Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Avoiding Sex In Marriage - Sex Sey Pehlootahi Karna  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
16644
 
Avoiding Sex In Marriage

 Chuna'ncha apney jinsi ravayyey mein tabdeeli laney sey pehley yeh ma'aloom karein kay aap sex sey kis tarah pehlootahi (avoiding) karti hain note karein kay jab jinsi ta'alluqaat mumkin hotey hain to phir bachney kay liye aap kya karti hain ju'nhi mushahida karlein to foran note kar lein.

    Sex sey bachney kay liye kya aap raat ko der tak kaam karti hain aur phir thak kar so jati hain kya aap donon kay soney kay auqaat ek doosrey sey mukhtalif hain aur aap ikatthey bister per nahin jatey aur na hi ikatthey jagtey hain? Kya aap bister per jatey waqt bila nagha apney khawand sey jhagra karti hain ya jab bhi aap ek doosrey kay qareeb hun to aap zaroor jhagarti hain. Kya aap jinsi amal shuru honay kay waqt khawand per tanqeed karti hain? Kya aap ko sex kay waqt purani naa khushgawar batein yaad aati hain jin per aap ko ghussa aata hai? Waghaera.

    Jab aap ko ma'aloom ho jaey kay aap kis tarah sex sey pehlootahi karti hain to agla qadam yeh hoga kay aap iss per apney mian sey guftugoo karein aur inn ko tabdeel karney ki koshish karein iss silsiley mein ek doosrey ki madad karein shayad ab aap ko pehel karney mein sharmindagi mehsoos na hu. Aap ko kaee tarah kay khauf o khadshaat bhi ho saktey hain maslan yeh khauf kay shayad aap achi tarah sex na kar sakein yeh khauf kay ab shayad aap kay khawand kay liye aap mein koi kashish nahin inn khadshaat ko mian kay saath discuss karein iss sey yeh khadshaat bilkul khatam na hongey magar bohut hadd tak kam ho jaeingey inn ko kam karney kay liye mushtarka koshish karein.

 
 
<< Next       Prev >>
197198199201200202203204205206207
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012