Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Sar dard kay elawa inn ki khud touqeeri aur khud aetmaadi bohut pust ho jati hain, inn alamaat ko Premenstrual Syndrome kehtey hain. Inn dinon aurton mein jaraem ki sharah barh jati hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Premenstrual Syndrome - Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan 2  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
73773
 
Premenstrual Syndrome

Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan

 Headache kay elawa inki self esteem aur self confidence bohut hi low ho jati hai. Yeh symptoms PMS yani premenstrual syndrome kehlata hai. Inn dino aurton mein crimes ka rate zyada ho jata hai. France mein inn dinon mein honay waley crimes per PMS ki wajah sey saza mein narmi ki jati hai. Chunancha famous American Dr. Edgar Berman ney kaha tha kay koi aurat mood kay iss change ki wajah sey kisi ahem position kay liye unfit hai. (Hyde) Isi liye Islam mein mard ko family ka sarbarah banaya hai aur zindagi ki zyada tar aur zyada ahem responsibilities aurat kay bajaey mardon kay shoulders per dali gaee hain. Isi liye Islam mein kisi country mein aurat ki surbarahi ki gunjaesh nahi. Mahwaari (menses) sey pehley inn symptoms kay elaj kay liye progesterone therapy ki sifarish ki jati hai.

    Mahwaari (menses) ek napak cheez hai jis cloth per yeh khoon lag jaey iss ko wash kar kay pak kara jaey. Hazrat Asma bint e Abu Bakar riwayat karti hain kay ek aurat ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey poocha kay jis kaprey ko haez lag jaey to kya karein. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay isko chutkiyon sey mal kar pani sey dho dalna chahiyie aur phir iss mein namaz ada kari jaey. (Bukhari, Muslim) 

    Ek muslim khatoon jitney din mahwaari (menses) ki halat mein rahey itney din namaz na parhey, ramazan hun to rozey na rakhey lekin rozey baad mein qaza rakhna farz hain. Albatta itney dino ki namazein maaf hain. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai. Farmaya kay jin dinon mein haez aaey inn mein namaz chordey, phir nahaey aur har namaz kay waqt wuzu karey aur namaz parhey aur rozey rakhey. (Abu Dawood)

 

 
Premenstrual Syndrome - Mahwaari Mein Mood Ki Tabdeeliyan
 
<< Next       Prev >>
147148149150151152153154155156157
 
Tell a Friend
 
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012