Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Menses Cycle (Haezi chakkar) amooman 28 din ka hota hai. Mahwaari kay shuru mein surkh aur seyahi mael khoon aata hai, yani yeh khoon bilkul surkh nahin hota.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
104485
 
Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari

 Mahwaari (menses) kay elawa kisi beemari ki wajah sey bhi khoon aata hai jis sey istihaza kehtey hain aur child birth kay baad aaney wala khoon nifas kehlata hai. (Mobeen) 

    Menses cycle usually 28 din ka hota hai. Yani har 28 din kay baad mahwaari (menses) hoti hai. Magar baaz khawateen ka cycle kam days (22 days) aur baaz ka zyada (40 days) ka bhi ho sakta hai. Yeh badal bhi sakta hai yani kabhi 28 days aur kabhi 32 days ka. Yeh sab kuch normal hai. Mahwaari kay shuru mein red aur blackish khoon aata hai. Yani yeh khoon bilkul red nahi hota shuru mein yeh zyada aata hai magar ek din baad iss ki miqdar kam hojati hai. 3rd aur 4th day iss ka colour change ho jata hai. Hatta ka yeh ratoobat bilkul khatam ho jati hai. Iss ki miqdar sab larkiyon mein baraber nahi hoti. Kisi ka zyada aur kisi ka kam. Mahwaari (menses) sara khoon nahi hota. Iss mein 50% khoon aur baqi doosra material hota hai aur yeh khoon doosrey khoon ki tarhan jamta nahi hai. Hamal (Pregnancy) kay doran mahwaari (menses) band hojati hai. Magar baaz auqat jari rehti hai. Aisa bohut hi kam hota hai. Iss mein pareshan honay ki zaroorat nahi aur na hi iss ka elaj karaney ki zaroorat nahi. Mahwaari (menses) ka silsila usually 45 years tak chalta hai aur phir band ho jata hai. Kabhi kabhi mahwaari (menses) shuru honay kay waqt iss kay cycle mein kharabi hojati hai. Baaz larkiyon ko zindagi mein first time mahwaari (menses) aaney kay baad 2nd time ya next time mahwaari (menses) 28 din kay baad nahi aati bul kay kuch haftey (weeks) ya kuch months kay baad aatey hain. Kuch larkiyon ko shuru hi sey mahwaari (menses) baqaida waqt per aaney lagti hai. 

 
Menses Cycle - Haezi Chakkar - Mahwaari
 
<< Next       Prev >>
145146147148149150151152153154155
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012