|
falaknaaz |
Group: Members
Joined: 03rd Dec, 2009
Topic: 2
Post: 11
Age: 24
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 11:54pm |
|
|
Nikkah In Islam: Should I Marry With Out Parents Consent?
SALAM ALAIKUM TO DR SAHAB AND ALL MY FRNDS, MUJHE AAP LOGON SE OPINION CHAHIYE BCOZ MEIN UDGE NAHI KAR PAA RAHI HU KI MUJHE KYA KARNA CHAHIYE I LOVE A GUY AND HE TOO LOVES ME AND THE PROBLEM IS THAT MY PARENTS AND WHOLE FAMILY ARE NOT AGREES TO THIS RELATIONSHIP AND HIS PARENTS ARE AGREES TO MAKE ME HIS BRIDE now he wants me to get married with him without the consent of my parents i dont know what to do i too love him i want to get marry with him but mujhe acha nahi lag rahan ki mummy ko bina bataye Nikah kar lo usse dil nahi maan rahan hai and i m the alone working person dont know what to do plz help me and give me the correct guidance would a girl get marry with out parents consent in Islam?
|
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 25
Post: 4467
Age:
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 12:30pm |
|
|
falaknaaz as a woman & as a mother too i wont recommed u that make your life decision by own . no one can loves u more than your parents . if u want to marry him you should talk to your mother . try to convince her ,tell her about your will . if she agrees than best of luck if she doesnt, you shouldnt go against your parents decision . if u,ll get marry without your parents u,ll not be able to make your good position in your susraal (husband,s home) marriage is a single door way once you get in, u cant get out or back (its not so easy ) so try to convince your mother . its about your life |
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 122
Post: 2440
Age: 31
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 1:03pm |
|
|
falaknaaz very good suggestions by maryam please fallow. |
falaknaaz |
Group: Members
Joined: 03rd Dec, 2009
Topic: 2
Post: 11
Age: 24
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 3:35pm |
|
|
reply Asslam Alaikum,
thnx maryam for replying me but my mother is not like him my mom will never marry me with him so should i marry where my parents and my family are getting me to get married.
|
M.RIZ |
Group: Members
Joined: 30th Oct, 2009
Topic: 13
Post: 64
Age: 23
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 5:23pm |
|
|
To Falak Naz ASLAM ALIKUM
SISTER falak
baat to such yeh hy k true love aaj kal hota nahi theek hy ap larky ko like karti ho or larka aapko
but shadi bohat Critical and different cheez ka name hy only shadi sirf love ki waja sy nahi karni chahiye
yeh love to shadi k baad aksar males ka khatum ho jata hy or yeh aik reality hy life ko bohat Practical or perception sy dekho or socho aap k parents apni jaga per bilkul theek hain
aap bohat soch samaj ker faisala karain kio k yeh baat such hy k 99 % males shadi k baad change ho jaty hain bohat change aata hy
kio TIME bohat powerful cheez hy bohat soch samaj ker faisala karain kio k jis larky aap shadi karo gi us main change aaya ga or wo change aap ko shadi k baad hurt kary ga |
M.RIZ |
Group: Members
Joined: 30th Oct, 2009
Topic: 13
Post: 64
Age: 23
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 5:30pm |
|
|
To Falak Naz ager aap ny shadi karni bhi hy to jub tak aap k parents aap k sath nahi
ya aap ko yeh yakeen na ho jay k aap ka future us larky k elawa bhi safe rahy ga shadi k baad to tub shadi karain
mean Complete analysis karain first khud ko secure karain just love ka chakar main na rahin yeh na ho ALLAH na karay k aap koi galti kar lain or phir mushkil time ?
kio k kisi bhi male ki reality ka aap ko tub pata chaly ga jub aap us ki wife bun jao gi then |
Kali Zuban |
Group: Members
Joined: 01st Apr, 2007
Topic: 36
Post: 1933
Age: 25
|
|
Posted on:15th Dec 2009, 5:35pm |
|
|
Love and family agar aap ke parents agree nahi hai tu aap ko mashwarah hai keh aap apne rishtadaro se mashwara kare keh kia kerna chahiye. woh log koi achchi solution nikal le ge |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 61
Post: 1645
Age:
|
|
Posted on:16th Dec 2009, 9:51pm |
|
|
Falaak naz sister Sab se phele galat kaam aur jurm tu yehe hai k kese geer mehram mard sa talluqat joorna pyaar karna jo k haram aur karnee wala Azaab-e-Naar ka haqdaar hai...
ess k baad ess haad taak love karna k maa baap jenhoone paala baraa kya jen ke wajah se app ajj ho unn se baghawaat kar k shadi karna bilkul theek nahi hai.
1 bhai hone ke naate apne behen ko yehe sugesstion dee sakte hai k jo past mein hua unn tamam gunaaho se tooba kar ke ALLAH se mafee talab karee.
aur parents raaze ho ya na hoo yeh baad ke baat hai phele najaiz talluqat 112% khatam kardee.
ess k baad parents ko ahsaan andaaz mein manai agar wo maan jai tu theek nahi tu jedher parents shadi karne ka kahee agar wo family sahi hai koi burai khamee nahi hai tu karlee. parents ke kheelaf warzee na karee warna may be esse rishte mein Allah ke rehmat naa rahe...
Rishta ho ya na ho Haram aur Najaiz Talluqat har soorat khatam karnee hongee.
Haar soorat !!! |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 25
Post: 4467
Age:
|
|
Posted on:18th Dec 2009, 1:54pm |
|
|
falaknaaz agar parents kahin rishta k liye razi na hon tou kisi bhi rishtadar k paas nahi jana chahiye no one is more sincere than your parnts . albatta agar apnay parents ki izzat kharab karni ho tab unhain d grade kar k doosron ka mashwara lena chahiye .
aap surah yaseen ki 2nd last ayat parh kar dua kiya karain jo aap k haq main behtar huwa wohi hoga . agar aap ki mother ko larka pasand nahi tou zaroor koi reason hi hoga beharhaal aap parents k against shadi na karain unhain convince karnay ki koshish karain
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members
Joined: 11th Sep, 2007
Topic: 137
Post: 4462
Age: 22
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 1:18am |
|
|
Parents se barh k koi nahi hai..... Rishtedaaron se mashwara karnay wali baat ek dum wrong hai, plz aesi advices dene se parhaiz kiya jaye jis se larki ka mustakbil daaoo per lag jae......
maan baap se barh k koi nahi hota,wese tou larkay ko bhi maan baap ko saath lekar chalna chahiyai magar larki ka mamla larkay k mukaable main different hota hai is liyain larki ko agar koi pasand hai tou usay maan baap ko zaroor shamil karna chahiyai, warna agar khuda na karay larki ka individual faisla ghalat sabit ho future main tou phir uski izzat kahin ki nahi rehti larkay k mukaable main.....
maryam nay bilkul sahi kaha hai aur kya khoob kaha haii, zabardast malika ji, kya baat hai apki janab e aliya :)
|
Kali Zuban |
Group: Members
Joined: 01st Apr, 2007
Topic: 36
Post: 1933
Age: 25
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 2:44am |
|
|
maa baap ko raazi kerne ka tareeqa Maryam: aap ne sahi kaha keh maa baap ko razi kerna chahiye, lekin maa baap ko kisi rishtadar maslan bhai bahan bhabhi bahnoi mamoo khala ke zaria raazi kerne mai kia haraj hai? eastern culture mai waise bhi boys and girls shadi ke baare mai direct ma baap se baat nahi kerte, woh kisi aur ke zaria apni khahis ka izhar kerte hai. mai ne bhi maa baap ko raazi kerne kaha hai lekin os ke liye direct ki bajaye rishtadaro (maslan bhai bahan bhabhi bahnoi mamoo khala etc) ke zaria raazi kerne kaha hai. yeh nahi kaha keh ghar se bhaag ker court marriage ker lo. |
sunehri76 |
Group: Members
Joined: 04th Aug, 2007
Topic: 82
Post: 4653
Age: 33
|
|
Posted on:19th Dec 2009, 4:24am |
|
|
agreed to kali zuban..
ap apni khala,mamoo,chacha ,behan bhai ka sahara le sakti hain parents ko manane ke lye..lekin ye bat zaroor yad rakhain ke sirf aur sirf kareebi rishtedaron ko involve karain.aur sab se barh kar un rishtedaron ko jo apke parents ke kareeb hon.
familys me aksar aise rishtedar hote hain jo dusron ke andar kamzori dhund rahe hote hain.ap kisi aise rishtedar ke pas chali gayin to apke parents ki insult bhi hogi aur wo sharminda bhi honge.
islye parents ki izzat samne rakhte hue,help ke lye us rishteda ko involve karain jo apke parents ki izzat apni izzat samajhta hai.is lye apko aise person ka intekhab karte hue bohat ihteyat báratni hogi.
wish u all the best |
ch Babar |
Group: Members
Joined: 15th Jul, 2007
Topic: 37
Post: 2220
Age: 35
|
|
Posted on:21st Dec 2009, 1:29pm |
|
|
Paroot Islam aurat ko us ki pasand/na pasand ka haq deta hae aor aap kisi bhi aurat se ye haq cheen nahi saktay hain. aap jaisay logon k nazdeek aurat na apni pasand se shadi kar sakti hae, na taleem hasil kar sakti hae aor na he warasat main hissa maang sakti hae, ooper us larrki ko Gunah se toba karnay se pehlay aap apnay baray main sochain k aap ko ye haq kis ne diya hae k bila socha samjhay, beghair kisi saboot k kisi k baray main najaiz taulqat ki bata karain, kon se gunahon ka iqrar kiya hae us ne jo aap usay toba karnay ka keh rahay hain ??? sub se ziada toba ki zaroorat aap ko hae jo aap kisi larrki k baray main fazool bolay ja rahay hain . |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 61
Post: 1645
Age:
|
|
Posted on:25th Dec 2009, 5:07pm |
|
|
fatwoo k molana app apne ankhe khool kar thread parhte tu ess tarha k be tuke sawal na karte mujh se khair yeh tu app ke habit hai zakir naik ka asaar jo hai essa kareenge app 7 tabaq roshan kar k parha hota tu yeh din na dekhna parta///... ALLAH SAHI RAH DEKHAI AUR SAMAJH DEEE... |
saad82 |
Group: Members
Joined: 25th Dec, 2009
Topic: 3
Post: 7
Age: 17
|
|
Posted on:26th Dec 2009, 2:14am |
|
|
may ap ke madad karsakta hun mere suggestion hy k apne mom dad kay parmission kay bgheer shaade nahe karna un ko bhuat bura lagay ga or wo ap ko zindage bhar maf nahe karay gy
|
|