|
S_Samir_S |
Group: Members
Joined: 26th Aug, 2009
Topic: 2
Post: 3
Age: 25
|
|
Posted on:27th Dec 2009, 11:05pm |
|
|
What Are The Rules Of Friendship Between Shia & Sunni?
asalam o alikum. mera Q ye hai K kia Sunni Shia ek dosry se friendship kar sakty hain? agar han to dosti karney ki kiya sharait hain? RgdzSamir
|
H/dr_Qasim |
Group: Members
Joined: 29th Nov, 2008
Topic: 187
Post: 4997
Age: 32
|
|
Posted on:27th Dec 2009, 11:19pm |
|
|
s-samir-s soni shieya sub insan hen or insano sy dosti ke ja sukti hy i think k janwaro sy bhe dosti ke ja sukti hy or apny jesy insano sy ku ni .
sunni shiya apus meh shadi bhe kur sukty hen lakin esy shukhs sy dosti ni ke ja sukti jo All-a-Mohammad (P.B.O.H) ya Sahaba -a-Kuraab ka monkur ho onki shan meh gostakhi kurny wala ho esa shukhs koi bhe ho soni ho k shiya ho koi b ho osy dosti or koi relation ni rukhna cahieya ku ky wo gosstakh hota hy.Islam amun or aashti ka muzhab hy ikhlakiyaat ka durss data hy, mohabat ka paghaam data hy, |
paroot |
Group: Members
Joined: 23rd Nov, 2008
Topic: 85
Post: 1971
Age:
|
|
Posted on:27th Dec 2009, 2:08pm |
|
|
S_Samir app ne yeh rewayat tu sunee he hogee jes ka mafhoom hai k insan apne dost k deen per hota hai shia se dostee duniyawee faidee k leye kar k baad mein uss k maslak se mutasser hone ka andeesha bhi hoo tu yeh dostee jaiz nahi ho sakte
dostee ka rang jab charta hai tu ache ache ko badal deta hai ...
behter hai k app apne qareebe mustanad aleem se rabta farmaa kar masla pesh karee. |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 83
Post: 2898
Age:
|
|
Posted on:27th Dec 2009, 3:11pm |
|
|
Dosti kunad hum jins, baa.ham jins parwaaz + kabootar baa kabootar, baaz bah baaz ... matlab yeh k aik jaisay jins hi ki parwaaz saath saath hoti hai jaisay kabootar kabootar k saath aur baaz baaz k saath hi parwaaz karta hai.
insaan apnay dostouN ki suhbat say pahchana jata hai k woh kaisay aur kin aqaaid o amaal k logoun maiN oTh.ta baiTh.ta hai.... "dosti karna" bhi aik ajeeb o ghareeb istelaah hai.......jissay apnaa aqeedah /mazhab azeez hoga woh apnay aqeeday say motasaadam aqeeday k logouN maiN kashish mahsoos nahi hogi. aur jissay apna aqeedah /deen say koi dilchaspi nahi hogi, ossay kia faraq parta hai k khaah woh kissi say bhi milay.
taaham iska yeh matlab hargiz nahi k apnay say motasaadam aqeeday waloun say samaji talluqaat nah rakhay jaa.ain... agar koi apka class felow hai, daftar ka saathi hai, paRosi hai etc etc to oskay saath behtareen dealing rakhni chhaiyeh. aur kabhi bhi manfi behaviour show nahi karna chhaiyeh... albattah jab woh apnay mazhabi aqeeday pay amal kar raha ho to apko oss majlis say haT jana chhaiyeh.
wallaho aalam bissawab |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 22
Post: 975
Age: 79
|
|
Posted on:27th Dec 2009, 7:45pm |
|
|
Re:Kia Sunni Shia sey dosti kare?
dosti ka mefhoom kia hey..???agar to dosti kisi lalich ya tamma ki buniyaad pr ki jaye khowa wo sunni ki sunni sy hoo ya sunni ki shia sy wo ghalat hey
agar samaji talukaat ko dosti ka naam diya jaye to wo khuwa kisi b maslik k man'ny waley ya kisi be mazhab k man'ny waley ki apney sy contraset mazhib sy hi q na hoo woo theek hey..laiken sirf insani binyaadoon pr ..baghair lalich tmma k....!!!
jaisa k app jantey hain k islamic markaz Saudi Arabia k hukmiraanoo ki dosti yahoodiyoon aur amrikioon sy hain wo to hamarey mazhab sy b nhi hain jub k saudi hukmiraan to muslimaan hain bulky muslim world leadres hain
pus sabit hey k samaaji aur mu'ashirti talluqaat ki bina pr kisi b mazhab k man;'ny waley kisi doosrey mazhib k peroo karoon sy talluqat rakh saktey hain..koi mumanit nhi hey
laiken ye baat quraan pak main wazy hey k "yahood-o-nasara tumharey dost nhi hoo sktey" laiken kaheen b muslimanoo ko apny hum mazhib afrad sy khowa wo kisi b sect sy hoon main dosti pr koi mumanit nhi hey
bulkey agr sirf bain-ul-masalik hi baat ki jaye to phir to khuda kareem ka wazy irshad hey k "allah ki rassi ko mazbooti sy thaam loo aur apis main tafariqa na kroo" abb agr iss aya majeeda ki roshini main aur iss ki pairwi krtey howey tammam muslimaan appis main ittfaq-o-ittehaad ko qayem krna chahitey hain to humey lamuhala toor pr aik doosrey sy mil jul kr rehna hoodga...aur issi ka naam to dosti hey..abb agr hum tammam muslimaan apis main miltey jultey nhi aur apis main akthey nhi rehtey to phir to hum ny khuda ta'ala k irshad ki koi perwa nhi ki....phir kahan gayee hamri dosti aur kahan gaye hamari dosti k barey main brri brri daleelain....!!!!!!
|
aliakbar17 |
Group: Members
Joined: 06th Jul, 2010
Topic: 23
Post: 183
Age: 22
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 10:25am |
|
|
or dosti nahee kurnee chahaiy edit
|
Neha_83 |
Group: Members
Joined: 17th Dec, 2009
Topic: 3
Post: 67
Age: 27
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 2:35pm |
|
|
kya bat hy itne saro reply may humaye dr qasim & diplomate ka reply Haqeeqat ke karib laga .diplom. tussi siyane honde ja rye ho |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 22
Post: 975
Age: 79
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 3:38pm |
|
|
thanks Re : - "diplom. tussi siyane honde ja rye ho"
matlab main pehly siyana nahi tha.....lol |
umais |
Group: Members
Joined: 10th Nov, 2008
Topic: 12
Post: 143
Age: 21
|
|
Posted on:25th Jul 2010, 6:20pm |
|
|
sunni qasim bhai ki shadi wali baat se me agree nahi karta if we are sunni then we cant marry with shia male kar sakte hain shia larki se magar sunni larki ko nahi karni chaiye |
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 22
Post: 975
Age: 79
|
|
Posted on:26th Jul 2010, 12:46am |
|
|
sunni shia shadi Re :-"male kar sakte hain shia larki se magar sunni larki ko nahi karni chaiye"
umais kia aap bata sakty hain k sunni larrki ki shia larrky sy shadi q nahi ho sakti....?? iss shadi main aap kia nuqsnaat daikhty hain .....???
aur sunni larrky aur shia larrki ki shadi main aap ko kia mufadaat nazar aty hain?? |
aliakbar17 |
Group: Members
Joined: 06th Jul, 2010
Topic: 23
Post: 183
Age: 22
|
|
Posted on:26th Jul 2010, 12:58am |
|
|
haalat yeh hay kay yahan pur sab jantay hain kuch log sahaba kee ar main shion hee ko kafir karar day daitay hain |
KHOKHAR786 |
Group: Members
Joined: 25th Jan, 2010
Topic: 35
Post: 117
Age: 25
|
|
Posted on:26th Jul 2010, 3:43am |
|
|
dr. aqasim jee bilkul dosti tu hoti hi insanu se hai , insan se afzal koi cheez nahi baqi dr. qasim sb ny bohot achitarah explain kia hai . |
umais |
Group: Members
Joined: 10th Nov, 2008
Topic: 12
Post: 143
Age: 21
|
|
Posted on:28th Jul 2010, 2:24pm |
|
|
diplomat
sub se pehle to apko basic information honi chaiye shia k baray me. agar ye hai to ap khud hi meri taaid kar denge. jo hamaray sihaba(r) ko bura bhala kahe or un kui shan me gustakhi karen is se bara ...edit.... kon hoga.. to larkay ko is liye shadi karni chaiye dear k larka us per qadir rahay hai larki sunni larkay k ghar me aaygi. lihaza wo sunni ho sakti hai or right deen per asakti hai. jab k agar hamari sunni larki shia larkay k ghar jay gi to masla kharab ho jay ga. us ko un k rang me dhalna hoga.wo sirf aik hogi us k samnay agar gustakhian hongi to wo kuch nahi karsakti us ko sabar karna paray ga. or is tarha larki k dil me bhi nafrat peda hogay gi agar wo deendaar hai to. or is tarha poori nasal jo hai wo sia hi peda hogi. meri jaan buhut saray nuqsanat hain.
larki ko hargiz shadi nahi karni chaiye shia se. me to kehta jo ham maslak hoon un me shadi karni chaiyeee
No posts that attack, insult, "flame", or abuse members , guests or any community. Moderator
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 22
Post: 975
Age: 79
|
|
Posted on:28th Jul 2010, 10:41pm |
|
|
umais sy aik mukalma....!!! umais said : - "sub se pehle to apko basic information honi chaiye shia k baray me"
Diplomate : - han umais bhai meri maloomat zara kam hain aap sy aik request hey k please shia k bary main kuch tafseelat sy aga kar dain aap ki ayn nuwazish ho gi
umais said : - "jo hamaray sihaba(r) ko bura bhala kahe or un kui shan me gustakhi karen"
Diplomate :- umais bhai aap k sahaba kon sy hain..?? meri maloomat k mutabiq to sahaba karam (rizwan ulla aleh) sarkar-e-do alam Nabi kareem Hazrat Muhammad (s.a.a.w) k hain ..aur unn ki izzat-o-takreem to sab muslims par lazim hey aur meri maloomat k mutabiq islam k sab hi firqy AAP (s.a.a.w) k sahaba (r.a) ka dil sy ihteraam karty hain ...
umais said : - "larkay ko is liye shadi karni chaiye dear k larka us per qadir rahay hai larki sunni larkay k ghar me aaygi. lihaza wo sunni ho sakti hai or right deen per asakti hai. "
Diplomate :- umais bhai bat dar asal ham ahngi ki hey jahan dil mil jayen wahan mazhbi farq buhat peechy reh jata hey aur jahan dil na milain wahan chotti chotti batain b buhat barra paharr ban jati hain chahy mazhab k farq ho ya na ho
umais said :- "jab k agar hamari sunni larki shia larkay k ghar jay gi to masla kharab ho jay ga."
Diplomate :- aap iss bat sy mat ghabraien ...aur darrain b bikul nahi aysa kia ho jaye ga jo aap aysa keh rehy hain.... agar larrki kisi shia k ghar jati hey to wo nai taleemat sy b to roshnaas ho sakti hey na..
ussy apny aur dosrey mazhab ki sachaiee ka tab hi pata chaly ga jab wo apny sy difrent mazhab ko qareeb sy daikhy gi aur agar wo apny imaan par pakki ho gi to ussy kia darr hey samny koi shia ho ya koi aur mazhab wala.....
faraz krain aap ki shadi agar kisi shia k ghar ho jati hey to kia aap apna mazhab chorr dain gy ...agar aap ka imaan pakka hey to aap har giz apna mazhab nahi chorrain gy....isi trah wo larrki b nahi chorry gi...laiken agar uss larrki ko lagy k jo wo apny ulma sy sunti arehi thi aur jis baat par amal paira thi k shia yeh karty hain wo karty hain waghaira waghaira to aysi to koi bat nahi yahan pr aur yeh sab hi aysy hi muslim hain jaisy k hum hain .....
to phir larrki agar aqal mand ho gi to apny ghar ko mazeed khushiyoon sy bhar ly gi aur hansi khushi apni zindgi basar kary gi
umais said :- "wo sirf aik hogi us k samnay agar gustakhian hongi to wo kuch nahi karsakti"
Diplomate :- gustakhiyoon sy aap ki kia muraad hey???
umais said :- "or is tarha poori nasal jo hai wo sia hi peda hogi. meri jaan buhut saray nuqsanat hain."
Diplomate :- shia k paida hony sy aap ko kia nuqsanaat nazar aty hain ...aap k kehny ka matlab main samj nahi saka please iss bat ki wazahat farma dain ... |
umais |
Group: Members
Joined: 10th Nov, 2008
Topic: 12
Post: 143
Age: 21
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 12:02am |
|
|
Diplomat dear itna bara colomn likha lakin afsoos k sath koi bhi baat qabil-e-deed nahi na hi koi baat main wazan hai.
me itna bara column nahi likhoonga. bus ye sawal hai k kia koi Allah ko manay or rahool ko na manay wo musalman hai. isi tarha jo rasool ko manay or Rasool k sub se pyare or qareebi sahaba yani khulfy rashdeen ki shan me gustakhian karay or un ko na manay wo musalman hai. hargiz nahi hai..
ap nay kaha larki jakar apnay deen ki tableeg kar sakti hai or wo apna deen q choray ho sakta hai wo wahan jakar qareeb se un ka deen dekhe to usay sahi lagay..
mere khayal me to ap bilkul mazhab se na aashna hain dear sub se pehle to ap shia ki history parhen k un k nazdiq kia haram hai or kia halal or wo kin ko mantay hain or kin ko nahi. kia wo khulfay rashdeen ki izzat utni hi karty hain jitni mola Ali ki.. kia un k Nazdeek hazrat Abu bakar ka darja Mola Ali se bala hai ya nahi .. . baqol Nabi Pak
yaqeenan Mola ALi ki shan Buhut buland hai humari jaan un per qurban lakin deegar khulfay rashdeen ki Izzat na karnay wala or dil me zeher rakhnay wala un k liye baat karne k bhi qabil nahi..
koi dunya me hamaray walid se baat nahi karta to hum us ki shikal dekhna pasand nahi kartay or yahan per pyare aaqa k jan nisar saathi ki shan me gustakhian hoon or un k liye dilon me zeher rakha jay. wahan per hum behes kar rahy hoty hain k wo q galat hain or q hamari larkian wahan shadi kar k na jayn. bari sharam nak or afssoooos ki baat hai..
|
Diplomate |
Group: Members
Joined: 18th Oct, 2009
Topic: 22
Post: 975
Age: 79
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 12:54am |
|
|
shia aur sunni ka tarjma ...!!! Re :- "na hi koi baat main wazan hai."
acha chalain ap ki baat man laita hoon ho sakta hey meri kisi baat main aap wazan nazar na aya ho..magar main ny aap ki post sy aik wazan daar bat copy ki hey aur wo yeh hey
"ho sakta hai wo wahan jakar qareeb se un ka deen dekhe to usay sahi lagay.."
matlab qreeb sy daikhny sy shia sect ki taleemat durusat simat par gamzan dikhaiee dainy ka amkaan hey ...to phir jis jis ko shia taleemat ghalt lagti hain uss uss ny shia taleemat ko qareeb sy daikha hi nahi...aur jo aqal ki ankh sy kisi b cheez ko baghair daikhy uss k khilaaf ya uss k haq main koi b roy qyem kar ly ......ussy kia kehna chahiye .....yeh baat b main umais sy hi poochta hoon??
umais sy doosra swal yeh hey k "shia" aur "sunni" ka tarjma kia hey....farq nahi batana...tarjma batana hey....ummeed hey mery fazal dost "umais" iss bat ki b apny andaz main tasreeh karain gy... |
aliakbar17 |
Group: Members
Joined: 06th Jul, 2010
Topic: 23
Post: 183
Age: 22
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 2:21pm |
|
|
umais bhaii ko shia kay mutalik zra see bee basic information nahee i want to ask them why there are so many sects in between sunni islam ahle hadith brailvi deobandi labnani duroozi and khawarij of oman and so many in many muslim countries he even does nt have information about his own sect to whom he belongs, .. shia and brailvi of sunni islam are closer in context of beliefs as compared to deobandi and ahle hadith. so should nt we talk about salfi and non salfi muslims rather than sunni and shia |
aliakbar17 |
Group: Members
Joined: 06th Jul, 2010
Topic: 23
Post: 183
Age: 22
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 2:30pm |
|
|
PRONBLEM IS NT SHIA SUNNI problem is nt shia sunni, problem lies in the mind of salfis who declare going to data darbar is biddat attacking rozas is right, |
umais |
Group: Members
Joined: 10th Nov, 2008
Topic: 12
Post: 143
Age: 21
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 3:37pm |
|
|
diplomat sari baton ko dafan karo sirf itna batao k koi ap k ghar walo se nafrat karta ho to kia ap us se mohabbat karo gay,,,,,?koi ap k walid k liye dil me zeher rakhta ho bura bhala kehta ho. kia ap us se rishta qaim rakho gay. kia ap ya main wahan apni behen betian dengay..
sirf is baat ka jawab do.
agar hum apnay ghar walo k liye un se bat nahi karenge to jin per hamaray ghar walay bhi qurbaan un k liye koi galat bat kahe to bhala wo kese musalman ho sakta hai...? |
aliakbar17 |
Group: Members
Joined: 06th Jul, 2010
Topic: 23
Post: 183
Age: 22
|
|
Posted on:29th Jul 2010, 4:21pm |
|
|
umais
Imam of Nawasib Ibn Tamiyah satated in his book Minhaj al-Sunnah, Volume 4 page 316:
ولم يكن في الخروج ل مصلحة دين ول مصلحة دنيا
"There wasn’t any benefit either for religion or for life in his (Hussain's) rebellion".
zra umais sahib is baat ka jawab dai |
|