Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Short Stories From History

Urdu   >>  Urdu Story
 
 
* Noor Clinic *
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:12th May 2008, 6:17pm
 

Short Stories From History

All members are requested to write short stories from history (tarekhi waqiyaat) which enligten our glorious past. (Hum kya thay.... or kya ho gaye....)  As ALLAMA Iqbal said,

Thay tu woh Aa'ba hi tumharay, magar tum kya ho

Haath pe haath dharay, Muntazir e farda ho

 These short stories could also be from world history which wil give us knowledge..

Ghazwa e Hunain mein Fatah Hasil honay k baad, Musalmanon k haath bohat ziada maal e ghaneemat aaya. tu Pyaray NABI MOHAMMAD SAW ne dilon ko mutmain karnay k liye mahajereen or new muslims ko dil khol kar maal e ghaneemat mein se hisa diya...Yeh dekh kar Ansaar k kuch nojawaan kehnay lagay

"NABI SAW per jaan hum ne fida ki, Apna sab kuch hum ne AAP SAW per nichawar kiya... Haq ki khatir hum ne larayi ki.. lekin bakhshish or atta dosroon per????"

Pyaray NABI MOHAMAMD SAW ko pata chala tu sab ansaar ko aik jaga ikhatha kiya or farmaya...

"Kya yeh sach nahin k tum gumrah thay, ALLAH ne meray zariye

tumhein hidayat bakhshi... Tum muntashir thay, ALLAH ne meray zariye tumhein mutahid kiya... Tum muflis thay, ALLAH ne meray zariye tumhein dolatmand banaya,..."

Ansaar har baat per kehtay jatay.."beshak ALLAH or ALLAH k RASOOL SAW ne hum per ehsaan kiya.."

Is k baad pyaray NABI HAZRAT MOHAMMAD SAWne farmaya

"tum youn kyon nahin kehtay k jab sab logon ne AAP SAW ko jhutlaya tu hum ne AAP SAW ki tasdeeq ki, Jab AAP SAW ko watan or gha se nikal diya gaya tu hum ne AAP SAW kopanah di... or jab AAP SAW muhtaaj thay tu hum ne AAP SAW ki madad ki..."

aur mein kehta jaoon ga k Ae Ansaar tum sach kehtay ho.. tum meray shoaar ho or dosray loog dusaar. Ya ALLAH Ansaar per reham kar

"Ae Ansaar kya tum ko yeh pasand nahin k dosray loug oont or bakriyan le jaayein or tum MOHAMMAD SAW ko le kar apnay ghar jao"

Yeh sun kar ansaar dhaarein maar maar kar ronay lagay or rotay rotay un ki darhiyan tar ho gayi... or pukaar uthay..

"Aaqa hamein sirf aap darkaar hein"

     Ki MOHAMMAD(SAW) se wafa tu ne tu hum teray hien

     Yeh Jahan cheez hai kya, Looh o Qalaam teray hien

nelish Group: Members  Joined: 13th Jan, 2008  Topic: 25  Post: 1147  Age:  25  
Posted on:12th May 2008, 11:39pm
 

Seemi

read kar li................ok
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:13th May 2008, 8:11am
 

seemi

wah wah wah

kia bat hai

bohat acha wakiya sunaya ap ne

gud sister

keep it up

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:13th May 2008, 2:34pm
 

Seemi aunty

 main ne bhi read ker liya hai
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:13th May 2008, 5:03pm
 

thanks

Thanks Nelish baji , zeb bhai n Red Chili baji.. Red chili baji aap ka bohat bohat shukaria k aap ne read kar liya :)
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4259  Age:  29  
Posted on:14th May 2008, 7:59am
 

acha wakiya hai ye wala

thank u seemi.sis
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 62  Post: 7602  Age:  33  
Posted on:14th May 2008, 9:14am
 

kamal ha

seemi jee kamal ha.......

 

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:14th May 2008, 3:16pm
 

Seemi aunty

 aaj aap ne kuch nahi likha balke aaj to aap forum per bhi nazar nahi aayi kaha chali gayi hain aap?
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:14th May 2008, 7:31pm
 

Red chili baji

yeah, I couldn't get in the forum all day. Aap sunayein, aap kahan hein ab... Aap tu raat ko jagti or din ko sooti hein.. Aap ne pinky jee se machar or makhiyan marnay ka tareeqa poocha???
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:14th May 2008, 7:32pm
 

Hitman bhai, goodman bhai

HItman bhai nad good bhai, thanks for liking it..

I will write next soon...

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:14th May 2008, 7:32pm
 

Hitman bhai, goodman bhai

HItman bhai nad good bhai, thanks for liking it..

I will write next soon...

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:15th May 2008, 1:02am
 

Ishq e RASOOL SAW

Hazrat Saad Al Aswad, jo apnay kaaly rang ki waja se Aswad ke laqab se mashoor thay, Aik baar Hazrat Mohammad SAW kikhidmat mein hazir howe or arz ki, Ke Mola mein Shaadi karna chahta hoon lekin meri badsoorati ki waja se koi mujhay rishta nahin deta.... ALLAH ke NABI SAW ne yeh sun kar farmaya...

"Tum Umer bin Wahab Saqfi (RA) ke ghar jao or unhien mera salam kaho, or un se kaho ke RASOOL ALLAH SAW ne tumhari beti ka rishta meray saath tay kar diya hai."

Woh khushi se jhoomtay howe Umer bin Wahab ke ghar gaye or HAZOOR SAW ka pegham diya. Woh Abhi naye naye musalman howe thay, unhoon ne herat se is kalay or badsoorat admi ko dekha or inkaar kar diya... Lekin Islam ki Shedayi, un ki beti darwazay ke peechay se yeh baatein sun rahi thi, andar se buland awaz se boli..

"Baba! Mujhay RASOOL ALLAH SAW ka yeh pegham manzoor hai, ALLAH ke wastay un ko wapas bulaiye, Mujh se ziada khushqismat or kon ho ga, Jis ka rishta khod RASOOL ALLAH SAW tay karein."

 

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:15th May 2008, 2:29am
 

Seemi

sorry main zara late ho gya read karne main,Sahabah Karam ke waqiat barre he emman afroz hain, ye woh log thay jin ki tarbiyyat khud Allah ke payare Nabi Hazrat Muhammad (peace be upon him) ne ki thi aor jin ko Quran main Allah ne khushkhabri farmai ke Allah un se razi ho gya, Allah hum sab ko Sahabah Karam (R.A) ki muhabbat ataa farmaye.
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:15th May 2008, 10:58pm
 

babar bhai

Aap ki baat bilkul sach hai.. Woh zamana, woh loug kya thay or kya kar gaye... Hum tu bas un ko yaad kar ke hi apna emaan taza kar saktay hien...

Babar bhai aap bhi contribute kijiye...

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:16th May 2008, 3:21am
 

واللہ خیر الرازقین

   Aik baar Hazrat Rabia Basri (RH) ke pass 5 darwaish hazir howe. Itefaaq se woh khanay ka waqt tha. Hazrat Rabia ne apni khadma ko alag bula kar poocha, "Mehmaanon ki tawazu ke liye ghar mein kuch khanay ko hai?" Khadma ne bataya ke sirf aik roti mojood hai. Hazrat Rabia Basri ne farmaya k aik roti se kya ho ga? Mehmanon ke hisay mein aik aik tukra hi aaye ga. Yeh keh kar aap dobara mehmaan darweshon ke pass tashreef le gayi.

Abhi thori hi dair guzri thi keh aik sawali ne darwazay per aa kar sada lagayi. Hazrat Rabia ne farmaya ke woh roti us zarooratmand ko de do jo darwazay per khara hai. Khadma ne hukam ki tameel ki or Hazrat Rabia phir mehmaanon se guftagoo mein mashghool ho gayin.

Kuch dair baad khadma ne aa kar arz kiya "Aik shakhs khana le kar aaya hai". Hazrat Rabia ne poocha, "Kitni Rootiyan?".    Jab khadma ne bataya k 2 rootiyan hien tu Hazrat Rabia ne farmaya keh usay wapas kar do. Woh shakhs ghalti se hamaray ghar aa gaya hai. Woh khana hamara nahin hai. Khadma ne rootiyan wapas kar di. Thori dair baad khadma ne phir aa kar bataya k aik shakhs khana le kar aaya hai.. Poochnay per bataya k 5 rootiyan hein.. Aap ne phir farmaya k us ko wapas kar do, woh hamara khana nahin hai. Is baar bhi khana lanay walay se ghalti ho gayi hai.... Teesri baar aik or shakhs khana le kar aaya or khadma ne bataya k 11 rotiyan hien tu Hazrat Rabia ne musrata se kaha, "Haan yeh hamara khana hai, isay qabool kar lo."

Khadma ne khana la kar darwesh mehmanon k samnay saja diya. Phir jab dewaish khana kha chukay tu aik mehmaan ne arz kiya k 3 mukhtalif loug khana le kar aaye, 2 afraad ko aap ne wapas kar diya or aik ka khana qabool farma liya.. Akhir is mein kya raaz hai?

Hazrat Rabia ne dewaishon ko mukhatib kar ke farmaya, "Haq Taala farmata hai k duniya mein aik ke badlay 10 or akhrat mein 70 doon ga. Bas isi hisaab kitaab ki bunyaad par mein ne 2 admion ko wapas lota diya or aik ka khana qabool kar liya. Mein ne ALLAH ki raah mein sawali ko aik roti de kar Razaaq e Alam se aik soda kiya tha. Phir jab aik shakhs 2 rotiyan or dosra 5 rotiyan le kar aaya tu mein ne jaan liya keh yeh hisaab sahih nahin hai. Jab teesra shakhs 11 rotiyan le kar aaya tu mein ne usay foran qabool kar liya keh yeh hisaab ke ain mutabiq tha or denay walay ki shaan e razaaqi ko zahir kar raha tha. 10 rotiyan meri aik roti ke badlay mein theen or ALLAH ne meri woh aik roti bhi wapas kar di jo mein ne sawali ko di thi."

Hazrat Rabia Basri (RH) ki sabar o qanayat or tawakal ki shaan ko dekh kar tamam derwaish hairat zada reh gaye...

Kisi ka Ehsaan kyon Uthaayein, Kisi ko Halaat Kyon Bataayein

Tumhi se Mangein ge, tumhi tu do Ge,

Tumharay dar se hi lo lagi hai.

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:16th May 2008, 4:15pm
 

Seemi aunty

main ne read ker liya hai ........Thanks

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:16th May 2008, 6:05pm
 

seemi

ye wala main ne abhi read nahi kiya , kal reply karoon ga :)
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:16th May 2008, 9:30pm
 

Red Chili Baji

Mujhay pata tha aaap zaroor read kaein gi... aap khod bhi parhein or likhein bhi takeh hum bhi aap ki likho hoi stories se faizyaab hoon.

Babar bhai... Araam se reply dein, as you feel comfortable.

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:17th May 2008, 7:18am
 

seemi

very nice dear sister

SubhanAllah

dono stories bohat umda hain....

great jobbb

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3817  Age:  28  
Posted on:17th May 2008, 7:57pm
 

zeb bhai

You liked it? thanks. :)
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4  >>
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014