ki implementation kia aur kaisy hay ? baad azaan yeh daikhana b zaroori hay k iss qanoon k haq main ya khilaf bolny waly k sath kia rawya apnana chahiye.?

No. 2 .. agr iss qanoon main "parliament" aur "senate" k andar koi tarmeem amal main lai jati hay to kia sab muslims ko apny jazbat ko thais puhanchny k sabab har parliamentarian ya senator ko goli ka nishana bana daina chahiye .?

No. 3 .. iss waqt poory pakistan main toheen-e-risalat (s.a.a.w) k taqreeban 1200 muqaddmat hain jin main aksriyat muslims k khilaaf aur aqliyat ghair muslims ki hay kia unn sab ko jailon sy bahar nikal aik line main kharry kar k goli sy urra daina chahiye ?

No. 4 .. asia bibi ya uss jaisy deegar mulizmaan ko szaiyen sunany k baad kia koi sha'khas unn par koi appeal ya challenge karny ka haqq nahi rakhta ..? aur agar koi pakistani sheri hony k naty sy aysy cases par appeal kary to kia ussy b goli sy urra daina chahiye ..?

yeh aysy sawal hain jin k jawab main koi b sahib-e-aqal yahi kehy ga k qanoon sy bala tar koi nahi hay har masly ka hall qanoon ki hadood main rehty howy hi kiya jana behtar hoga ..aur hona b aysa hi chahiye ..aur jo banda b qanoon sy bala tar ho kar koi b ghalt act kary ga ya qanoon ko apny hath main ly ga wo na to pakistan aur na hi islam k sath mukhlis ho sakta hay ..

to sawal yeh paida hota hay k yahan aik sha'khas "mumtaz qaadri" ko hero q banaya jaraha hay ..? kia uss ny qanoon k dayery main rehty howy yeh kaam kiya hay ?..

agar koi banda toheen-e-risalat (s.a.a.w) k qanoon k khilaaf boly to uss ki saza goli hay... aur agar koi az khud shariyat-e-Muhammadi (s.a.a.w) ki khulam khula khilaf warzi karty howy aik insan ko qatal kar dy to wo hero hay..?

wah rey mery mulik k danashwaro tumhara insaaf....:(
ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 25  Post: 1368  Age:   
Posted on:6th Jan 2011, 5:22am
 

Sheraza hua millat-e-marhoom ka abtar, ab tu hee bata tera musalman kidhar jaaye..!

muje inn musalmanoN k qanoon o shariyat aur inn ki mantiq ki samajh nahiN aati jahaN qanoon ki implementation honi chahye wahaN kartey nahiN.
ab salman taseer ko hee le lijiye , meiN zaati tor par salman taseer k qatil ka hami nahiN hooN kyuN keh uss ne ho bhi kia apne qol o fael se uss ki saza qatl kisi tarha sabit nahiN hoti , kisi qanoon ki mukhalifat karne se koi kafir nahiN ban jata ..

jahaN ye musalman salman taseer ko kafir keh kar qatl kar chukey heiN waheiN dunya k sab se barey gustaakh e rasool saww "yazeed" jis ne alal ailan fisq o fujoor kia aur Rasool saww aur islam ki khullam khulla tardeed ki , iss k liye dua e maghfirat kartey heiN kia ye khulla tazad nahiN???

inn so called muslims k jazbat jhaag ki tarah heiN ek dam ubarthey heiN aur phir ThanDey ho jatey heiN aur jahaN karrwai karne ki zarurat hoti hai wahaN kartey nahiN.
Bait ul Muqaddas hamara qibla e awwal iss waqt ki sehooni aur yazeedi taqaton k hathoN munhadim kiaa jaa raha hai , rasool saww ki ummatiyoN par zulm kiaa jaa raha hai palestine meiN aur naam nihaad musalman khamosh heiN , balkeh soudi arab k hukmaran tabqey ka fard "bandar bin abdul azeez" kehta hai k hammas aur hizbullah ko khatm karne k lye hameiN seooniyat se bhi madad lena paRi to ham leiN ge.

agar waqei koi apna rasool allah saww se apna ishq sabit karna chahta hai to hammas wa hizbullah ki muqawimat meiN shamil ho aur sehooniyoN k khilaf khaRa ho , muslim kushi kar k koi banda kabhi bhi aashiq e rasool saww nahiN ho sakta...
nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:6th Jan 2011, 12:03pm
 

ummm..

by all means he should be punished and he deserved that. he was neither a good character holder nor a good leader , only a selfish business man.
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2115  Age:   
Posted on:7th Jan 2011, 2:42pm
 

Garjian And WashingPost

maghribi media ny apnay tabsaroun main kaha hy k Salman Taseer ki maut Pakistan main roshan khayali k liay shadeed dhachka hy. British newspaper Garjian ny likha hy k Salman Taseer ki qabar main Roshan khayali ka khuwab bhi dafan hogayaa hy. Pakistan k liberal a'anasir ki Aawaz kamzor hotee ja rahee hy.

American newspaper Washington Post ka kehna hy a'ala hukam aur ministers bhi surat-e-haal ki nazakat k paish-e-nazar apna rawaya badaltay hoay nazar Aarahay hyn. qaumi assembly main tauheen-e-Risalat main amendment k liay Private bill submit karanay walee Sherry Rehman bhi lagta hy k pas-e-manzar main chalee jaengee.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6481  Age:  54  
Posted on:9th Jan 2011, 1:07am
 

salman tasser k taraf.daaraan

sirf mundarjah zail aqsaam k log maqtool salmaan taseer k "taraf.daar" haiN /hosaktay haiN

1. jin logouN maiN "party tassub" maujood ho... yaani "apni party" maiN agar koi shaitaan" bhi hai to woh hamaiN "iss wajah" say piyara hai k shaitaan nay bhi to saalouN Allah ki ibadat ki thee aur ibaadat karna koi ghaat kaam thoRa hi hai (justification ka shaitaani andaaz"

2. jinka apna "life style" maqtool k "bay.deen life style" say milta julta ho... jo sharaab o shabaab ka "azaadanah use" karnay ka qaail ho jo maqtool ki tarah kissi bhi non-muslim say aulaad paida karnay ko bora nah jaanta ho...maqtool ki aik indian sikhni say aik jawaan beta hai...jo ajkal UK maiN rahta hai, pakistan kaii baar aa chuka hai. oss nay aik book bhi likhi hai...salman nay kabhi iss betay /oski book k mandarjaat say inkaar nahi kia

3. jo log maqtool k mobaiyyanah aqliati firqay say waabistah houN aur jin main "firqah waranah tassub" kooT kooT kar bharaa ho....

4. jinkay kaarobaari mafaadaat" salmaan taseer ya onkay adaarouN say direct /indirect wabistah houN...jin par kabhi maqtool ya onka karobari adaarouN nay "maali ehsaanaat" houN

4. jo musharraf aur oski "baaqiyaat" say mohabbat kartay houN / jo zardaari aur oskay "dostouN " say mohabbat kartay houN.

warnah aaik insaaf pasand mosalmaan, mohibbay watan pakistani kissi taarh bhi maqtool say mohabbat karnay ka koi "ikhlaaqi jawaaz" pesh nahi karsaktaa.

wallaho aalam bissawab
1 2 3  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012