Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Qaumi Taranah aur Hafeez Jalandhry - Pakistan National Anthem History

Urdu
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:22nd Jan 2010, 5:50am
 

Qaumi Taranah aur Hafeez Jalandhry - Pakistan National Anthem History

yeh to sab jaantay haiN k pakistan ka qaumi taranah, shahnaa.maa islam likhnay walay mumtaaz shair Hafeez jalandhry nay likha thaa magar bahoot kam log yeh jaantay haiN k....

1. oss wat ki hakoomat aur naukar shahi nay baar baar koshish ki k pakistan ka qaumi taranah with music UK /USA likhwa aur compose karkay mangwaya jaa.ay....... yaani pakistan ka taranah bhi import kia jaa.ay. jissay hafeez jalandhari aur deger mohibbay watan logouN nay nakaam bana dia

2. hafeez jalandhary say qabal darjanouN pakistani poets say bhi kaha gaya k woh pakistan ka qaumi taranah likhiaN magar woh bhi nakaam rahay.

3. bil.aakhir hafeez jalandhari sb say khud oss waqt k wazeer azam liaquat Ali Khan nay personally request ki k ap yeh taranah likhiaN aur iski dhun banwayaiN.

4. jab liaqat ali khan ka yeh hukm naukar shaahi ki maarfat hafeez jalandhari tak pahonchaa to........... onhaiN hedayat ki gayee k ........ aap jo taranah likhain oss maiN yeh ilfaaz shamil NAHI honay chhaiyeh.

a) ALLAH

b) Muhammad (saw)

c) Islam

d) Jehaad

e) Shahaadat

Reference: Qaumi taranay ki kahani..by hafeez jalandhary... published in January-2010 issue of Monthly Qaumi Digest, Lahore.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:22nd Jan 2010, 7:32am
 

myrizvi bhai

jazakAllah for nice sharing . lekin mujhay abhi tak yeh baat samajh main nahi ati k jab pakistan ka hasool Allah aur Us k Rasool E pak sallaho alehe wassalam k ehkamat ki azadana pabandi k liye kiya gaya tha . quaide azam ne farmaya k "humara maqsad zameen ka turka hasil karna nahi balkay aik aisi azad rayasat ka qayam hae jahan Allah aur Us k Rasool pak sallaho alehe wassalm k ehkam ki bapandi ho " tou phir pakistan k wajood main atay hi secular powers kyun sargaram hogayen ? aaj tak pakistan main islam impliment kyun nahi hosaka ? jab k hum isay islami jamhooriya pakistan kehtay hain . ( pehlay koi aur naam tajweez huwa tha Qudratullah shahab ne yeh name tajveez kiya jisay sadar Ayyub ne accept kar liya ) . kiya sirf lable laga dena hi kafi hota hae ? start se hi aisa attitude kyun rakha gaya islami saltanat k hotay huwe bhi . pakistan ka matlab kiya Lailaha illalah tou kiya yeh slogan raise karnay walay sab hi shaheed hogaye thay ? aur kiya aisi rayasat ka qayam jaiz huwa jo liya tou Allah k naam pe lekin Us k ehkaam abhi tak implement nahi kar sakay . kyun k pakistan ki azmat islam se hae agar yeh maqsad hi pase pusht chala gaya tou phir is k qayam ka kiya maqsad reh gaya ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:22nd Jan 2010, 9:57am
 

Quaid.e.Azam

pakistan ko islami reyasat banaanay k haq maiN thay ... magar woh iss cause main tanhaa thay....... jabkay onkay saath ...muslim league main aur tahreekay pakistan maiN, angraiz k kahnay par onkay taraf.daar nawwab, jageer.daar, secular log hatta k qaadyaani (like sir zafrullah khan, pak k pahlay wazeeray khaarjah, jinhoun nay quaid ki namaazay janazah nahi parhi thee) bhi shareek hogaye thay... jabhi to Quaid ka farmaanaa thaa k meri jab maiN bahoot say khotay sikkay maujood haiN...

Quaid nay 'tahreekay pakistan' main shareek honay walay "khotay sikkouN" ko shamil hi kiyoun kia ... yaa onhaiN nikaal bahar kiyouN nahi kia???

2nd world war k baad... angraizoun nay india ko chor kar janay ka faislah karlia thaa... angraizoun ki amad say qabal india par muslims ki hukmrani /badshahat thee.... ab baadshahat ka daur khatam hogaya thaa... dunyaa democracy ki taraf jaarahi thee...agar angraiz india ko divide kiyeh beghair chalay jatay to laazman yahaaN election hotay aur pooray india par hindus ki hukmraani hoti.... hindu jo india maiN aksariyat main honay k bawajood 1000 saal tak muslims hakoomat k maatehat rahay thay... youn inko muslim kushi ka khullam khulla licence mil jataa....... Quaid yeh baat baRi achi tarah samajhtay thay...... iss liyeh onhoun nay "har qeemat" par india k muslims k liyeh aik alag watan banaanay ka faislaa kia.......... aur youn apnay tahreekay pakistan maiN shamil honay ki koi "shart" ayad nahi ki...jo bhi iss movement maiN aataa gayaa... tahreek ka hujm baRhta gayaa...awaam o khawaas sab bhai aksariyat main iss tahreek maiN shamil thay.... kuch monafeqeen balkay kuffar bhi (qadyani) muslim k bhes maiN shamil thay.... k onhaiN pata tha k pak ban gaya to woh ruling class maiN enter hojayengay...aur aisaa hi howaa...

Quaid sirf hasoolay pakistan maiN kaamyaab howay... woh baad azaaN iss qabil hi nah rahay k pakko apnay soch k motaabiq islami reyasat banaatay... pakistan bantay i woh shadeed beemar hogaye aur aik saal k ander hi ander wafaat pagayee.... bus phir kia thaa... jaageerdarouN, munafeqeen k mazay hogayee... aur aj tak mazay kar rahay haiN...

lekin yeh mulk Allah k naam par bana hai.. yahaaN ki awaam ki aksariyat aik islami reyasat k roop maiN issay dekhna chhati hai... insha Allah kabhi nah kabhi munafiq rulers ko zawaal hogaa aur yahaaN islam ka bol bala hogaa

AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:23rd Jan 2010, 9:45am
 

Qumi Tarana !!!

Jahan Tak meri naqis maloomat hain keh Quaid e Azam ki zindagi mein he Hakomat nay bohat say shohra ko request ki thi keh woo Pakistan ka qoumi Tarana likhain oar Hakoomat ko bhaijain tou oas waqat jo Qoumi tarana sab ki motafiq approval say pass hoha tha woo Mohterm Hafeez Jhalandhari sab ka tarana naheen tha balkeh oas ko mashhore Hindu Shahir Talook Chand Marhoom kay baitay "Jagan Nath Azad" nay Tehreer kia tha.

Magar in ka Hindu hona baaz intaha pasand hakoomati ailkaroon ko bilkul pasand naheen tha so oas Taranay ko pase e posht dall dia gia oar Jagan Nath Azad ko daira tang kia gia tou baad mein yea India migrate hogai,wahan par URDU kay bohat baray shahir oar Iqbaliat mein in kay rai ko aik authority ki hasiat hai.

Quaid e Azam Pakistan ko aik liberal estate bana chahtay thay 11 Aug 47 mein onhoon nay kaha tha keh iss molk kay shehry azad honagay keh woo chahain tou masjid jahain oar chai mandar sab ko birabar shehry haqooq hongay.

Iss baat ka shahid kum hee loaqoon ko ilm ho keh Pakistan ka pehla Wazeer e Qanoon aik Hindu tha.....kia oas nay islamic law ka draft bana tha?
Pehla cheif of army staff aik aisahee tha.........

Quad e Azam oar muslim leaque nay Pakistan ki tehreek mein Islam ka nara zaroor laqia tha magar woo pakistan ko aik liberal oar secular state kay khawa thay.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:23rd Jan 2010, 10:16am
 

Quaid par 2 ilzamaat

[quote] Quad e Azam oar muslim leaque nay Pakistan ki tehreek mein Islam ka nara zaroor laqia tha magar woo pakistan ko aik liberal oar secular state kay khawa thay.[/unquote]
 
iss qaul main bainul satoor 2 ilzamaat lagaaye gaye hain.
 
1. Quaid.e.Azam aik monaafiq shakhs thay k woh pakistan ko asal main to aik liberal aur secular state bananay k khahaan thay magar mosalmaanoun ki himayaat hasil karnay aur onhaiN bewaqoof banaaanay k liyeh tahreekay pakistan main ISLAM ka naaraa lagayaa (pakistan ka matlab kia? laa ilaaha illallah)
 
2. Quaid.e.Azam monaafiq honay k sath saath ahmaq aur bewaqoof bhi thay. It was under stood k angrezoun k jaanay k baad india aik secular aur liberal jamhooriyat mulk banegaa.... onhouN nay india jaisee baRee secular n lberal mulk k hotay howay deRh eeN.T ki aik alag secular /liberal mulk banaanay k ki jiddo juhad ki...... kia aj india aik secular mulk nahi... pakistan nah banta tab bhi india aik secular mulk hi rahtaa....... aik baray secular mulk maiN say aik choTa secular mulk alihdah karnay ki jiddojohad karnewala ahmaq nahi to aur kia hogaa.
 
yeh woh 2 ilzaamaat hain jo above statement main bainul.satoor (between-the-lines) lagaye gaye haiN... agar bainl.satoor ka matlab kissi ko nahi maloom to kissi paRhay likhay say pooch laiN.
 
in ilzaamaat par maiN apni roy mahfooz rakhta houN. tahaam deger members agar chahaiN to hazrat Quaid.e.Azam par lagaye gaye in ilzaamaat par apnay views /tabsaray pesh karsaktay haiN.
AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:23rd Jan 2010, 11:46pm
 

India aik secular estate naheen

kia aj india aik secular mulk nahi... pakistan nah banta tab bhi india aik secular mulk hi rahtaa....... aik baray secular mulk maiN say aik choTa secular mulk alihdah karnay ki jiddojohad karnewala ahmaq nahi to aur kia hogaa....

Meri nazar mein India aik secular estate nahee ...India aik Hindu state jahan per ajj bhee muslmanoo per zulm hotay hain shahid app Gujrat kay waqiat ko bhool gahay hain...India secular honay ka dawa zarror kerta hai magar iss ki harkatoon ki wajah say kohee bhee zeshahore muslman india ko secular naheen kehta.

aik baray secular mulk maiN say aik choTa secular mulk alihdah karnay ki jiddojohad karnewala ahmaq nahi to aur kia hogaa...

Yea soach app ki tou hosakti hai meri naheen agar Pakistan na Banta tou ajj humaray sath bhee intaha pasand Hindu aisa he kertay jaisay onhoon nay Gujrat mein kia.Quad e Azam ko mein iss sadi ka azeem oar dana insan samjhta hoon haan albatah app jaisay mazhabi loaqoon nay onhain kafir e azam oar najanay kia kuch kaha........magar jab Pakistan ban gia tou iss molk oar iss kay bani per qabza kernay ki koshish ki







myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:24th Jan 2010, 2:59am
 

secular mulk ???

pakistan ko aik secular mulk honay /bannay ki zaroorat hai??? yahaan ki more than 90% abaadi muslims hai aur baqi aqliyatouN ko aik islami reyasat main jumlah haqooq hasil hotay haiN...pakistan maiN bhi haasil haiN aur rahengay...

Issi tarah Iran & Israil ko bhi aik "secular" mulk honay ya bannay ki zaroorat nahi... yeh dounoun momaalik bhi apnay apnay mazhabi aqeeday k haamil logouN ki aksariyat par mabni hai

secular mulk ossay banaya jata hai /declare kia jata hai jahaaN mukhtalif mazaahab k mixed log houN aur har mazhab k logouN ki kaseer tadaad maujood ho...like india wahaaN hindu, muslim aur sikh kaRourouN ki tadaad maiN haiN jabkay christians ki bhi khasi tadaad hai.india apnay ayeen k etbaar say aik secular mulk hai...kissi k mannay yaa nah mannay say koi faraq nahi paRta.......jaisay pakistan apnay ayeen k etbaar say aik "islami mulk" hai aur hairat ki baat yeh hai (so called) "muslim-pakistani" hi pakistan ko "islami" mulk nahi "maantay".... jabkay aisaa agar "non-muslim" kahaiN to baat samajh maiN aati hai......... aqliatouN ko "secular state" suit karta hai...aksariyatouN ko nahi...

Iran /Israil kabhi bhi khud aik "secular state" declare nahi karegaa k onhaiN isli "zaroorat hi nahi.......... india k"fundamentalist hindu" ko india ka secular hona pasand nahi ... jabkay wahaaN k muslims, sikh n christians ko india ka secular honaa bahoot pasand hai...

ittelaa.an arz hai k dunyaa maiN aik wahid state jo hindu state hai, woh nepaal hai, india nahi......pakistan aik "islami /muslim state" hai apnay ayeen aur globally pahchaan k taur par......yeh alag baat hai k yahaaN ka sara nizaam "islami" nahi hai............. bilkul aisay hi jaisay "HUM" khud ko "MUSALMAAN" kahtay haiN, halaanaky HAMARAY bahoot say aamaal o aqaaid ISLAM yani quran o sunnat kay motaabiq nahi.

"maiN nah maanouN" wali baat alag hai lekin aayeen, qanoon, dunyaa main pahchaan /identity aur dunyaa main acceptance ki bhi apni ahmiyat hoti hai. Pakistan islam k naam par banaa hai aur insha Allah kabhi nah kabhi yahaaN mokammal "Islami nizaam" naafiz hokar rahegaa khaah hum jaisay (so called) "mosalmaanouN" ko yeh baat ketni hi naa.gawaar kiyouN nah ho........ jabkay yeh naa.gawari non-muslims ko honi hhaiyeh thee magar afsos k hum jaisay "islami reyast pakistan" k mokhalif 'muslims' k hotay howay kissi non-muslim ko kia paRi hai k woh bhi......

inna lillahay wa inna elaihay raa'je'oon.

AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:27th Jan 2010, 8:30am
 

Islami Jamhoria Pakistan

Iss mein kohee shak o shubba wali baat naheen keh Pakistan aik Islami oar jamhori molk hai q keh iss ka naam hai Islami Jamhoria Pakistan.

Agar hum jazbatiat say nikkal ker daikhain oar zameeni haqahiq ko samnay rukhtay hohay tajzia karain tou Pakistan mein agercheh Muslmanoo ki aksariat hai oar yea bila shubbah aik Islami molk kehlwanay ka haqdar hai magar dosray 50 say zahid islami molkoon ki tarah iss mein bhee Islami Nizam Nafiz naheen hai.Nizam ki aihmihat say ail e ilm khoub wakif hain,agar aik molk mein rehnay walay tou muslman hoon magar whan per nizam socializm ya capitalizam hoo tou woo kaisay islami kehlai ga ..brahai naam....????

Issi per kissi danishwar nay kia khoub kaha tha "50 islami molkoon mein Islam pardesi hai.Kash yea Islam ko apna nizam banatay"

Oar Jamhoriat ka hal bhee kuch aisa hee hai.....keh woo iss kay naam oar pehchan ka hissa tou hai magar iss molk kay fouji jabir hukmaran hee yahan per hokmaran rahay hain jamhoriat tou baichari kabhi kabhi aati hai......abhi palti polti hai keh fouji aajatay hain .
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:27th Jan 2010, 9:22am
 

islam ka nifaz zameen pe hota hae ya logon pe ?

kisi zameen k tukRay pe to islam nafiz nahi kiya jata na islam tou impliment ka naam hae . beshak yahan us tarah islam nafiz nahi jaise saudia main hae lekin phir bhi yahan masjid main azan pe tou pabandi nahi . yahan gaaye zibha karnay par muslims ka qatle aam nahi hota . bachon k schools main unhain bande mataram paRhnay pe majboor nahi kiya jata . hum logon ne khud ko islam se door kiya hae agar har fard apnay muslim honay k farz ko nibhaye tou yeh aik islami mumlikat hi hae . lekin afsos k jab kabhi islam k naam pe kisi ne jhanda buland kiya tou usay terrorist qarar dekar safa e hasti se hi mita diya gaya . intoxication of power  main laal masjid k shaheedon ko masjid main hi shaheed kar diya gaya , aur hum jaise muslim hi thay jo ghar baithay " bohat acha huwa " k naaray laga rahay thay .apnay hi jaise muslims k shaheed karnay par . halan k un ka mutalibah apnay haq k liye nahi tha . islam insaan k andar hota hae dil main na k kisi zameen k tukRay main . agar aaj hum log milkar sirf apni apni islah kar lain tou beshak pakistan se baRi islami rayasat koi nahi . Qauid e azam ne na sirf  apni zindagi balkay  apnay assets bhi isi mulk k liye waqf kiye woh aik ba amal muslim bhi thay . agar aisa na hota tou shayad pakistan kabhi banta hi na .

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:29th Jan 2010, 3:17am
 

wow bahoot khoob

islam ka nifaaz, zameen par nahi balkay insaanoun par hota hai...

Alhamdollillah, pakistan main basnay waloun ki bhari aksariyat...more than 90% khud ko mosalmaan kahti aur samajhti hai... magar apnay 5/6 ft k jism par islami taaleemaat k nifaaz par to agree hoti.... mulki qawaneen bhi aksar o beshtar (chand aik k ilawah) islam say hum.ahang hi haiN....... iskay bawajood hum main maujood 'monaafeqeen' jo 'kuffar' ki help say barsaray iqtedaar 9har level pay) aajaatay hain, woh mulk ko islami-rung main rangnay par mazaham hotay haiN (ijtemaayee haisyat maiN) aur inferadi hasiyat maiN hum sab (illah masha Allah) apnay aap par islam ko naafiz nahi kartay.... kaash k hum sab apni apni jagah yeh samajh laiN k hamaiN apnay ap ko jahannam say bachanay k liyeh hamain hi kuch nah kuch karna hai... kissi aur nay nahi.

AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:29th Jan 2010, 7:35am
 

Khoud sakhta fehm e Islam

Reply to Maryam/My Rizvi

Agar hum seerat e Nabi SAWW ki Hayyat e mubaraka ko study karain tou ham iss ko do hisson mein bant saktay hain .....aik Makki doar oar aik Madni doar....app SAWW nay makki doar mein Islam ki tableegh nazar aati oar madni doar mein islam ki talbleegh oar islah e momneen kay sath sath islam ko aik nizam ka toar per nafiz kernay ki aik kamyab koshish nazar aati hai.

App saww nay aik sahee islamic state banahee oar loaqoon ko yea btea keh islam kay qawaneen sirf infiradi hee naheen balkeh ijtamahee bhee hain.

App saww ka baad khulfa rashdeen nay bhee azeem us shan saltnat qahin keen oar aisi misali islami hakoomatain keen keh ajj europe kay hokmaran bhee wahan say hokmarni kay asool lay rahay hain.

Agar islam ko sirf loaqoon per nafiz kernay ka naam hota tou humaray peyyaray Nabi saww kabhi bhee saltnat e madina qahim na kertay balkeh makki doar ka baad bhee madni doar mein bhee sirf tableeg oar islah kertay rehtay.Na Hazrat Umer RA lakhoon morabh meel per islami saltnat qahim kertay.Oar na hee Hazrat Imam Hussain Yazeed ki zalmana hakoomat kay ghilf alam bolund kertay hohay sheheed ho ker islam ko zinda kertay balkeh iss ka bajai woo loaqoon ki islah oar tableegh kertay rehtay oar islam kay asooloon ko loaqoon kay dillon per nafiz kertay rehtay

Tou meray khial mein Hazoor saww oar sahaba karam RA say behter islam ko kohee naheen janta oar agar kohee yea samjhta hai keh woo nahozbillah oan hastihoon say behter islam ko janta hai tou oas say barh ker kohee nadaan naheen.

Allah tahalah hum mein Hazoor saww ki mohabbat atta karay oar oan kay waseelay say he islam ko samjhnay ki tofeeq day ...aameen






AppkaDost Group: Members  Joined: 18th Jul, 2009  Topic: 24  Post: 281  Age:  37  
Posted on:9th Feb 2010, 9:42am
 

Beena Sarwar"Qoumi Taranay ki kahani "

Dawn News ki aik famous colum nigar hain onhoon nay Sep 19,2009 mein kuch yoon likha hai"

Most people are unaware that prior to Hafeez Jullundhri’s Persianised lyrics being adopted as the national anthem in the 1950s, Pakistan had a national anthem — commissioned and approved by no less a person than Mohammad Ali Jinnah.

The lyricist was the Isa Khel (Mianwali)-born Jagannath Azad, son of the renowned poet Tilok Chand Mahroom (who won accolades for his rendering of naat at mushairas). A few bloggers have made mention of this in the past but I learnt of it recently through an unexpected source — an article on the history of Pakistan’s flag and national anthem in PIA’s monthly Hamsafar magazine (‘Pride of Pakistan’, by Khushboo Aziz, August issue).

Quaid-i-Azam, being the visionary that he was, knew an anthem would also be needed, not only to be used in official capacity but [to] inspire patriotism in the nation. Since he was secular-minded, enlightened, and although very patriotic but not in the least petty, Jinnah commissioned a Hindu, Lahore-based writer Jagannath Azad three days before independence to write a national anthem for Pakistan. Jagannath submitted these lyrics:

Ae sarzameene paak

Zarray teray haen aaj sitaaron se taabnaak

Roshan hai kehkashaan se kaheen aaj teri khaak

Ae sarzameene paak’

(‘Oh land of Pakistan, the stars themselves illuminate each particle of yours/rainbows brighten your very dust.’)

As Jaswant Singh’s recent book on Mr Jinnah created ripples in mid-August, The Kashmir Times, Jammu, published a short piece, ‘A Hindu wrote Pakistan’s first national anthem — How Jinnah got Urdu-knowing Jagannath Azad to write the song’ (Aug 21, 2009). The reproduction of a front-page report by Luv Puri in The Hindu (Jun 19, 2005), it drew on Puri’s interview of Azad in Jammu city days before his death, published in Milli Gazette, New Delhi (Aug 16-31, 2004).

Azad told Puri that he was working at a literary newspaper in Lahore ‘when mayhem had struck…. All my relatives had left for India and for me to think of leaving Lahore was painful.... My Muslim friends requested me to stay on and took responsibility [for] my safety.’ On the morning of Aug 9, 1947, he received a message from Pakistan’s first governor-general, Mohammad Ali Jinnah, through a friend working in Radio Lahore ‘who called me to his office. He told me ‘Quaid-i-Azam wants you to write a national anthem for Pakistan’.’

Azad felt it would be difficult to do in five days, but agreed upon his friend’s insistence as the request had come from the Quaid.

Why him? Azad thought the answer lay in Jinnah’s speech of Aug 11, 1947, stating that if everyone saw themselves ‘first, second and last a citizen of this state with equal rights, privileges, and obligations … in the course of time, Hindus will cease to be Hindus and Muslims will cease to be Muslims, not in the religious sense because that is the personal faith of each individual, but in the political sense as citizens of the state’.

‘Even I was surprised when my colleagues in Radio Pakistan, Lahore approached me,’ recalled Azad. ‘… They confided in me that ‘Quaid-i-Azam wanted the anthem to be written by an Urdu-knowing Hindu’. Through this, I believe Jinnah Sahib wanted to sow the roots of secularism in a Pakistan where intolerance had no place.’

Mr Jinnah approved Azad’s lyrics within hours, and the anthem was broadcast on Radio Pakistan, Karachi.

Increasing insecurity forced Azad to migrate to Delhi in mid-September 1947. He returned to Lahore in October, says his son Chander K. Azad in an email to this writer. ‘However, his friends advised him against staying as they found it difficult to keep him safe.... He returned to Delhi with a refugee party.’

Azad had a distinguished career in India — eminent Urdu poet, journalist and editor, authority on Allama Iqbal, author of over 70 books, government servant (retired in 1997), and recipient of numerous awards and honours. His last wish, he told Puri, would be to write a song of peace for both India and Pakistan.

His lyrics survived in Pakistan barely six months beyond Mr Jinnah’s death in September 1948. ‘The people and the constitutional bodies of the country wanted to have a more patriotic and more passionate national anthem that depicted their values and identity to the world,’ explains Hamsafar.

The National Anthem Committee (NAC), formed in December 1948, took two years to finalise a new anthem, finally choosing NAC member Hafeez Jullundhri’s poem from among 723 submissions.

The anthem commissioned by Mr Jinnah was just one of his legacies that his successors rejected, along with the principles he stressed in his address to the Constituent Assembly on Aug 11, 1947 — his political will and testament according to his official biographer Hector Bolitho.

Pakistan’s inherited problems that Mr Jinnah outlined in that speech included the maintenance of law and order (the state must protect ‘the life, property and religious beliefs of its subjects’), the ‘curse’ of bribery and corruption, the ‘monster’ of black-marketing, and the ‘great evil’ of nepotism.

This speech, literally censored by ‘hidden hands’ as Zamir Niazi documents in Press in Chains (1986), also contains the famous ‘fundamental principle that we are all citizens and equal citizens of one state’, where religious identity becomes secondary and where religion, caste or creed ‘has nothing to do with the business of the state....’

In March 1949, the Objectives Resolution laid the basis for recognising Pakistan as a state based on an ideology.

In all these deviations from Mr Jinnah’s vision, perhaps discarding Azad’s poem appears minuscule. But it is important for its symbolism. It must be restored and given a place of honour, at least as a national song our children can learn. After all, Indian children learn Iqbal’s Saarey jahan se accha. Such symbolism is necessary if we are to resurrect Mr Jinnah’s vision of a nation where religion, caste or creed ‘has nothing to do with the business of the state’.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 130  Post: 7720  Age:  55  
Posted on:23rd Apr 2010, 9:05am
 

see GEO tonight

aj shab (sun 23 april) GEO tv k program 50 minuts maiN issi qaumi taranay k Topic par discussion horahi hai... jinhaiN moqah milay woh zaeroor dekhaiN...
For More Detail Click On Page No: 1
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get college scholarship in usa  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us