-
Ba'az khawateen apney khawand kay sath bharpoor jinsi ta'awwun nahin kartiin jis ki wajah sey unki azdawaji zindagi jinsi taskeen sey mehroom hoti hai phir aisey log zina ki bajaey khud lazzati kay zaryey jinsi taskeen ( sexual satisfaction) hasil kar letey hain
-
Ba'az gharon mein kamrey kam magar afraad ki ta'adaad zyada hoti hai jis ki wajah sey mian biwi ko mubashrat kay mawaqae jald nahin miltey. Iss soorat e haal mein biwi to apney aap per control kar leti hai magar khawand nahin kar pata chunancha woh zina ki bajaey musht zani ka sahara leta hai.
Musht Zani Per Control - (Stop Masturbation)
Agarcha musht zani kisi bhi tarah sey nuqsan deh nahin magar phir bhi aap isey control karna chahein to aisa kar saktey hain, kam az kam iss ki ta'adaad (frequency) ko kam kya ja sakta hai. Iss soorat mein amooman ehtelam mein izafa ho jata hai. Jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin.
-
Musht zani ko control karney ka sab sey mu'asser aur aasan zarya shadi hai. Jab fard shadi kar leta hai to phir uski mani kharij hoti rehti hai jis ki wajah sey woh musht zani karney per majboor nahin hota. Shaadi kay ba'ad yeh aadat khud ba khud khatam ho jati hai. Isliye Allah kay Nabi ney jald shaadi karney ki taakeed farmaee hai.
-
Gandi filmein, kahaniya'n, fahash kutub, tasaweer, naghmaat aur suhbat sey bachein. Yeh cheezein fard mein jinsi haejaan paeda karti hain aur phir fard musht zani karney per majboor ho jata hai.
|