Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Taking bath during menses (Mahwaari kay doran nahana) khatarnak nahin hai bul kay jismani safaee ka zyada khayal rakhna chahiyie. Menses (Mahwaari) kay doran bath (ghusl) ya jismani safaee kay liye mausam kay mutabiq garam ya thanda paani istaemaal kya ja sakta hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Bath During Periods - Taking Bath During Menses - Mahwaari Mein Nahana  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
74125
 
Bath During Periods - Taking Bath During Menses

 Mahwaari (menses) ka pain aksar nafsiyati hota hai. Aksar larkiyon nai suna hota hai kay  mahwaari (menses) sey takleef hoti hai. Isliye woh mahwaari (menses) kay aghaz hi sey iss sey khauf zada hoti hain aur phir iss khauf ki wajha sey uterus mein stiffness aur takleef paeda hojati hai. Larkiyon ko yeh pata hona chahiya kay mahwaari (menses) koi takleef deh cheez nahi lehaza woh relax rahein. Iss sorat mein unko mahwaari (menses) ki takleef nahi hogi. Kuch khawateen ko mahwaari (menses) sey 2 ya 3 din pehley headache, backache, pait ka dard shuru ho jata hai aur inkay pistaan (Breast) swell ho jatey hain. Kuch khawateen ko puri mahwaari (menses) kay doran dard hota hai. Yeh sab kuch normal hai koi beemari nahi. Agar takleef kuch zyada ho to gynecologist sey contact karein.

Mahwaari Mein Nahana Khatarnak Hai?

(Bath During Periods - Taking Bath During Menses)

    Hamarey yahan kam parhi likhi khawateen mein yeh baat bohut hi famous hai kay mahwaari  mein nahaney (taking bath durng menses) aur organs ko pani waghaera sey saaf karney sey na sirf bohut si big beemariyan lag jati hain bul kay motapa bhi ho jata hai. Iss liye aksar khawateen inn dino pani sey perhaez karti hain. Halan kay mahwaari (menses) kay dinon mein larki ko daily apney jinsi aaza (female genital organs) ki safaee khas tor per karni chahiyie. Achi tarhan safaee na karney sey khoon ka kuch na kuch hissa yahan per jum kar smell paeda kar sakta hai. Lagataar kaee din tak safaee na karney sey inflammation ho sakti hai. Kharish aur halkey zakhm bhi ho saktey hain. Mahwaari (menses) kay doran ghusl ya jismani safaee kay liye mosam kay mutabiq hot ya cold water use kya ja sakta hai. Iss silsiley mein kisi ghalat fehmi ka shikar nahi hona chahiyie kay mahwaari (menses) kay doran nahana khatarnak sabit ho sakta hai. (Kawal Dheer)

 
Bath During Periods - Taking Bath During Menses
 
<< Next       Prev >>
152153154155156157158159160161162
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012