hain apney tasawwuraat per pabandi na lagaein aisey tasawwuraat bhi kiye ja saktey hain jo namumkin hun ya mazhaka khaez hun asli cheez yeh hai kay tasawwuraat aisey hun jin sey aap kay jinsi jazbaat ubhrein inki bar bar mushq karein.
Iss tarah bhi kya ja sakta hai kay kisi pursukoon jagah sukoon sey beth jaein aur saabqa khushgawar jinsi tasawwuraat ko zehen mein laein recall karein jab zehen mein tasweer ban jaey to iss tasweer mein apni pasand kay mutabiq tabdiliya'n kar lein. Tasweer ko zyada roshan, rangeen aur saaf bana lein tasweer ko bara karein aur apney qareeb le aaein ab yeh tasweer pehley sey zyada purkashish ho jaey gi phir her do ghantey ba'ad 30, 30 seconds key liye isi tasweer ko dobara zehen mein la'ein.
B. Romantic Literature Ka Muta'alla
Romantic literature ka muta'alla bhi jinsi jazbaat ko ubharta hai iss ka tareeqa yah hai kay din mein kaee baar chund safhaat parh liye jaein iss ko mazeed mu'asser bananey kay liye aap iss ka tasawwur bhi kar sakti hain.
C. Qabal Az Waqt Tayyari Ki Mushq (anticipation exercise)
Jinsi jazbaat ko baedaar karney ka yeh ek mu'asser tariqa hai apney khawand ko phone karein aur raat ko sex kay hawaley sey program banaein agarcha aap kay jinsi jazbaat baedaar nahin ta'hum aap iss tarah zahir karein jaisey aap kay jinsi jazbaat baedaar hun iss kay liye aap ko pehlay apney aap ko aamaada aur tayyar karna hoga. Iss kay ba'ad asal jazbaat khud ba khud paeda ho jatey hain din mein kaee baar aap act karein kay aap kay jazbaat baedaar hain bar bar karney sey amooman yeh baedaar ho jatey hain.
|