Mujhey ehtelam bohut hota tha, ek raat mein do baar tak. Iss wajah sey mujhey iss ki zaroorat hi nahin parri. Humara maqsad sirf yeh hai kay iss mozou per mua'ashirey mein paee janey wali ghalat fehmiyon ki haqeeqat beyan karein, ta'hum iss kay koi nuqsaanat nahin aur na hi yeh gunah e kabira hai.
Musht Zani Ki Wajoohaat
Musht Zani ki bohut si wajoohaat hain chund ahem mandarja zael hain.
-
Musht zani ki sab sey bari wajah yeh hai kay baloghat mein jinsi ghudood ki kaarkardagi ki wajah sey mani (semen) banney lagti hai chu'n kay hum mani ko mehfooz (store) nahin kar saktey aur iss ka nikaas bohut zaroori hai ab agar fard kay paas mani kay ikhraj ka ja'ez zarya mojood nahin aur isey aksar ehtelam bhi nahin hota to phir baligh fard musht zani kay zaryey iss liquid ko kharij karta hai.
-
Doosri bari wajah burey doston ki suhbat hai. Yeh dost inn ko baloghat kay aaghaz hi mein khud lazzati sey na sirf aagah kartey hain bul kay inn ki tarbiyat bhi kartey hain, hala'n kay agar inn ko ilm na hota to mumkin tha kay inn ko ehtelam honay lagta aur unko musht zani ki zaroorat hi mehsoos na hoti.
-
Aaj kal naujawan bul kay shadi shuda afrad bhi gandi (blue) films dekhtey hain khusoosan internet kay zaryey fahash mawad sex sites dekhtey hain unhein dekh kar unn kay jazbaat mushta'el ho jatey hain, unki fori taskeen kay liye musht zani kar letey hain.
|