Musht zani Per Control (Stop Masturbation): Masbat mashaghil, khelon ki taraf tawajjuh dena, logon ki falaah kay kaam karna musht zani ki taadaad mein kami karney mein madadgaar ho saktey hain. |
|
|
Home | Sex Education in Urdu for All | Musht Zani Per Control - Stop Masturbation 2 |
|
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5 |
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 |
|
Total views since 15 October 2009: 117689 |
|
|
Musht Zani Per Control - Stop Masturbation |
-
Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta'adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
-
Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
-
Rafah e aamma kay kaamo'n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho'n ki madad karein.
-
Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta'adaad (frequency) kam ho jaey gi.
-
Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino'n kay ander musht zani ki ta'adaad kafi kam ho jaey gi.
-
Aksar naujawan ek khaas ta'adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta'adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga.
|
|
 |
|
|
<< Next
Prev >>
|
|
|
 |
Tell a Friend |
|
|
|
|
|
|
|
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site. |
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012 |
|