Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Mojzaat: Reply for Uroosasafis Repeated Question Only

Religion and Culture   >>   Religious Conflict
 
 
sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 8:52pm
 

Mojzaat: Reply for Uroosasafis Repeated Question Only

Qur'an Pak paighambaron aor rasoolon se mujzaat mangnay walon ka repeatedly zikr karta hai, jo har nabi ke dor main aik jesay rahay. aor Hazrat aqdas Muhammad Mustufa SAWS se aisay hi logon ne kaha keh

"wa qaloo lan numina laka hatta.......... ........... ............ subhana rabbi hal kuntu illa bashararasoola." (Sura Bani Israeel, 90-93)(poori is liay nahi likhi ke Quraan kareem ke alfaz english letters main sahi se likhay nahi jatay)

Tarjuma: aor unhon ne kaha ke ham teri hargiz koi bat nahi manain gay jab tak too hamary liay zameen se koi chashma jari kar de.

ya tera khajooron aor angooron ka bagh ho aor tu is ke andar nehrain jari karday.

ya jesa tera dawa hai tu ham par aasman ke tukray giraay ya Allah aor farishton ko hamaray samnay la khara karay

ya tera sonay ka koi ghar ho ya tu asman par charh jaay aor ham teray charhnay par bhi eeman nahi laain gay jab tak keh tu ham par koi kitaab na utar kar laay jisay ham khud parhain. Tu unhain keh ke mera rab tumhari aisi behuda baton ke ikhtyar karnay se paak hai, aor sirf aik BASHAR RASOOL hon.

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 8:57pm
 

apka sawal:

"sawal: maseeh ibn-e-maryam ney to bahot se mujzat say apnay min janibillah honay ka saboot dia tha, ap nay kia saboot dia? kia koi murda zinda kar dia ya koi madarzad andha ap se acha hua? agar ham farz bhi kar lain ke ap maseel-e maseeh hain to hamain ap key wajood say kia faida hua?


jwab: pas wazeh ho ko Injeel ko parh kar dekh lo keh yahi aetraz hamesha maseeh par raha keh us nay koi mujza to dikhaya hi nahi, ye kesa maseeh hai. kion keh aisa murdah koi zinda na hua keh bolta aor us jahan ka sab haal sunata aor warson ko naseehat karta keh main to dozakh main se aya hoon, tum jald eeman lay ao. agar maseh saaf tor par yahoodion kay baap daday zindah kar ke dikha deta aor un se gawahi dilwata to bhala kis ko inkar ki majaal thi?

Gharz paighambaron ne nishan to dikhaay magar phir bhi bay-eemanon se makhfi rahay. aisa hi ye ajiz bhi khali hath nahi aya balkeh murdon ke zinda honay kay liay bahot sa aab-e hayat Khuda ta'ala ne is aajiz ko bhi dia hay. bayshak jo shakhs is main say piyay ga zinda ho jaay ga. ...... ..

jismani khyalat ka insan jismani baton ko pasand karta hay aor un ko bari cheez samajhta hay magar jis ko kuch roohaniyat se hissa dia gya hai wo roohani zindagi ka talib hota hay. Khuda tala ke rastbaz banday dunya main is liay nahi aatay ke logon ko tamashay dikhlaain. balkeh asal matlab unka jazb ilallah hota hai aor aakhir kar wo isi quwat-e-qudsia ki waja se shanakht kiay jatay hain"                       (azala-e aoham part 2 page 234)

Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 8:57pm
 

sweetie

Mein aap se yeh nahin kehti k aap Mirza sahab ka koi moajza batayein, lekin yeh zaroor kahoon gi k Mirza sahab ne is duniya mein aa kar konsa bara kaam kiya jis per fakhar kiya ja sakay.

Pehli baat tu yeh k ALLAH ne nabuwat ka silsila hi khatam kar diya, or dosri baat yeh k agar Nabi aana bhi hota tu us waqt jab Mirza sahab maidan mein aaye, us waqt duniya ki halat itni buri na thi k ALLAH ko aik Nabi bhaijnay ki zaroorat parti.

Aap is baat ko zara tafseel se bayan karein k Mirza sahab k karnamay kya hien or Un ki kya zaroorat thi is duniya mein bhaijay janay ki?

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 8:58pm
 

lastly,

this post was not for fazool qism ki discussion, this was only to reply a genuin question. any other irrelevent or abusive post should be deleted from this thread.
sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:03pm
 

Zaroorat

baqi sab zarooratain, zamanay ke halat, ulama-e islam ki bechaini aor anay walay ka intazar aik taraf, sab se bari zaroorat ye thi ke Hazrat aqdas Muhammad mustufa Sallallahu alaih-e wa sallam ne jis waqt par jis anay walay ki paishgoi ki thi wo na ata to (nauzubillah) Huzur SAWS ki peshgoi ghalat sabit hoti!
Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:07pm
 

sweetie

by the way, woh konsi peshgoi thi?

Pehlay tu aap loug yeh clear kar lein k Mirza sahab asal mein hein kya? Kabhi aap loug kehtay hien  k woh aik nabi hien, kabhi kehtay hien k maseeha hein, kabhi kehtay hien imam hein. Aik din yeh kahein ge k woh aik molvi thay.. Aap ko khod clear nahin tu aaap jawab kaisay de payein ge.

By the way, Hazoor e Aqdas PBUH ki kya pehsgoi thi?

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:10pm
 

Karnamay

Eesaiat aor dajjal ka zor tora. musalman jo eesaion ke khuda ko asman par charha ke bethay thay, usay aik Allah ka pak rasool aor wafat shuda sabit kia. Isaiat ki bunyad hi Hazrat eesa hain, jahan un ki wafat sabit ho waheen isaiat dam tor deti hai. Quran ko mehz taqon ki zeenat ke bajaay dobara dilon main basaya. aor bataya ke Quran ka koi aik SHOSHA YA NUQTA bhi mansookh nahi hai! Akhreen ko awaleen se milaya. Allah aor us ke Rasool SAWS ke qurb ka rasta dobara se saaf kia and so on....

koi shubada bazi baharhal nahi ki, aor Quran Allah ke bhejay huay logon ko aisi tamam shubadabazion se paak qarar deta hai

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:14pm
 

peshgoi

Annie ap baat ko pher tool de kar behes main badalna chahti hain. main ye akhri post kar rahi hon, baqi tamam kutub, ahadees, Quran ap ke samnay hai, aor Mirza Sahib ki kutub bhi ap agar sahi jaga se hasil karain aor tehreef shuda kutb ya mukhalif sites ke mawad ke bajaay wo parh lain jo asal kutub hain ya jo khud Ahmadi kehtay hon to sab sawalon ke jawab mil jaain gay.

hadees: tumhara kia hal hoga jab eesa ibne maryam tum main nazil hoga aor wo tumhara imaam tumhi main se hoga.

enough. i wont post again.

Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:26pm
 

sweetie

Aap yeh kehna chahti hien k Hazrat Mirza Ghulam Ahmad Qadyani Hazrat Essa part 2 thay? Ya original Hazrat Essa thay? Agar original thay tu sari duniya k essaiyon ko kyon maloom nahin ho saka?

Mirza sahab ne konsay dajjal ka zour toura? Konsa dajjal aa gaya tha us time?

Mirza sahab ne essaiyat ka zour tournay ki bajaye, India mein Angraizon ki hakoomat ko mazboot kiya or Musalmanon se ghadari ki. or is ghadari ka inaam aaj tak Mirza sahab ki aulaad or un k mannay walay hasil kar rahay hien?

Agar Mirza sahab ne essaiyat ko shikast di tu un ki aulaad ko UK mein rehnay ki ijazat kaisay mil gayi? Pakistan k tu America nawaz molvion k bhi airport per kapray utarwa liye jatay hien. Phir essaiyat k dushman Essaiyon k mulk mein mazay kaisay urra rahay hien?

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:31pm
 

Annie ji :)

Bholay badshahon ko koi kia samjhaay :) behes mera maqsad hi nahi. acha chalti hon suba sehri ke liay uthna hai. AH
Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:35pm
 

sweetie

okay, better luck for next time.

Jab aap Mirza sahab ko sacha sabit hi nahin kar saktin tu bhagna hi behtar hai. Good luck for Mirza sahab

Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:41pm
 

moderator sahab

aap janibdari ka muzahira karrahay hein.  .... edit ....  is ka matlab yeh nahin k is forum per ab Qadyanion ki hakoomat hai. Aap bara e meharbani ya tu aisay topic shoro na honay dein, or agar hotay hien tu phir ghair zaroori edit or deletion se perhaiz karein.

Ain nawazish ho gi.




uroosasafi Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 10  Post: 90  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:43pm
 

sweeti

mujhay maloom thaa mujhay ye hee jawab milna hay araam  kay  sab loog peghambaroon se moujzaat aur nishaniyaan mangtay thay aur hum bhi hazrat gulam Ahmad kay liye ye pooch liya . zahir hay bhayee isi liye poocha kay hum apnay Piayray Nabi Hazrat Muhammad Mustufa Sallallahu  Wasallam kay baad nay walay kisi bhi banday ko Nabi nahi maan saktay isi liye agaer hazrat sahab ka koi baqoul aap kay words kay koi SHUBDA bazi mashoor bhi hoti tu yaqeen na kartay wesay main ne moujza poocha thaa jo Allah Tala kee taraf se Ambiya Karam ko mila kerta thaa Allah maaf karay aap ne us ko SUBDA BAZI likh kar buhat ghalat kia hay .

aap mod. hain yahan per mayri post delete na kijiye ga .

aur han Annie kay is aur na sahi is swal ka zaror jawab dein kay dajjal ko kab khatam kia?

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:45pm
 

Annie

Sahiba..delate aur edit to apki aur dusre non Qadiyaniyon ki hone wali bakwas thi.. jo ke ap logon ne ki.aur yahan pe mojood Qadiyani khamoshi se bardash kar gaye. ab sweetie ki bat apko ghair zaroori lagne lagi hai.

Is Forum pe na sunni ki hukumat hai na hi qadiyaniyon shia,aur issahiyon ki...agar ap ko koi problem hai to ap is forum par na aya karain ..koi apko zabardasti nahi khainchta yahan..

Nawazish hogi apki

uroosasafi Group: Members  Joined: 19th Jul, 2007  Topic: 10  Post: 90  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:45pm
 

??

annie ne aesi koi baat nahi likhi jo kay edit ho main ne us kee post read kee thee aur ab mujhay pata hay mayri bhi posts delete honi hain
Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 10:10pm
 

Sunehri76

Agar aap ko baat karnay ki tameez nahin tu mein kya keh sakti hoon. Agar aap ko is qisam ki discussion pasand nahin tu aap moderator se keh kar aisay topic delete kyon nahin karwa deti.

Pehlay aap k pasandeeda member Bewaqoof aisay topic shoroo kartay hien or phir aap ko problem hoti hai.

Agar aap tameez se jawab nahin de saktin tu aap ka koi ilaaj nahin hai.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:23rd Sep 2008, 10:14pm
 

Annie

Urf Seemi......waise insan apni adatain badal sakta hai,apna writingstyle badal sakta hai lekin apni Fitrat nahi...apke replays cheekh cheekh kar bata rahe hain ke ap kaun hain.

tameez ap mujhe na sikhayen.ap wahan ja kar apne replays khud parh lain apko malum ho jayega ke Tameez se ap bat kar rahin thin ya mai?

anyways agar phir bhi shak baki hai to ap Forum ke sab members se puch lain..ke mujh me bat karne ki tameez hai ya nahi.agar mer ekhilaf ziyada vote hue to mai apse Tameez zaroor sikhungi...ye mera promise hai

doctorpk Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 25  Post: 591  Age:  42  
Posted on:23rd Sep 2008, 10:14pm
 

Please dont misuse power of edit/delete

I have restored the edited matter of Annie. Members having edit/delete facility are not allowed to use there permission in those threads where they are taking part in discussion (except abusive comments). otherwise either I will take permission from those members or give permission to all members.


doctorpk Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 25  Post: 591  Age:  42  
Posted on:23rd Sep 2008, 10:24pm
 

abusive and insulting reply are not allowed

Members are requested to discuss in polite manner. abusive, insulting reply are strictly not allowed. member having permission of edit/delete are requested to edit/delete such type of thread (insulting and abusive).

insulting and abusive post can be edit/deleted by all members including those who are taking part in discussion. but members taking part in discussion are not allowed to edit/delete any non-abusive and non-insulting comments.
Annie Group: Members  Joined: 19th May, 2008  Topic: 0  Post: 233  Age:  28  
Posted on:23rd Sep 2008, 10:43pm
 

sunehri76

Urf Seemi ki kya baat kar rahi hein aap? mujhay aik do tpics mein yeh tu maloom howa k Seemi koi yahan ki member hein or ab nahin aa rahi lekin mera un se kya taluq hai? or agar hai tu kis tarah sabit kiya gaya hai.

Agar aap ki Seemi se koi larayi ya dushmani thi tu aap us ka ghusa meray opper kyon daal rahi hien. Or agar woh bhi meri tarah qadyanion ki haqeeqat janti hai tu yeh bohat achi baat hai. Fitna e qadyaniyat ka har musalman ko ilm hona chahiye.

Waisay mujhay aap ki tameez or ikhlaq k baray mein baqi members se poochnay ki zaroorat nahin. Aap ki posts se mujhay andaza ho gaya ahi k aap kitni tameezdaar hein. Agar aap ko discussion karnay ke adaab nahin aatay tu aap discussion mein hisa na liya karein.

meri moderator se bhi request hai k woh Sunehri76 ki ghalatfehmi door kar sakein tu meharbani ho gi. Moderator hi behtar bata saktay hein k mein or Seemi aik hein  ya different.

Lekin baat ho rahi hia Mirza sahab ke karnamon or un ke duniya mein aanay ki waja ki. Abhi tak koi aisi solid waja bayan nahin ki gayi k yeh maan liya jaye k Mirza sahab waqai ALLAH ki taraf se bhaijay gaye Hazrat Essa hein.

For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How to get college scholarship in usa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014