Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

   
Home | Sex Education in Urdu for Women | Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi 2  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4

Total views since 15 October 2009:
20825
 
Sex And Old Age

 na kay kamzori ta'hum iss sey khawateen yeh na samjhein kay mard mein jinsi khwahish/taaqat kam ho gaee hai.

    Humarey haan boorhey logon ki jnsi zindagi kay hawaley sey logon ki raa'ey bilkul manfi hai aksar logon ka khayal hai kay 60 saal kay ba'ad boorhey logon ko sex ki zaroorat nahin aur 70 saala jorey kay jinsi amal ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein khud lazzati ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey mard 70 saal ki umer mein biwi kay adum ta'awwun ki wajah sey khud lazzati per majboor hain aam logon ka yeh khayal bhi hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahin rehta aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyon ko mu'attel kar detey hain jis ki wajah sey kuch arsey ba'ad woh jinsi amal kay qabil hi nahin rehtey kyun kay jis cheez ko istaemaal na kya jaey (jismaani uzu) to kuch arsey ba'ad woh istaemaal kay qabil nahin rehti. Jab kay haqeeqat yeh hai kay boorhon ko bhi jawanon ki tarah sex ki zaroorat hai aurat ki sehat kay liye orgasm mufeed cheez hai agar mian biwi sehat mand hain to martey dam tak woh jinsi amal kay qabil hotey hain khusoosan aurton ko to jinsi amal mein koi diqqat paesh nahin aati kyun kay unn ko mardon ki tarah tana'u ki zaroorat nahin agarcha jinsi hormone ki kami ki wajah sey aurat aur mard donon ki jinsi khwahish (libido) kuch kam ho jati hai aur mard ko foran tana'u nahin hota aur na hi jawani ki tarah zyada sukht hota hai magar jinsi amal kay liye kafi hota hai iss tarah jawani mein aurat ki faraj mein 10 ta 30 second mein ratoobat aa jati hai magar burhapey mein 5 minute tak lag jatey hain beemari ki wajah sey ba'az auqaat jinsi amal mein ta'attul aa sakta hai magar jinsi amal kay na honay ki wajah sey jinsi salahiyat main kami aa jati hai jinsi amal na kar sakney ki bari wajah kam jinsi amal ya tark e mubashrat hai na kay koi jismaani kharabi.

 
Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi
 
<< Next       Prev >>
203204205206207208209210211212213
 
Tell a Friend
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012