ALLAH ka lakh lakh shuker hy k muj main koi aisi kharabi nahi for instance smoking drugs ya kisi bhi kisam ka nasha aisi koi bhi burai nahi or jis area main rehta hon wahan per loog bhi bohat respect karty hain meri or mery parents bhi bohat khush hain muj sy also looking GOOD
Excluding
Relatives main sy 2 rishty aay but baat nahi bani kio k larkian England thi or main parents ka aik he beta tha es waja sy parents ko chor ker England nahi ja sakta tha
Or bhi rishty aaye per baat nahi bani phir aik rishta aaya jis per parents or larki waly bikul razi thy but sirf main razi nahi tha father ny muj sy pocha to main ny kaka k larki mujko psund nahi ager aap logon ny meri sahdi karni hy to kar dain but es main meri razamundi nahi hy
to parents ny bohat major kia or kha k es k baad relatives main koi rishta nahi rahy ga or hum ko relatives sy baher shadi karni pary gi jo k wo nahi chahty
relatives main aik bhi larki aisi nahi hy jo educated ho jis larki ka rishta aay tha es rishty ko 2.5 year hony lagy hain per baat kisi result per nahi pohanchi
Parents ka kehna hy k wo mery rishta kaisy talash karain gy mother meri ki health bikul theek nahi rehti
main bus yeh chahta hon k ager main MBA hon to meri shadi bhi kum sy kum B.A pass larki sy ho
kabhi parents yeh bhi keh dety hain k tum ny hamari baat nahi mani tum khud he kisi larki ko talash karlo
ju England main girls hain i think woh aap ko pasand thin lakin aap parents ko chor ker nahi ja sakty thy
aur ab ju parents ko pasnd hai woh aap ko pasnd nahi
jiss lerki ko aap k parents ne pasand kiya woh kitna qualified hai? yeh aap ne btaya nahi daikhain yahan tu 2 batain ho sakti hain yaa apni manwa lain ya phir parents ki maan lain i think aap ko England janay main charm nazar aa rha hai iss wja se aap ko parents ki pasand ki howi lerki bhi pasand nahi aa rahi hai jub k ager aap MBA hain tu apnay parents ki waja se hain. aap k liye kya important hai? England ja ker un girls ke behalf per apna career bnana? ya phir apnay parents per bharosa kerna aur un k sath rehna? yeh aap decide kerain gay. shadi tu 2 conditions main ho sakti hai ya tu aap ko ju pasand hai os se ker lain ya ju parents ko pasand hai os se ker lain abhi koun se aap ki umer niklay ja rahi hai i think aap abhi wait hi kerain aur ager wait nahi ker saktay hain tu os lerki se shadi ker lain aur oska B.A ka admission kerwa dain iss main kya masla hai... theek waqt per theek faisla ker laina hi acha hota hai.
Insan shadi zindagi main sirf ek bar kerta hai bar bar nahee kerta is liay ye faisla soch samajh ke kerna chaheye.. Waldain ki marzi ko samajhna achi cheez hai lekin kuch akal apni bhi istemal kerni chaheye kyo keh zindagi app ne guzarni hai. bagair understanding ke sirf shadi ker lena meray mutabiq theek nahee hai...
Pakistan to main rehna nahi chahta kio k meri soch bohat different hy kio k pakistan k logon sy ajeeb sadar lagta hy kio k jub main kisi kaam k liye jata hon to ya road per drive ker raha hota hon to bohat dar lagta hy
Ajeeb sa feel hota hy
Jaisy logon ko baat karny ki tameez tak nahi hy
News dekhta hon to country k halat dekh ker preshani hoti hy
Pak k kia halat hain wo aap loog samajty hon but mera dil kerta hy bus yahan sy bhaag jaon
Out of country sy jo rishty hain unka koi charm nahi hy kio k ager main kal ko kisi jaga manager bhi lag jaon ya mehnat ker k bohat paisa kama bhi loon to aisa lagta hy k loog inflation or poverty sy itny tang aa gay hain k koi muj sy mobile cheen leny k liye he mujy goli mar day ga tub koon zima dar hoga ?
GOVT hehehehehe there is a great insufficiency of perception in our nation
Moderator Note: Dont mutliple post on the same topic.
I find that girl on internet and that girl was connecting with me only all the way through internet and mobile.
1st that girl send me charming mails and ensure me that there is nothing any girl in this world but she is only 4 me and she loves a lot me so I interested in that girl.
While that girl was nice every thing was fine I have a great respect for her but her nature was not good while she was a wise and Islamic which was the most charming part in that girl so I was completely fall in love.
But that girl start hurting, wrangle and make disputes with me and her heated discussion confused me completely. There was nothing any indulgent because I was thinking that if that girl really emerges in my real life then what I shall do?
Because married life is so decisive and critical part of life if I can’t adjust with girl only on mobile how I can adjust with her in real life principally after marry so I interested in her friend which have better understanding with me but both the girls now against me!!!
So I leave that girl but now I have No G.F because G.F system is not good I also believe in married life wife only.
But I have only that problem my parents ask me for marry but I reject that girl but now if I marry even arrange marriage my mother and father asked me that It will reckon as love marriage because the girl who will come in my house after marry she will come in my house with my choice not with the choice of my parents so my marriage will be mull over as love marriage.
So now I m in that situation if I don’t want to love marriage but It will become a love marriage? I hope you are all will understand the whole situation?
hehe mai BA nahi balke BSC 1st division pass hon idhar meri behnwo ki shadi nahi hoti aur kubhi larkwo ki shadi nahi hoti phir her saal keen ki shadi hoti hai
AOA to All Users, Mr Riaz baat aisay hy shadi life mein aik dafa hoti hy, aur parents bi life mein aik hi dafa aatay hein.. aur islam mein parents ky haqqoq bi bahut zada hein.. without parents we r nothing ... parents ny apni whole life ka nachoore niqalnay kay baad aap kay liaye larki pasand ki, aur inshah allah theik hi pasand ki ho gi, koi parents apnay bachoon kay koi wrong decision nai kurtay.. abi aap jo bi ho apany parents ki waja sy ho na ky us gf ki waja sy (yeh jo gf hoti hy en ki masal aisay hy ... doore ky dhol suhany..) paraents ka haq zada hy ,, parents ki baat maan lo,,, dono jahan mein khusian pao gy.. baat parhi likhi ki nai ki hy baat yeh hy larki achay character ki ho... family respectable ho ... agar family sy bahir jao gy un ki so so demand ho gi......too much difficult for u... apani family mein tum khul kur baat kur sako gy.. jab ky family ky bahir tumhari rishta dari larki walon ky drwing room tak ho gi ... yeh cheeze tumhary liaye bahut mushqil ho gi... baqi rahi baat gf england hy tu koi baat nai , allah py bhroosa rakho.. wo sub kuch dy ga aur behtr karay ga (Inshah Allah) don't worry .....Yeh Gf walay kam sab dhoka hotay hein aap beshak ja kur gf ky saath kuch time guzaro ... tumhein sub kuch nazar aa jaye,, yeh mobile , net .. yeh sab dheik nai hota... agar mein apni kahani sunaon tu yeh pura forum heran aur prashan ho jaye ga... but now i am satisfied ... kion mein apna mazi bula chuka hoon.. Any how Plz give respects parent's choice... and don't worry abt future.. kia pata jo larki parents ny pasand ki hy .. us ki waja sy aap ko kitni khusian Milian ( Inshah Allah).. Baat Lambi ho gai hy .... Meri baat py soochna ... waiting 4 ur reply.....
app to dil pe bauhat ziyada chot kha chuke hoo, app ke pichle post k reply se hi mujhe laga tha k app per bauhat kuch beeti hai, agar app batana chahein to plz bata dein, mein app ko app ka maazi yaad dila kar takleef nahi pohchana chahta but ho sakta hai app ki story sun kar bauhat se larkon ko sabaq haasil ho jaye.
" YEH SUB TUMHARA KARAM HY AAQA KY BAAT AB TK BANI HOI HY"
AOA, Thanx 4 ur reply... Sahil sahi kehty ho , Mazi ky bary mein kia Kahon.. bus yadein yadein bus yadein reh jati hein aur kuch nahi... apny story zaroor es forum py likhon ga,, sub ky liaye bari interesting ho gi... yar abi thora sa wait karo ,, aaj kal bahut busy hoon, hamari organization ka audit ho raha hy.. story ky liaye time niqalna buht muskil ho raha hy.. aap ky liaye zaroor likhon ga..intna zaroor kahon ga Allah ki zaat izat rakhny wali zaat hy, wo sub py karam kurta hy, jo faisla oper wala kurta hy us mein zaroor koi na koi muslihat zaroor hoti hy, yeh baat hamein samaj nai aati..akhir mein yehi kahoon ga " YEH SUB TUMHARA KARAM HY AAQA KY BAAT AB TK BANI HOI HY"
Brother mein to tumhara fan ho gaya, yaar tum bauhat achi batein karte hoo, aur bauhat sahi kaha tum ne k Allah Tala hamesha hamare haq mein behtar hi karta hai magar hum usse samajh nahi pate, aur jab app k pass time ho aur app farig hoon to story likhna, aur agar meri wajah se app ko apne maazi ko yaad kar k takleef hui ho to extremely sorry, Allah Tala app per aur hum sab per rehem kare aur sab ki tamam pareshaniyan door farmaye. Aameen.
ASLAMALIKUM javedbahi mujy aap sy milna hy ya mobile per bat karni hy kaisy kaon or aap ko apna mobile number kaisy don ya aap sy kaisy lon kia yeh site waly rokain gy to nahi i wana to discuss with u a very major problem
AOA, Riz plz wait 4 my reply, inshah allah behtr ho ga, case ko light lo.....apny parents ko piyar bari nigah sy dekho, bara sawab hy, aur subah apni mother (Maan Ji) ka chehra dekh kur ghar sy bahir jya karo, es mein bara raaz hy, samja karo bhai ,,,,,kion ky..........chalo baad mein discuss kurta hoon....
i think aap dosry logon ko he reply karain gy mujy to reply nahi karain gy
masla to sirf itna hy k ager Islam main haq dea gaya hy k apni pasund or na pasund ka to es haq ko use kerna chahiye
simple baki zaher hy yeh mera haq hy k main usi larki sy shadi karon jo mujy pasund hon bus or aisa he karna hoga
kio k ager to hum loog apni society khas tor per paksitani society k mutabil chalain to phir ISLAM ka aik bhi law ya kaheen hoi baat pori nahi ho saky gi kio k paksitan main ISLAM name ki koi cheez kaheen bhi nazar nahi aati
Sub ki hamdardian Aap k sath hein, lakin Aap bi Samajny ki Koshish Karo
AOA, Mr Riz Yar aap itna kion mayoos ho gy ho, Aap pehly yeh decide karo aap ny shadi ky baad parents k sath rehna hy ya separate, agr separate tu yeh tumhary parents k liaye takleef dy ho gi, aur yeh bi kia wo larki aap ki family ky sath reh pye gi, baat sirf aap ki nai, baat hy pori family ki, aik channel hota hy, agar us channel mein sub khus hein tu phir sb theik hota hy, Suppose agr aap apni marzi kurty ho , shadi kur laity ho , tu phir aik cheeze yaad rakhna , " maqafate Amal" phir yahi sara seen tumhary sath repaet ho ga, agr parents kehty hein apni marzi kar lo, tu wo larki dhondo jo tumhein bi pasand ho aur ghar walon ki choice k mutabiq ho, zahir hy tumhari sisters b hoon gi, un k dil mein kitni tamanaein hon gi , bhai k dulhan aisi hi gi , hum aisy tayary karien gy..... behnain , behnain hoti hein, bhut khial rakhti hen ....un ki khusi us waqt dekhni wali hoti hy jb bhai bahir sy ghar aata, thora ghar k mahol ko samajny ki koshish karo...Apny es channel ko disturb na karo. Apny parents ko apni choice py convince karo, agr nahi hoty tu wait karo, baqi pasand ka haq tumhein hy, lakin kia parents ka tum pur koi haq nahi, apni mother ki situation dekh lo, wo bmar hein, baqi rahi baat islam ki ky pakistan mein Islam hy ya nahi, u should know piyary country ka nam Islamic Republic of Pakistan hy, aur shukar karo islmic country mein reh rahy ho, abi tumhary oper ishq ka bhoot swar hy , wo kia kehty hein jb insan ka dil kisi donkey py aa jye tu us beatiful koi nai hota, apny es jazby ko thora control karo, rahi baat parhi likhi ki wo koi musla nai, not a big issue, lakin aik baat yaad rakhna, koi aisa faisla na kurna jisy sun kr tumhari family mein kisi bazrg bundy ki jan ko khuch ho na jye, aur baad mein pachtaty raho....Try to convince ur parents...... Apna aur apni family ka khail rakhna
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.