Woh log jo jail mein hotey hain ya kisi wajah sey jinsi amal sey mehroom hotey hain, unki jinsi salahiyat kam honay lagti hai yani jinsi sargarmi (activities) sey jinsi salahiyat (mardana quwwat) mein izafa hota hai.
Note: mein iss hissey ko kitab mein shamil na karna chahta tha phir socha kay aisa karna ilmi bud diyaniti ho gi.
Mardon kay do ahem jinsi masail surat e inzal (premature ejaculation) aur namardi (impotency) hain. Inn donon amraz kay elaj ka sab sey mu'asser tariqa elaj musht zani hi hai jo poori dunya mein kaamyabi sey istemaal ho raha hai. Isi tarah aurton ka ek ahem jinsi masla adumdakhool (vaginismus) hai jis mein mubashrat kay doran dakhool na mumkin hota hai, iss masley ka ahem hal bhi musht zani hi hai.
Islam Aur Musht Zani (Masturbation In Islam)
Musht Zani (masturbation) kay hawaley sey doosra ahem masla ehsaas e gunah ka hai. Merey ek client ney musht zani sey bachney ki bharpoor koshish ki magar kamyaab na ho saka. Phir ehsaas e gunah ki shiddat ki wajah sey khudkushi kii magar khushqismati sey kamyaab na ho saka. Musht Zani gunah hai ya nahi, chota gunah hai ya barra, iss per ikhtilaf e raey ho sakta hai magar khudkushi per to dozakh lazim ho jati hai.
Musht Zani/khud lazzati key hawaley sey ek baat zehen mein rahey kay shuru mein amooman naujawan isey shauq sey nahin kartey bul kay majbooran kartey hain. Dar asal mard kay masaney kay qareeb mani ki do thaeliyan seminal vesicles hoti hain jo mani (semen) ka ek hissa banati hain.
|