Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Avoiding Sex In Marriage - Treatment - Sex Sey Pehlootahi Karna - Elaj 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
14567
 
Avoiding Sex In Marriage - Treatment

D.     Agar donon mian biwi iss bunyad per sex karney sey ghabratey hain kay kahin mustarid na kar diye jaein aur inkaar aur mustarid hona unko bura lagta hai to iss kay liye sex kay liye paeshgi din aur waqt muqarrar kya ja sakta hai. Iss surat mein pehel kartey waqt mustarid honay ka khatra nahin hota. Iss kay elawa paeshgi planning sey sex ko zyada khushgawar banaya ja sakta hai. Ab chu'n kay aap ney apney aap ko iss makhsoos moqa kay liye sex kay liye tayyar karna hai yeh cheez aap kay jinsi jazbaat ko paeshgi baedaar kar degi.

  1. Bister per jatey waqt ya imkaani pyar o mohabbat kay waqt ki larayion ko mukammal tor per control karna qadrey mushkil hai ta'hum shaoori koshish sey inn ko kam kya ja sakta hai aur bharpoor koshish sey khatm bhi kya ja sakta hai. Iss silsiley mein jora yeh taey kar ley kay sotey waqt ya sham ko ek khaas waqt kay ba'ad mutanazae mua'amlaat per guftugoo nahin karein gey. Iss silsiley mein jin ma'amlaat per jhagra honey ka imkaan ho inn per subah ya sa paher ko guftugoo kar li jaey ta'hum kisi bhi masley ko ek din kay liye multawi bhi kya ja sakta hai iss sey qayamat nahin aa jaegi agar aap koshish kay ba wajood jhagrey baghaer nahin reh saktiin  to phir kisi mahir e nafsiyat ki madad lein.
  2. Ba'az auqaat maazi kay dukh aur khawand ka saabqa manfi ravayya jinsi qurbat mein madakhlat karta hai amooman aisey khayalaat aap kay control sey baher mehsoos hotey hain ba'az auqaat mehsoos hota hai kay woh aap ki khwahish kay bur aks paeda ho gaey hain ta'hum maazi kay dukh, runj, takleefein aur khawand ka manfi ravayyay ka yaad aana aap ki khushgawar azdwaji zindagi kay liye kisi bhi tor mufeed nahin iss silsiley mein mandarja zael mushq istaemaal karein.
 
Avoiding Sex In Marriage - Treatment
 
<< Next       Prev >>
199201200202203204205206207208209
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012