khae'ncheiy rakhein hatta kay uss ki inzal ki khwahish khatam ho jaey iss tareeqey ko hasb e zaroorat kaee baar istaemaal kya ja sakta hai khusyon ko neechey khaenchtey waqt uss kay zakar ko hargiz na chuein.
-
Yeh doosra Chinese tariqa hai iss mein dakhool kay ba'ad khawand jab inzal ki khwahish mehsoos karey to woh ishara kar dey to aap apney hath ki shahadat aur bari ungli sey uski maq'ad aur khusyon ( testicles) kay darmyan wali jagah ko zor sey dabaein saath hi mian paet sey lambey saans ley aap iss jagah ko itni der dabaey rakhein hatta kay inzaal ki khwahish khatam ho jaey.
-
Agar aap bharpoor andaz sey kegel mushq kar lein jis ki madad sey aap apney PC muscles ko bohut zor sey khaench sakein agar aap rozana 50 bar yeh mushq karein to aap ko iss qadar control ho jaey ga kay aap apney PC muscles ki madad sey apni faraj kay dahaney kay muscles sey mian kay zakar ko bhee'nch kar (hath ki tarah) us kay inzal ko rok sakein gi ta'hum itney control kay liye zyada mushq ki zaroorat hai.
-
Amooman jab mard manzil ho jata hai to phir sharmindagi ki wajah sey dobara jald koshish nahin karta haala'n kay agar woh dobara koshish karey to woh jald manzil na hoga iss surat mein ba'az auqaat mard kay zakar mein dobara tanau paeda nahin hota jab kay 40 saal ki umar tak amooman 15 minute sey ek ghanta kay ander mard ka zakar dobara tunn jata hai aur woh mubashrat kay liye tayyar ho jata hai. Agar aap ka mian jald manzil ho jaey to usey hosla dein aur dobara mubashrat zaroor karein iss kay liye mandarja zael tariqey istaemaal kiye ja saktey hain.
|