Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Jiryan, dhat syndrom. Neem Hakeem semen mani ko johar e hayat, quwwat e hayat aur khoon sey bhi ziyada qeemti cheez samajhtey hain.
   
Home | Sex Education in Urdu for Men | Jiryan - Dhat Syndrome  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
 

Total views since 15 October 2009:
130410
 
Jiryan - Dhat Syndrome

 Neem Hakeem mani (semen) ko johar e hayat, quwwat e hayat aur khoon sey bhi zyada qeemti cheez samajhtey hain. Woh mani (semen) kay behney ko blood kay behney sey zyada qeemti samajhtai hain. Humarey yahan amooman 100 qatrey (drops) blood kay mani (semen) kay 1 drop kay baraber samjha jata hai. Jadeed research sey sabit hua hai kay mani (semen) na quwwat e hayat hai aur na hi khoon sey zyada qeemti. Agar mani (semen) waqaee khoon sey qeemti hai to ek bar ejaculation sey khoon ki ek bottle (500 ml) nikal jati hai. Bohut sey logon ney kabhi na kabhi din mein 2 time zaroor musht zani ki hoti hai. Iss soorat mein blood ki 2 bottles nikalney kay baad yeh zinda kaisey rahey. Mera woh client jo din mein 15 baar tak mushtzani karleyta tha ussey to kisi bhi sorat mein zinda nahi hona chahiya. Jab kay woh na sirf zinda hai balkay hatta kata hai aur bachey paida kar raha hai. Chonkay mani (semen) koi qeemti cheez nahi lehaza iss ka ekhraj kisi bhi tarhan nuqsandeh nahi hai.

 

    Bohut sey logon ka khayal hai kay bharpoor jinsi lutf aur aulad ki paedaesh kay liye mani (semen) ka thick hona zaroori hai. Iss ki bhi koi haqeeqat nahi. Jinsi lutf kay liye mani (semen) ka sirf kharij hona (baaz auqat ejaculation kay baghaer bhi bharpoor jinsi lutf hasil kar leta hai) aur aulad kay liye iss kay vagina mein jana zaroori hai. Kabhi  aisa bhi hota hai kay fard ki mani (semen) bohut thick hai magar woh na sirf jinsi lutf sey mehroom rehta hai balkay bachey bhi paeda nahi kar sakta, kyun kay iss thick mani (semen) mein sperms hotey hi nahi yeh sehatmand sperms ki quantity bohut kam hoti hai.

 

    5. Jiryan - Dhat Syndrome:

 

Peeshab kay baad ya pehley mard kay zakar sey kharji honay waley white material ko jiryan kaha jata hai.

 
Jiryan - Dhat Syndrome
 
<< Next       Prev >>
910111213141516171819
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012