Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Kya Noha Sunna Gunnah Hai

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How To Get Visa For Japan 
 
 
DARISHA15 Group: Members  Joined: 20th Dec, 2009  Topic: 5  Post: 393  Age:   
Posted on:26th Dec 2009, 4:58pm
 

Kya Noha Sunna Gunnah Hai

salam mera sawal yeh hai kay being a sunni kya noha sunna guna hai ya nahin?????

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7027  Age:  54  
Posted on:26th Dec 2009, 11:56pm
 

sunni

maslak k motabiq nauhaa karna /sunna dounouN HARAM hai. moharramul haram maiN shia aqaid k motabiq jo kuch kia jata hai like matam, nauha, apnay jism ko takleef pahchana etc etc yeh sab ka sab sunni aqeeday k motabiq jaiz nahi
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 98  Post: 5387  Age:   
Posted on:27th Dec 2009, 12:30am
 

yes

I agreed to My Rizvi uncle
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2112  Age:   
Posted on:27th Dec 2009, 1:05am
 

agreed

to myrizvi bhaiiii

 

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:27th Dec 2009, 4:20am
 

DARISHA15

Noha mein kya hota hai app esse detail mein jaan le tu app khud he inkar kardeeenge k essa nahi karna chahe///

aur essa karna jaiz nahi hai

al batta ahle bait aur karbala k ja nesaaroo k leye ijtamai zikroo naat ke mahafil sajana ahlebait aur karbala waloo ke shahdaat ko ashaar mein bayan karna unn ke shan ko buland karna naat k zaria essa karna na sirf jaiz balkee acahe ache niatoon ke sath karna ajjr-o-sawab hai..

Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  33  
Posted on:27th Dec 2009, 9:10am
 

Rasool SAWW roye b aur noha b parha...

Yahan bohot Ilmi shakhsiyaat jawab de chuki hein , mein ne socha mein b panja aazmai kar loon , yahan par sab logon ne nohey ko biddat qarar dia hai sirf Tassub ki waja se , warna agar dekha jaye tou noha parhna ghalat nahi hai....

Sahih Bukhari, jild 2, baab 378 , hadees 832, safha 368

"Ans bin malik (RA) rivayat karte hein ham Rasool Allah k hamraah Abu Yusuf lohar k ghar gaye jo janab Ibraheem (farzand e rasool) ki anna ka shohar tha Rasool(SAWW) ne Ibraheem ko lekar pyar nahi kia inhein soongha baad aza'n Abu Yusuf lohar k pas gaye aur Ibraheem dam tor rahey thay, Rasool ki aankhon se aansu ravan ho gaye , Abd ul Rehman ibn e Aof boley Allah k Rasool aur ro rahey hein ?? , farmaya aey aof k betey ye tou rehmat o shafqat hai , phir aaye tou Rasool ne faryamaya aankh ashkbar aur dil ghamzada hai magar zuban se wahi kahein ge jis se hamara rab razi hai aur aey ibraheem ! tumhareu hijr mein ham ghamgeen hein "

///Muftiyan e biddat iss rivayat ko parhne k baad ya tou wo qalam tor dein jis se Imam hussain as par rone ko biddat kaha hai ya apni aankhein phar dein jis se ye rivayat dekhi hai aur ya sahih bukhari ko ghalat keh dein ,,,  ya imam hussain (as) ki bargah mein muafi talab karein warna Hashr mein azab e jahannum inn ka muntazir hai kyoon k iss rivayat par sirf yehi nahi k peghambar apne farzand par ro rahey hein balke Ibn e Aof k tokne par GIRYA ko rehmat aur shafqat keh rahe hein .....Subhan Allah ! Rasool roney ko rehmat kahein aur mufti roney ko biddat keh rahey hein ....

Iss hadees mein mazeed k rasool farmatey hein "aey ibraheem tumharey hijr mein ham ghamgeen hein" yani apne farzand ko pukar kar gham ka muzahira kia "issi ko tou noha kehte hein"!!!!!! Aur ham noha parhte hein tou usse biddat qarar dia jata hai ...../// 

Nohey ka matlab hee yehi hota hai k kisi k dukh ko yad kar k uss k izhaar ko shaeri ki soorat mein kaha jaye ....Iss hadees se sabit hai k Rasool ne noha b parha aur roye bhi , Tou Imam Hussain k zulm par kahey janey wale kalimaat Gunah Kyoon???? 




Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3256  Age:  36  
Posted on:27th Dec 2009, 9:54am
 




Stalker Group: Members  Joined: 21st Dec, 2009  Topic: 14  Post: 356  Age:  33  
Posted on:27th Dec 2009, 10:01am
 

Kia Gham e Hussain Manana ghalat hai ???

See this : Kia Gham e Hussain Manana ghalat hai ???
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3256  Age:  36  
Posted on:27th Dec 2009, 10:07am
 

Noha ka Lughvi Mani....!

kisi b almnaak hadisa ya waqiya ka azhar iss trh krna k uss main mazloom ki mazloomiyat aur zalim ka zulim zahir hoota hoo

aik aur mani k mutabiq...apni muhabbat ka izhaar kisi k musay'eb ka zikar kr k krna
(ye amal mnzoom shakal main hoo ya nasri shakal main)

abb yeh aik husn-e-itteffaq hey k yeh istellah (Noha) hamarey mu'ashrey main sirf islam k aik sect main wazy toor pr raij hey..jub k doosrey masalik mian ye juzwi toor pr moojood hey ...yani inkar kisi ko b nhi hey..laiken kisi zati taussab ki bina pr iss amal ko ghalt qraar daina ...kisi ki apni zati roy ya hrza sraiee hi hoo skti hey oor kuch nhi.....!!!

kisi k gham main shreek hoona ya kisi ki mushkalat ka zikar krna(NOHA) manzoom ya nasri soorat main ..iss ko koi maslik zati dushmini ki bina pr ghalt samjey to samjey laiken ikhlaqiyat-e-isnsaniyat sy to harij nhi kr skta na..

aur phir ye girya ya noha khwani to islamic history sy b wazey hey ......!!!!!



paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:27th Dec 2009, 11:35pm
 

maslak se haat kar sochee.

nooha ke qisam alag hotee hai aur karbala k janesaaro ke shadaat ka manzaar ko yaad kar k ankho se ansu rawa ho jai wo alag baat hote hai...

Maar janee waloo ka soog manana alag baat hai.
unn ke deen-e-islam k waqiaat ko yaad kar k ankho se ansu rawa hona alag baat hai...

umeed hai apna maslak k zehen se nikal kar socha jai gaa tu Inshallah samaj ajai gaa...

Asad mehmood Group: Members  Joined: 25th Apr, 2013  Topic: 0  Post: 1  Age:  21  
Posted on:21st Jun 2013, 2:48am
 

Jo log kehty hen k noha sun'na gunah he.

Agr hamara koi apna rishtydar, bhai, maa , baap etc kisi ki b deth hojay to hum kia krty he? Roty hen.or Aansu bahaty hen. Or every year us date ko jis din un ki deth hui hoti he us din kuch na kuch sawab puhanchany k ley krty he. Thek kaha? Jab hum nabi (s.a.w) ki olad ki shahadat per afsos krty hen ansu bahaty hen to tamam logo k badan main aag lag jati he k yeh q krty ho. Kia karbala k shahed musalmano k kuch ni lagty thy? Or jb hum log nohy parhty hen to usi waqt sub logo ko gunah sawab yad ata he. Wesy khud sharab peety hen, yateem ka maal khaty hen. Namaz to parhty he nhi. Muhally main koi aisi lrki ni chorty jis ko chera na ho. Aisi harkten krty huy hum ko bilkul ni yad ata k hum ko kitna sawab mily ga ya gunah? Afsos hota he ap logo ki soch per. [email protected]
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 15  Post: 761  Age:  24  
Posted on:21st Jun 2013, 4:05am
 

mairi baat sunain sab


WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 45  Post: 2493  Age:  48  
Posted on:30th Jun 2013, 2:07pm
 

noha

Nabi SAW ba ashak roye llekin aisay nhi k munh Mubarak se awaz nikli ho

dharain mari hon ya is terah kisi k liye kuch kaha ho

AAP SAW per sab se gham ki bari halat KHADIJA RA k intiqaal per, betay ki wafat per gham ki halat, chacha AMEER HAMZA ki shahadat per gham ki halat lekin koi bhi ye sabit nhi ker sakta k Aap SAW ne kabhi wesay nohay kiye hon jesay aaj kel majaalis aur jalooson main hotay hain

pak bibiyon k naam bazaari andaz main liye jatay hain

tamaam members se request hai k apnay firqay k liye NABI SAW ki zat e mubark se aisi koi baat mansoob na kerain jo gustakhiye Rasool SAW main aati ho

noha kerna sunana haram hai

is k ilawa hades main wazea hai k 3 din k baad koi sog nhi

Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 15  Post: 761  Age:  24  
Posted on:1st Jul 2013, 1:22am
 

Kiun?

Maira yai yaqeen hai kai jo shakhs allah ko apna khuda aur hazrat mohammad s.a.w.w ko allah ka aakhri nabi manta hai wo muslim hai.chahy wo hath bandh kai namaz parhta hai ya khol kai,chahy shohaday karbala per matam kerta hai ya nahn.............
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 15  Post: 761  Age:  24  
Posted on:1st Jul 2013, 1:27am
 

Wehshi

Main ap kai sath jhagarna nahn chahta laikin main yai kehta hun kai aap log jo ahadees wagaira post kerty ho kia wo sahi ahadees hoti hain?kia aap ko is baat ka yaqeen hai?maira kehny ka maqsad yai hai kai jo shakhs quran main mojood tamam baton ko manta aur in per amal kerta hai wo musalman hai
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 15  Post: 761  Age:  24  
Posted on:1st Jul 2013, 1:32am
 

To phr

To phir ap log aisa kiun kehty ho kai aik shakhs naaf pai hath bandhta hai to woh kafir hai,doosra shakhs matam kerta hai to woh bhi kafir hai,teesra shakhs azan sai pehly salaat kehta hai to woh bhi kafir hai.kia yai khula tazaad nahn hai?
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2187  Age:  35  
Posted on:1st Jul 2013, 1:58am
 

Elbert Einstein

Yeh to bhout aam si bat ho gai hy. Har koi fatwah dey deta hy dosry ky kafir hony ka.


myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 119  Post: 7027  Age:  54  
Posted on:1st Jul 2013, 3:18am
 

saim1

g haaN bilkul aisay hi jaisay imam khumeni nay non-shias k baray maiN fatawa diyeh haiN, apni books maiN :) for details search google.....
Einstein Group: Members  Joined: 24th Jul, 2012  Topic: 15  Post: 761  Age:  24  
Posted on:1st Jul 2013, 6:36am
 

Bilkul

Ham musalman tabah hi in bary ulama ki wajah say hue hain.myrizvi nai thek kaha.yai sab fasad in ulama ka daala hua hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3256  Age:  36  
Posted on:1st Jul 2013, 10:35am
 

Hadd-e-Adab ......!!!

Myrizvi bro zara aap sabit kijiye k Imam Khumaini (rizwan allah ta'ala) ny apni kis tasneef main kisi alam-e-deen ko kafir kaha hay ?

by the way main aap ki information k liye yahan Imam Khumaini (rizwan allah ta'ala) ki tasneef sy yahan unn ka aik qol naqal karta hon ...

wo farmaty hain k

"yeh sunni , shia ka jaghrra kuch kam aqal logon ki paida waar hay , q k agar Hazrat Muhammad (s.a.a.w) sy ishq , muhabbat , pairvi karny waly ko sunni kehty hain to phir iss kaynaat main Hazrat Ali (a.s) ay barra koi sunni nahi , aur agar Hazrat Ali (a.s) sy ishq , muhabbat karny waly ko shia kehty hain to phir iss kaynaat main Hazrat Muhammad (s.a.a.w) sy barra koi shia nahi"

aap ny pata nahi kahan sy Imam Khumaini (rizwan allah ta'ala) k baary ghalt maloomat lay rakhi hain , iss k ilawa mah-e-rabi-ul-awwal main 12 ta 17 rabi-ul-awwal shia sunni k maa bain hafta wahdat manaya jata hay jo k pakistan smaint poori dunia main practice kiya jaa raha hay aur yeh b Imam Khumaini (rizwan allah ta'ala) k aik fatwa k mutabiq hi hay , yaani iss hafta wahdat ka hukam b Imam Khumaini (rizwan allah ta'ala) ny hi day rakha hay ...

baqi noha k bary jo discusion chal rahi hay uss main 27 dec 2009 ko already main apni baat kar chuka hon , abb agar kisi ko fuss creat karny ya kisi aur mazmoom maqsad k liye iss topic par baat karni hay to uss ki marzi ....
1 2  >>
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia   

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013