Zina ki bohut bari wajah
bey parda mahol hai. Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay aurat ki sab sey bari zeenat uska chehra hai aur Islam mein zeenat ko chupaney ka hukum hai. Koi maney na maney Islam mein pardah farz hai. Jin mu'aashiron mein jitni zyada bey pardagi hai wahan utni hi zyada
jinsi beyrahrawi (sexual perversion) hai. Mahireen e nafsiyat iss baat per bhi muttafiq hain kay mard basarat sey jinsi tor per mushta'el hota hai. Yani mard kay jinsi jazbaat aurat ko dekh kar mushta'el hotey hain jab kay aurtein amooman bazarya basarat jinsi tor per mushta'el nahin hotiin. Isliye Islam mein aurat ko pardey ka hukum diya gaya hai na kay mard ko. Waisey mardo'n ko nigaahein jhukaney ka hukum hai. Pakistan kay ek bohut barey girls college kay barey mein ma'aroof hai kay iss idaarey ki kam az kam 60% bachiyan ba asmat nahin rehtiin. Iss idarey ki taqreeban sab bachiyan bey parda hain. Darasal bey pardagi mein mard o khawateen kay milney kay mawaqae zyada ho jatey hain jis sey zina kay mawaqae bhi zyada paeda ho jatey hain.
Pardey daar khatoon sey koi mard milney ya guftugoo karney ki koshish nahin karta.