Complaint Against Moderator
manay pehaly bi bohat say topics mai moderator note parha aur aj bi aik topic mai bohat bar ye wala moderator note dekha hai: "It is not allowed to post and discuss against. Moderators." Fake Noorclinic Email Adress: All Members and Moderators Be Attentive. mai ye jan-na chahta hon k kia ye koi new rule bana hai k kisi moderator k khilaf kisi kisam ki koi baat nahi ki ja sakti ??? agar ye koi new rule hai to forum par jo rules ka page hai wahan par ye baat mention kyon nahi ki gaee k members kisi moderator k khilaaf koi baat nai kar saktay ??? aur agar koi member kisi moderator k khilaf baat karay, koi shikaet karay, ya koi critical question karay, to kia ye gunah hai ?? kia moderators apnay apko koi america ka president samajhnay lagay hain ya wo apnay apko sab say behtareen aur perfect samajhtay hain ?? ya wo ye samajhtay hain k is forum k moderator ban-nay k baad hi wo sahi maano mai ashraf-ul-makhlookaat ban gaey hain ???? jis moderator ko criticise kiya jaey, kia usko khud hi ye wala moderator note detay huey sharam mehsoos nahi hoti, "K moderators k khilaf baat karna allow nahi hai" ??? kia ham aisay moderators ko mature insan keh saktay hain, jismai itni courage nahi k wo apnay khilaf positive criticism parh sakay ??? aisay moderators ko mere mashwara hai apnay andar itni courage paida karo k criticism ho rahi hai to usko parho, agar jawab day saktay ho to jawab do, agar koi abuse waghaira hai to usay edit kar do ,, par khud hi ye likh dena k moderator k khilaf bat karna allow nahi hai,, bohat hi bachgaana harkat lagti hai... bar bar khud hi apnay apko moderator likh kar kia apko koi ruhaani taskeen hasil hoti hai?? aur agar apko itna shok hai k moderator k khilaf koi baat na ki jaey to forum mai postings karna band kar do, na koi topic start karo na koi reply karo, just moderator note do aur edit/delete/block karo,, aur agar postings bi karni hai to sab say pehlay apnay khud-saakhta rule ko forum administration say approve karao aur unkay rules walay page mai apnay is rule ko shamil karao k moderator k against kisi kisam k baat karna allow nahi hai..... kyonkay filhaal according to forum rules , kisi k against bi criticism karna allow hai,, to jo baat allow hai , ap usko keh rahay ho k ye allow nahi hai,,, is hisab say ap khud rules ko violate kar rahay ho.... muje to hairat hai k forum administration aisay moderators k khilaaf action kyon nai lay rahi aur aisay moderators ko warning kyon nai day rahay jo apnay moderator honay k nashay mai har jaga likhtay phir rahay hain k moderator k khilaf baat karna allow nahi hai...
|