-
Istasna (exception) ka istemaal kar lein yani note karein kay jab aap musht zani nahin kartey to kya kartey, phir wahi mazeed karein, maslan ek larkey ko jab bbhi musht zani ki khwahish hoti to woh koi mazhabi kitab parhney lagta, doston sey milney julney chala jata waghaera. Isey kaha jaey ga kay woh inn cheezon ko zyada karey to uski yeh aadat bohut kam ho jaey gi.
-
Jab bhi musht zani ki khwahish ho to laziman naey kaprey pehnein [hir musht zani karein.
-
Ju'nhi musht zani ki khwahish paeda ho to foran na karein bul kay usey adha ghanta late kar lein.
-
Yeh bohut hi mu'asser tariqa hai, agar isey munasib tor per istemal kya jaey to musht zani ko aasani sey control kya ja sakta hai.
a. Aaram sey kisi jagah beth jaein.
b. Aankhein bund kar lein, jism ko dheel achor dein, 10 lambey saans lein.
c. Ab tasawwur karein kay aap apni pasandeeda jagah mein musht zani karney lagey hain aur aap ka hath apney zakar ki taraf ja raha hai magar musht zani nahin karni, tasawwur ko bara aur roshan banaein.
d. Pehli tasweer ko ek taraf kar dein, ab doosra tasawwur karein kay ek aur 'aap' hain, usi jagah bethey hain magar musht zani ko dil nahin kar raha. Khwahish hi nahin hai, aap bohut khush hain kay aap ko apney aap per control hai. Iss tasawwur ko bhi bara aur roshan (bright) banaein.
|