Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Menses (Mahwaari) kay dinon mein paeda honay wali painful (takleefdeh) haalat na to sangeen hoti hai aur na hi mustaqil. Isliye pareshan honay ki zaroorat nahin bul kay aisi takleef ko aam samajh kar apney aap ko maamool kay kaamon mein masroof rakhna chahiyie.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Painful Menses - Takleef deh Mahwaari 2  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
58673
 
Painful Menses - Takleef deh Mahwaari

 Mahwaari kay dinon mein paeda honay wali takleefdeh haalat na to sangeen hoti hai aur na hi mustaqil. Iss liye pareshan honay ki zaroorat nahin bul kay aisi takleef ko aam samajh kar apney aap ko maamool kay kaamon mein masroof rakhna chahiyie. Jo larkiyan aisi kisi takleef ko zyada feel karti hain aur aksar leti rehti hain woh stress ka shikar ho kar painful condition mein phans jatin hain.

    Mahwaari (menses) ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarhan pareshani ka bais nahi hona chahiyie. Larki ko yeh samajh lena chahiyie kay yeh qudrat ka ek aam jismani process hai. Usually isey bataya jata hai kay mahwaari (menses) kay dino mein larki ki zehni aur jismani halat ek beemar jaisi hoti hai aur inn dino isko zyada aaram karna chahiyie. Yeh bhi mehez ek ghalat fehmi hai. Mahwaari (menses) mein iski halat ek mareez jaisi nahi hoti bul kay jawan hoti hui larki kay liye yeh to iss kay healthy honay ki alamat hoti hai. Iss kay zariye growth hasil karney ka amal hota hai. Isliye isko apney aap ko beemar samajh kar bister per letey nahi rehna chahiyie bul kay daily routine kay kaam kaaj mein hissa lena chahiyie. Is sey woh apney qudrati mahol mein masroof reh kar un-natural mehsoos nahi karti.  

    Baaz larkiyon ko mahwaari (menses) painful hoti hai jo kay ek beemari Dysmenorrhea hai. Yeh 2 type ka hota hai. Pehli type mein takleef uterus kay muscles stiffness ki wajah sey hota hai. Iss ka sabab heredity, jismani aur nafsiyati bhi ho sakta hai. Yeh usually naujawani kay aaghaz mein hota hai. Jab kay doosri type mein nisbatan big age mein takleef hoti hai. Iss ka sabab usually genitalia ka shrink ho jana hota hai.

 

 
Painful Menses - Takleef deh Mahwaari
 
<< Next       Prev >>
151152153154155156157158159160161
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012