Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Jinsi ta'alluqaat ko bahal karney kay liye sab sey pehley avoiding sex (sex sey pehlootahi) karney waley tariqey chor dein.
   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Avoiding Sex In Marriage - Treatment - Sex Sey Pehlootahi Karna - Elaj  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4
Read Health Articles

Total views since 15 October 2009:
15047
 
Avoiding Sex In Marriage - Treatment
  1. Jinsi ta'alluqaat ko bahal karney kay liye sab sey pehley avoiding sex (sex sey pehlootahi) karney waley tariqey chor dein iss kay liye mandarja zael tariqey ikhtiyar kye ja saktey hain.

    A.    Haftey mein chund shaamein mian kay sath guzarein agar aap der tak kaam kar kay thak jati hain to haftey mein ek do din kaam ko chund ghantey pehley khatam karlein ya subah tak multawi kar dein aur raat ki bajaey subah ko kar lein har waqt mian kay sath rehney ki zaroorat nahin woh bhi boriyat ka sabab banta hai bul kay chund achi shaamon sey lutf andoz hun.

    B.    Agar aap kaam kaaj kay ba'ad pyar mohabbat kay waqt zehni daba'u mehsoos karti hain to donon mian biwi routine mein ikatthey ghusl karlein, shower lein aap donon haftey mein chund raatein gup shup aur khelon kay liye makhtus kar saktey hain maslan ludo, kaeram board, taash waghaera yeh saarey kaam bister per bhi ho saktey hain, wahin sey inn khelon sey mohabbat kay khel (foreplay) ki taraf bhi ja saktey hain.

    C.    Yeh cheez bhi kafi aam hai kay donon mian biwi ki bunyadi jismani saakht mein farq hota hai maslan ek raat ko der tak jaagta hai doosra jald so jata hai ek subah der sey uthta hai doosra jald iss surat mein mubashrat ya to dopaher ko ya phir subah zara der sey ho sakti hai. Mulaazimat, business aur bachon ki wajah sey amooman aisa hona mushkil hota hai le'haza yeh baat bari ahem hai kay haftey mein chund raatein ikatthey soein aur ikatthey jaagein iss kay liye jald soney wala din ko soey ya raat ko coffee ka ek cup pee ley.

 
 
<< Next       Prev >>
198199201200202203204205206207208
 
Tell a Friend
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012