-
Izaafi pani rok lena
-
Kam tolna ya kam naapna
-
Allah ki tadbeero'n sey bey khauf hona
-
Murdaar ya khinzeer ka gosht khana
-
Juma'a aur farz namaz ko terk kardena
-
Ba jama'at ki bajaey tanha namaz parhna
-
Allah ki rehmat sey mayoos hona
-
Musalman ko kafir kehna
-
Dhoka fareeb dena
-
Sahaba karam mein sey kisi ko gaali dena
-
Ghalat faisla karney wala qazi
-
Jhagrey kay doran gaaliyan dena
-
Nasb ka tana dena
-
Mayyat per noha karna
-
Zameen kay nishanaat mitana
-
Ghalat rivaj paeda karna ya gumraahi ki da'awat dena
-
Ja'ali husn paeda karna
-
Musalman ki taraf aslaha kay sath ishara karna
-
Hudood-e-haram mein zyaditi karna
poori fehrist ka ba ghor jaeza lein, iss fehrist mein kahin khudlazzati ka zikr nahin.
Ek zamaney mein mujhey haerat thi kay ek kaam jisey 95% log karney per majboor hain, woh gunah hai. Ab ilm hua kay Allah aur uskay Rasool ney iss masley mein sukoot farmaya hai, magar humarey ba'az ulma'a ney isey haram qarar dey diya. Iss ka maqsad yeh nahin kay hum khudlazzati/mushtzani ki wakalat kar rahey hain na hum iska mashwara detey hain kay sab larkon aur naujawanon ko aisa karna chahiyie, meine khud nahin kii.
|