Chapter – 8
Surat e Inzal
Premature Ejaculation
Azdawaji zindagi ko khushgawar bananey mein aurat ka kirdaar bohut ahem hai biwi kay bharpoor ta'awwun sey azdawaji zindagi jannat ka namoona ban jati hai aur adum ta'awwun sey jahannum. Agar biwi khawand sey ta'awwun karey to usey koi jinsi masla nahin ho sakta agar ho jaey to biwi ki madad sey bohut aasani sey hal ho sakta hai mardon kay jitney bhi jinsi masail hain un ko poori dunya mein biwi kay ta'awwun sey aasani sey hal kya ja raha hai.
Mardon ka ahem jinsi masla surat e inzal (premature ejaculation) hai iss sey muraad yeh hai kay mard waqt sey pehley manzil ho jata hai ba'az mahireen ka kahayal hai kay agar kisi mard ka dakhool kay 30 second ba'ad inzal ho jaey to usey iss masley ka shikar samjha jaey ga. Ek aur mahir kay mutabiq agar koi mard dakhool kay ba'ad ek minute sey pehley manzil ho jaey to usko yeh masla hai. Master aur Johnson kay mutabiq agar koi mard mubashrat mein apni biwi ko kam az kam 50% tak orgasm hasil na kara sakey to usko surat e inzal ka masla hai merey khayal mein sab sey achi ta'areef Dr.Helen Kaplan ki hai iss kay mutabiq agar mard ko apney inzal per control hai yani woh apni marzi sey manzil ho to woh surat e inzal ka shikaar nahin agar usey inzal per control nahin to usey surat e inzal ka mareez samjha jaey ga.
|