Dr. safdar Mahmood
Pakistan k aik jaanay maanay mohaqqiq haiN aur hazrat quaid e Azam aur pakistan movement par authority ka darjah rakhtay haiN. onki kai books bhi haiN aur woh akhbaar www.jang.net maiN colum bhi likhtay haiN. monday 7th aur tuesday 8th june k apnay 2 columns main onhouN nay TAHQEEQ k zariyah yeh saabit kia hai k jagan naath azaad nay pakistan ka qaumi taranah kabhi nahi likha...tafseel k liyeh jang akhbaar dekhiyeh... cheedah cheedah bataiN yeh haiN
1. jagan naath azaad nay apni zindagi main kabhi khud yeh DAWA nahi kia k onhouN nay aisaa koi taranah likha thaa... woh 1948 main pakistan say india 'hijrat' karnay k baad bhi kai martabah pak aa.ay magar onhouN nay kabhi iska tazkerah nahi kia
2. jagan naath azaad k beTay nay yeh DAWA onkay marnay k baad kia, jissay chand secular halqouN nay publicity dee... onkay betay nay bhi koi saboot nahi dia
3. dawa k motabiq hazrat quaid e Azam nay jagan naath azaad ko qaumi taranah likhnay ki dawat di, onhaiN bolwa kar... aur onka likha howa taranah manzoor kar lia jo radio pakistan par nashar bhi hota rahaa....yeh sab jhooT hai... jab pak banaa to quaid e azam ki age above 70 thee aur jagan naath azaad mahaz 29 yrs k thay... quaid e azam ki urdu bahoot kamzor thee lehaza iss baat ka imkaan kam hi hai k iss waqt woh jagan naath azaad ko as urdu poet jaantay bhi houN
4. quaid e azam k ADC ataa rabbani (senetaor razaa rabbani k walid ko abhi hayaat haiN) nay bhi iss baat ki tasdeeq ki hai k pakistan bannay k baad hazrat quaid e azam ki kabhi koi molaqaat jagan naath azaad say howi ho...yeh mumkin hi nahi k quaid e azam k ADC ko khabar howay beghair jagan naath azaad onsay milay, qaumi taranah likhwayaa aur manzoor bhi kara lia
5. quaid e azam aik qaumi maslay maiN kabhi iss tarah tan tanhaa koi faislah nahi kia kartay thay
6. radio pakistan k archive records aur radio k resalah AHANG k records aiN bhi aisa koi zikr maujood nahi k jagan naath azaad ka likha koi qaumi taranah radio say kabhi nashar howa ho
ap yeh dounouN colum mokammal khud paRh lain pata chal jayegaa k yeh aik Topi drama hai k kabhi jagan naath azaad nay koi qaumi taranah likha ho.... yeh shosha dar asal hafeez jalandhery ko degrade karnay k liyeh chora gaya hai...coz onhouN nay shaahnama e islam likh kar secular poets maiN naa.pasandeedah hogaye thay
|