Boorhey logon ki ek research sey ma'aloom hua kay unn mein 75% ghaer fa'aal hain. 3, 4 saal ba'ad unn kay interview sey ma'aloom hua kay inn mein 14% ney dobara fa'aal zindagi ikhtyar karli aur baqi ghaer fa'aal rahey jis sey yeh baat samney aaee kay ghaer fa'aal jinsi zindagi kay ba'ad jinsi tor per fa'aal hona ek mushkil amar hai. Master & Johnson ney iss baat per zor diya kay burhapey mein achi jismani aur zehni sehat kay liye jinsi sargarmi zaroori hai aur burhapey mein jinsi sargarmi ko bahaal rakhney kay liye do anaasir bohut ahem hain.
- Achi jismaani aur zehni sehat_mahireen kay mutabiq woh mian biwi jo burhapey mein mubashrat jari rakhtey hain inn ki zehni aur jismaani sehat behter hoti hai.
- Jawani mein jinsi amal mein baqaedgi_woh mian biwi jo jawani mein haftey mein ek do baar khusoosan aisi khawateen ko burhapey mein kisi takleef ka samna nahin karna parta woh mian biwi jo jawani mein ek maah mein ek aadh baar jinsi sargarmi mein hissa letey hain woh burhapey mein ba mushkil sex sey lutf andoz hotey hain aur biwi ko takleef bhi ho sakti hai.
Agarcha jinsi dilchaspi aur jinsi sargarmi umr kay sath kuch kam ho jati hai magar khaasi bari ta'adaad mein aisey log mojood hain jo 80 saal kay ba'ad bhi fa'aal jinsi zindagi guzartey hain 60 ta 71 saal kay sehatmund boorhon ki ek research sey ma'aloom hua kay inn mein 40 ta 65% kisi hudd tak ba kasrat mubashrat kartey hain. Ek survey sey ma'aloom hua kay 50 ta 80 saal ki umar mein
|